Allah hi jane Kaun Bashar Hai First Qawwali Lyrics
Qawwal: Aziz Mian
اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں ٹچ کیجیے
Arbaab E Nazar Ko Koi Aisa Na Milega
Insaan To Mil Jayenge Maulana Na Milega
Tareekh Agar Dhoondhegi Saani E Muhammad ﷺ
Saani To Badi Cheez Hai Saaya Na Milega
Ya Muhammad ﷺ Aapke Jalwoñ Meiñ Wo Raanaayi Hai
Dekhne par bhi meri aankh Tamannayi hai
Haq Ta’ala Bhi Kareem Aur Muhammad ﷺ Bhi Karim
Do kareemoñ mein guhahgar ki ban ayi hai
Na Hua Aap Sa Paida Koi Mumtaaz Nabi
Aap Par Khatm Huyi Izzat O Ala Nasabi
Shohra e khalq hui Aapki waala Hasabi
Marhaba Sayyadi Makki Madani ul Arabi
Dilo jazbaat fidayat che ajab Khush Laqabi
Aye saba tera Madine ki taraf ho jo guzar
To meri simt se aadaab pe yuñ karke nazar
Balke, sar rakh ke dare paak pe ba deeda e tar
Arz karna ba Huzure Shah-e har Jinn o Bashar
Chashm-e Rahmat ba kusha soo-e man andaaz nazar
Ay Quraishi Laqabi Hashmi o Muttalabi
Aisi Khoobi Na Kisi Mein Dekhi
Chaañd Shak Ho Gaya Ungli Jo Uthi
Husn-e Yusuf Dam e Eesa Yad e Baiza daari
Ann che Khoobañ Hama daarand to tanha daari
Aisi Khoobi Na Kisi Mein Dekhi
Chaañd Shak Ho Gaya Ungli Jo Uthi
Washshams Rukh-e Zeba Hai Tera
Tu Noor Fishaane Aalam Hai
Wallail hai Teri Zulf-e Duta
Tu Rahat e Jaan e Aalam Hai
Tu Fakhr Hua Aadam ke liye
Tu Rahmat Hai Aalam ke liye
Takhleeq Hua Tu Karam ke liye
Tu Faiz Rasan-e Aalam hai
To, aañkh Gulabi..
Aankh Gulabi Mast Nazar Hai
Allah hi Jaane Kaun Bashar Hai ..
Aankh Gulabi Sallallah Ki ..
Aankh Gulabi Sayyad-na Ki ..
Aankh Gulabi Mast Nazar Hai
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Khata Shaitan Ki Misl e Aadam maaf Ho Jaati
Agar kah deta
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Khwab e Rahat Mein The Umme Haani Ke Ghar
Jibrael Ne Aake Sunai Khabar
Chaliye Chaliye Shehensha e Wala Gohar
Haq Ko Shauq e Laqa Aaj Ki Raat Hai
Jaago Jaago Shahensha e Dunya o Deeñ
Uttho Uttho Zara Laa Makaañ Ke Makeen
Dekho Dekho Ye Haazir Hai Rooh Ul Ameeñ
Rooh Tum Par Fida Aaj Ki Raat Hai
Barq Se Teztar Hai Burraq Aapka
Kyu Ke Khaliq Ko Hai Ishteyaaq Aapka
Ab Nahi Dekha Jata Firaaq Aapka
Jald Chalna Rawaa Aaj Ki Raat Hai
Baagh e Aalam Meiñ Baad e Bahaari Chali
Sawar e Ambiya Ki Sawari Chali
Ye Sawari Soo e Zaat e Baari Chali
Abr e Rehmat Utha Aaj Ki Raat Hai
Channd Shoq e Talab Har Qadam Sath Hain
Daayeñ Baayeñ Farishtoñ Ki Barat Hai
Sar Pe Noorani Shehre Ki Kya Baat Hai
Shaah Dulha Bana Aaj Ki Raat Hai
Itr e Rahmat Farishte Chhidakte Chale
Jiski Khushbu Se Raste Mahekte Chale
Chaañd Taare Chalun Main Chamakte Chale
Kahkashaan Zer e Paa Aaj Ki Raat Hai
Aur Nabiyoñ Ko Ye Martaba Hi Nahi
Arsh e Aazam Pe Koi Gaya Hi Nahi
Aisa Rutba Kisi Ko Mila Hi Nahiñ
Jaisa Rutba Tera Aaj Ki Raat Hai
(Jab sawari arsh pe pahonchi, inhone kya liya usne kya diya? Samat farmafarmayiye)
To Us Taraf Rehmat e Haq Ke Jouhar Khule
Is Taraf Se Shifa’at Ke Daftar Khule
Kah Diya Dekh Hain Faiz Ke Dar Khule
Maang Jo Maangna Aaj Ki Raat Hai
Shah Ne Arz Ki Ummat Gunaahgar Hai.
Bakhsh De Mere Malik Tu Ghaffar Hai
Tujhko Aasaan Hai Mujhko Dushwaar Hai
Fikr e Roz e Jaza Aaj Ki Raat Hai
Phir Kaha Haq Ne Aye Maahpaare Nabi
Tu Mera Chaand Hai Aur Taare Nabi
Aise Ghabra Na Aye Mere Pyare Nabi
Aisi Jaldi Hi Kya Aaj Ki Raat Hai
Lutf Jab Hai Ke Dekhenge Saare Nabi
Teri Ummat Pe Barsegi Rahmat Meri
Bakhsh Dooñga Qayamat Me Ummat Teri
Tujhse Waada Mera Aaj Ki Raat Hai
Tu Na Mujhse Alag Main Na Tukhse Alag
Aur Jo Tukhse Gaya Wo Mujhse Gaya
Aur Jo Tujhse Mila Wo Mujhse Mila
Bas Yahi Faisla Aaj Ki Raat Hai
Phir Kaha Haq Ne Jalwa Mera Dekh Le
Jo Tujhe Dekh Le Wo Mujhe Dekh Le
Mein Tujhe Dekh Lu Tu Mujhe Dekh Le
Dekhne Ka Maza Aaj Ki Raat Hai
Allah hi Jaane Kaun Bashar Hai ..
Aankh Gulabi Sallallah Ki ..
Aankh Gulabi Mast Nazar Hai
Allah hi Jaane Kaun Bashar Hai ..
Bande ho agar Rab ke to Rab se Maañgo
Jo maañgne ka tariqa hai us tarah Maañgo
Minnat se khushamad se adab se maango
Bande ho agar rab ke to rab se Maañgo
Dar-e Karim se bande ko kya nahin milta
Maango.. apne rab se maango
(Isliye main maanta hooñ)
Ay Allah!
Kaisa Baitha dekhta Hai Jaise Dekha hi Nahin
Kaise Baitha Sun Raha Hai Jaise sunta hi Nahin
Miyañ, Tere chup Rahne se tal Jaaun Main wo Saail Nahin
Balke, Daman e ummid Bhar ya kah De is qabil Nahin
To aayi Nida ke ay bande
Mere khazane Mein, wahdat hi wahdat,
wahdat hi wahdat, wahdat hi wahdat,
wahdat hi wahdat, wahdat hi wahdat
wahdat hi wahdat, wahdat hi wahdat
Aur iske siwa kya hai !
Ja, lena hai ghar Tujhko
To Ja Le Le Mohammed ﷺ se
Kyuñ
Sharafat unke Ghar ki hai
Lataafat unke Ghar ki hai
Hashmat unke Ghar ki hai
Shaukat unke ghar ki hai
Shariyat unke Ghar ki hai
Tariqat unke Ghar ki hai
Haqeeqat unke Ghar ki hai
Maarifat unke Ghar ki hai
Nabuwwat unke Ghar ki hai
Imaamat unke Ghar ki hai
Khilafat Unke Ghar Ki Hai
Wilaayat unke Ghar ki hai
Shuja’at unke Ghar ki hai
Sakhawat Unke Ghar Ki Hai
Shahadat unke Ghar ki hai
Gunahgaaroñ ko bakhaane ki aadat Unke Ghar ki hai
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Aankh Gulabi Sallallah Ki ..
Aankh Gulabi Mast Nazar Hai
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Aankh Gulabi Sayyad-na Ki ..
Aankh Gulabi Mast Nazar Hai
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Surat Mein Fakeeron Ki Jab Shaah e Hijaaz Aaya
Bando Ne Kaha Bando Se Wo Banda Nawaz Aaya
Awais Ko Jab Dekha Subkkaan e Falak Bole
Wo Dekho Muhammad ﷺ Ka Ek Khushta e Naaz Aaya
Imaam Bane Aaqa Kya Shaane Imamat Hai
Nabiyon Ne Safein Bandhi Jab Waqt e Namaz Aaya
Imaam Bane Aaqa.. Kya Shaan e Imamat hai!
(Shab e Meraj, Masjid Al Aqsa mein huzoor Ne Imamat farmayi, ambiya Ne iqtida ki. Wohi Manzar kashi karta hoon aur maqaame sajda pesh karta hun. Mulahiza farmayiye)
Imaam Bane Aaqa..
Shamsid-duha, Badrid-duja, Sadrul-ula, Noorul-huda
Tayyab Imam
Tahir Imam
Twaha Imam
Yasneeñ Imam
Moallim Imam
Muzammil Imam
Mudassir Imam
Balke Muhammad ﷺ Imam
Imam bane Aaqa
Muhammad Imam
Imam bane Aaqa
Nabiyon Ne Safein Bandhi
Isa Peechhe
Musa Unke Aage
Ab BaWaqt e Sajda
Isa Ka Sar Musa Ke Qadmo Mein
Musa Ka Sar Yahya Ke Qadmo Mein
Yahya Ka Sar Zikariya Ke Qadmo Mein
Zikariya Ka Sar Yunus Ke Qadmo Mein
Yunus Ka Sar Yusuf Ke Qadmo Mein
Yusuf Ka Sar Yakub Ke Qadmo Mein
Yakub Ka Sar Ayyub Ke Qadmo Mein
Ayyub Ka Sar Is’haaq Ke Qadmo Mein
Is’haaq Ka Sar Ismail Ke Qadmo Mein
Ismail Ka Sar Ibrahim Ke Qadmo Mein
Ibrahim Ka Sar Saaleh Ke Qadmo Mein
Saaleh Ka Sar Khizr Ke Qadmo Mein
Khizr Ka Sar Zulkarnain Ke Qadmo Mein
Zulkarnain Ka Sar Suleman Ke Qadmo Mein
Suleman Ka Sar Daud Ke Qadmo Mein
Daud Ka Sar Idrees Ke Qadmo Mein
Idrees Ka Sar Lut Ke Qadmo Mein
Are Lut Ka Sar Nuh Ke Qadmo Mein
Aur Nuh Ka Sar Adam Ke Qadmo Mein
Itne Sar Sajde Mein Jayeñ Tab Ek Muhammad ﷺ Banta Hai
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Aankh Gulabi Sallallah Ki ..
Aankh Gulabi Mast Nazar Hai
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Allah hi Jane Kaun
Aye Allah!
Koi Hamsar nahi tera na koi saani hai
Maa siwa tere har ik cheez yahan faani hai
Ay Allah!
Koi Hamsar nahi tera na koi saani hai
Mere wahmo gumaañ se bhi baahar hai tu
Meri Hasti hai kya main to kuchh bhi nahin
Ay Allah!
Koi Hamsar nahi tera na koi saani hai
Maa siwa tere har ik cheez yahan faani hai
Haañ magar ishq ki duniya ke naye hain andaaz
Abd o maabood Meiñ hote hain jahan Raaz o Niyaz
Haañ wohi ishq jo kahta raha rabbe arani
Haan wohi ishq jo karte the Uwais e Qarani
Haan usi ishq e Muhammad ﷺ Meiñ giriftar hai dil
Haan usi Ishq e Muhammad ﷺ Ka Talabgar Hai Dil
Ay Allah!
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Meiñ giriftar hai dil
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Ka Talabgar Hai Dil
Na Kaleem ka Tasvvur na khayal e toore Seena
Meri aarzoo Muhammad ﷺ Meri justu Madina
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Meiñ giriftar hai dil
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Ka Talabgar Hai Dil
BaJuz iske aur koi meri aarzoo nahi hai
Mujhe Maut Bhi jo aaye, ho saamne madina
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Meiñ giriftar hai dil
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Ka Talabgar Hai Dil
Betaab umangon se hardam dhak-dhak mera seena Hota Hai
Ek hook Si uthi Hai Dil Mein Jab Yaad Madina Hota Hai
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Meiñ giriftar hai dil
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Ka Talabgar Hai Dil
Aye Jannat !
Tujh Mein hooro qusoor rahte hain
Maine Maana zarur rahte hain
Lekin ay Jannat!
Aa aur tawaaf kar mera
Mere dil mein Huzoor rahte hain
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Meiñ giriftar hai dil
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Ka Talabgar Hai Dil
Tu Allah.. main banda
Tu Noor Sarapa…. Main khaaq sarapa
Tu Allah.. main banda! Koi Nisbat nahin
Lekin,
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Meiñ giriftar hai dil
Mera Ishq e Muhammad ﷺ Ka Talabgar Hai Dil
Ab tu Allah.. main banda
Tu Allah!
Tera pyara bhi wahi, kaun? Muhammad
Main banda!
Mera pyara bhi wahi, kaun? Muhammad
Tu Allah.. main banda
Lekin Mahboob Ek
Ab tu Allah.. main banda
Tera pyara bhi wahi, kaun? Muhammad
Mera pyara bhi wahi, kaun? Muhammad
Tu Allah.. main banda
Lekin Mahboob Ek
Ay Allah!
Tera paighaam Wo lekar Soo-e taayaf jaaye
Tu ne dekha mere Mahboob ne patthar khaye
Ay Allah!
Khaibaro badro ohud gar hain fatoohaate Sayeed
Tu ne dekha hue Mahboob ke Dandaan Shaheed
Aayi aawaaz ke ay bande!
Maine Chaaha Tha Ke Ho Basti Ohud Ki Veerañ
Par ye Mahboob Ki Marzi Thi Miley Isko Amaañ
Maine Chaaha Tha Ke Taayaf Pe Qayamat Aaye
Par Ye Mahboob Ki Marzi Thi Ke Rahmat Aaye
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Aankh Gulabi Sallallah Ki ..
Aankh Gulabi Sayyad-na Ki ..
Aankh Gulabi Sallallah Ki ..
Aankh Gulabi Mast Nazar Hai
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Allah hi Jane Kaun Bashar Hai ..
Enjoy the original studio recording qawwali
Allah Hi Jane Kaun Bashar Hai Lyrics
Allah Hi Jane Kaun Bashar Hai is one of the best Qawwali by Aziz Mian.
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan