Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki Lyrics
Qawwal : Iqbal Afzal Sabri
Mañgte Khade Hue Haiñ Ghareeb-un-Nawaaz Ke
Parde Uthe Hue Haiñ Niyaaz Aur Naaz Ke.
Mahboob-e Kirdigaar Hai Jo Chaahe Maañg Lo
Ye Chisht Ki Bahar Hai Jo Chaahe Maañg Lo.
Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki
Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki
Karam Hi Karam Ki Ghata Chha Rahi Hai ..
Chhati Ka Jashn-e Paak Hai
Rasool-e Paak Aaye Haiñ
Malaayeqa Bhi Saath Haiñ
Sahaabiyoñ Ko Laaye Haiñ
Hasan Husain Fatma Bhi
Anjuman Sajaaye Haiñ
Ye Aisa Waisa Ghar Nahiñ
Ali Ke Ghar Mein Aaye Haiñ
Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki
Karam Hi Karam Ki Ghata Chha Rahi Hai ..
Chaar Disha Meiñ Dhoom Machi Hai
Khwaja Piya Ki Aaj Chhati Hai
Phool Husaini Baagh Se Aaye
Ghaus-ul-Aazam Ne Mañgwaaye
Khwaja Usmañ Gooñdh Ke Laaye
Khwaja Qutab Haiñ Jhanda Uthaaye
Baaba Fareed Bhi Wajd Meiñ Aaye
Nizamuddin Aur Sabir Gaayeñ.
Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki
Karam Hi Karam Ki Ghata Chha Rahi Hai ..
Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki
Karam Hi Karam Ki Ghata Chha Rahi Hai
Mohammad ﷺ Ka Sadqa Lutaate Haiñ Khwaja
Zamaane Ki Jholi Bhari Jaa Rahi Hai..
Koi Tum Sa Nazar Nahi Aata
Warna Kya Kya Nazar Nahi Aata
Jholiyañ Sabki Bharti Jaati Haiñ
Dene Wala Nazar Nahi Aata.
Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki
Karam Hi Karam Ki Ghata Chha Rahi Hai ..
Ye Khwaja Ki Galiyoñ Ka Pur Kaif Manzar
Madine Ki Khushbu Mo’attar Mo’attar
Tere Dhaule Gumbad Pe Ajmeri Khwaja
Haram Ki Tajalli Nazar Aa Rahi Hai.
Ye Shaan-e Sakhawat Ye Andaaz Tere
Ye Noorani Manzar Sawere Sawere
Jhuka Kar Jabeeñ Teri Chaukhat Pe Khwaja
Mujhe Kamli Waale Ki Yaad Aa Rahi Hai.
Ya Ghareeb Nawaz,
Deedar Ke Qaabil To Kahañ Meri Nazar Hai
Ye Teri Inaayat Hai Ke Rukh Tera Idhar Hai
Kya Tujh Pe Tasadduq Karuñ Kya Paas Hai Mere
Qurbaan Tere Qadmoñ Pe Mauhtaj Ka Sar Hai
Ut’thega Na Sar Dar Se Tere Taa Ba Qayamat
Ye Sar Sar-e Zahid Nahiñ Saudaayi Ka Sar Hai.
Jhuka Kar Jabeeñ Teri Chaukhat Pe Khwaja
Mujhe Kamli Waale Ki Yaad Aa Rahi Hai …
Hai Bughz o Hasad Jinke Seenoñ Ke Andar
Kareñ Sajda Rezi Wo Khwaja Ke Dar Par
Yahiñ Sard Hoñge Ta’assub Ke Shole
Madine Se Thandi Hawa Aa Rahi Hai.
Faqeeroñ Ka Maslak To Wo Aayina Hai
Bata Dega Khud Kaun Khota Khara Hai
Are Waaiz-e Khushk Is Aayine Meiñ
Tujhe Apni Soorat Nazar Aa Rahi Hai.
Jo Khwaja Ne Raaz-e Haqeeqat Ko Khola
To Qadmoñ Pe Gir Kar Ke Jaipaal Bola.
Jo Khwaja Ne Raaz-e Haqeeqat Ko Khola
Ye Khwaja Ne Raaz-e Haqeeqat Ko Khola
Mohammad ﷺ Ki Ghulami Deen-e Haq Ki Shart-e Awwal Hai
Isi Meiñ Hai Agar Khaami To Sab Kuchh Naa Mukammal Hai
Mohammad ﷺ Ki Ghulami Ki Sanad Jis Ko Bhi Haasil Hai
Koi Mauj-e Alam Us Se Kabhi Takra Nahi Sakti
Farishte To Farishte Khud Khudaa-e Paak Kahta Hai
Mohammad ﷺ Ke Ghulamoñ Par Museebat Aa Nahi Sakti.
Jo Khwaja Ne Raaz-e Haqeeqat Ko Khola
To Qadmoñ Pe Gir Kar Ke Jaipaal Bola
Khuda Ke Liye Apni Nazroñ Ko Roko
Mere Dil Ki Duniya Luti Ja Rahi Hai.
Ummeedoñ Ka Daaman Muraadoñ Se Bhar Do
Karam Ki Nazar Soo-e Iqbal Kar Do
Tufail-e Mohammad ﷺ Nigaahe Karam Ho
Ye Duniya Sitam Par Sitam Dhaa Rahi Hai.
Chhati Aaj Hai Mere Khwaja Piya Ki
Karam Hi Karam Ki Ghata Chha Rahi Hai
Mohammad ﷺ Ka Sadqa Lutaate Haiñ Khwaja
Zamaane Ki Jholi Bhari Jaa Rahi Hai
Mohammad ﷺ Ka Sadqa Lutaate Haiñ Khwaja
Zamaane Ki Jholi Bhari Jaa Rahi Hai
Mohammad ﷺ Ka Sadqa Lutaate Haiñ Khwaja
Zamaane Ki Jholi Bhari Jaa Rahi Hai ….
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan