Bol Raha Hai Tan Man Sara Ali Ali

Bol Raha Hai Tan-Man Sara Ali Ali Qawwali Lyrics

हिंदी लिरिक्स | English Lyrics

 

Qawwal 1 : Manzoor Husain Santoo Khan Qawwal

Qawwal 2 : Asif Ali Santoo


हिन्दी में लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए


Aaa ..

Haidariyam qalandaram maatam
Banda e Murtaza Ali hastam

Peshwaa e tamaam Rindanam
Ke sag e koo e Sher e Yazdanam

 

Dil me Ali Ali hai, Dahan par Ali Ali
Mar jaauñ to likh dena Kafan par Ali Ali

Kyuñ,
Bol raha hai Tan-Man sara Ali Ali
Hai Mastoñ ka hardum naara Ali Ali

Har Qalb Ali, Jism Ali, Jaan Ali Hai
Mujh besar o samaan ka samaan Ali hai

Imaan ke Butlaashiyo, Imaan ki kah dooñ
Imaan to ye hai, mera Imaan Ali hai

 

Bol raha hai Tan-Man sara Ali Ali
Hai Mastoñ ka hardum naara Ali Ali

 

Mastoñ ka naara.. Ali Ali

Hum sab ka naara .. Ali Ali

To phir, maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

Maro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Ali Ameer bhi haiñ
aur Dastgeer bhi haiñ

Nabi ke Quwwat e Baazu bhi haiñ
Vazir bhi haiñ

Ali to kaabe me paida huye haiñ kya kahna!

Wo Bemisal bhi hain aur Benazeer bhi haiñ

 

Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Ali ki Shaan ka Alam me phir Wali na bana
Nabi ke ilm ka dar Mazhar e Jaliñ na bana

Qasam Khuda ki tasadduk Bashar Ki kya Taqat
Banaya Haq ne bhi to, BooAli Ali na bana

 

Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

Islam ki Shamsheer..

 

Innad deena indilla hil Islam

Islam ki Shamsheer.. Shamsheer

 

Shahe Mardañ Shere Yazdañ
Quwate Parwardigar,

La Fatah illa Ali, La Saifa illa Zulfeqar

Shamshir, Zulfiqar..

Islam ki Shamsheer ka Jauhar haiñ Ali
Kaaba hai sadaf, us me Gauhar haiñ Ali

Jis Bibi ki Tazeem ko uthte the Rasool
Allah Re! Us Bibi ke Shauhar hain Ali

To wo Bibi,
Tanha Nabi ke ilm ki Waris Batool thiñ
Parda nashiñ na hotiñ to wo bhi Rasul thiñ

Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

Maaro naara.. Haq Ali.. Ya Ali

Ali.. Ali.. Ali.. Ali..Ali.. Ali.. Ali.. Ali..

Sab, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

(Qaala Qaala Rasoolallah S.A.W.

Ana Madinatul-ilme wa Ali yun Baabo-ha

Maiñ ilm ka Shahr huñ aur Ali uska Darwaza hain)

To,
Dar-Dar kharab o Khasta phira Leke iltija

Dar-Dar, Dar-Dar, Dar-Dar, Dar-Dar, Dur-Dur

Kutta Dar-Dar jaat hai, use Dar-Dar Dur-Dur hoye
Ek dar Ka ho rahe, use kabhi na Dur-Dur hoye

Zulfeqar jit Haidar di
O Nikli Mayaanu Chamak- Chamak

Nikli Mayaanu Chamak- Chamak
Kadak-Kadak
Dhadak-Dhadak

Qutab-Qutab ke maar ke naare
Qafir maare kayi Hazaare

Qafir kenhde Ran ke saare
Hunn-Na maaro asi hamaare

Ae to laike ۔۔۔ Taayiñ
Kehte bhaage Saare

Bus, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Ali osnu aankh de him biba
Sathr oothañ di jeda katha deve

Sathr wañ nu seri nu kare zinda
Sathr wañ nu seri nu maar deve

Kyuñ k
Ali kulle Imaan,

Farmane Mustafa (s.a.w)

Ali kulle Imaan, Imaan Haq da
Khaibar vich ye Nabi pukar dewe

Ali Paak Manzoor de aashiqa di
Bigdi hoye Taqdeer sañwaar dewe

Bus, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

Aa..
Pa Ga Pa Ni Sa Ni Sa Ni Pa Ga Pa Ga Re Sa

Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Wa aqimus salaata wa aatuz zakaata
Warqaoo Ma arrake een

Wa aqimus salaata… Qaayam karo namaaz

wa aatuz zakaata … Aur do Zakaat

Warqaoo …. Aur Ruku karo

Ma arrake een

 

To, Ruku jo ulfate Haidar se sarfaraaz nahi
Ghame Husain ka Sajda me Soz o Saaz nahi

To fir kaun tujh ko aake samjhaye
Ke ye Namaaz ki tauheen hai Namaaz nahi

Azaan de gayi Hazrat Bilal ki Hasti
Namaz padh gaye Duniyañ me Karbala wale

Bus, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Khafi ka Jali se Muqabla tauba
Kisi ka Haq ke Wali se Muqabla tauba!

Dimaag unka to shayad Aleel hai sahab
Bashar ka Maula Ali se Muqabla tauba!

 

Zikre Ali har zikr se aala dekha
Ye Bol! Har ik Bol se baala dekha

Humne to isi zikre Ali se Manzoor
Sau baar andhere me ujala dekha

Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

(Laulaka Lama Khalaktul Aflaaq

Ae Mahboob tujhe na paida karta to qaaynaat na paida karta)

Mohammad ki jalwa numaayi na hoti
To Daarain meñ raushnaayi na hoti

Khuda gar Muhammad ko paida na karta
Qasam hai Khuda ki Khudaayi na hoti

 

Aur idhar… Lahmo ka Lahmi, Jismo ka Jismi (Hadidh Shareef)

Khuda gar Ali ko bhi paida na karta
To Mushkil hi rahti, Kushayi na hoti

Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali
Ya Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali
Ya Ali, Ali, Ali, Ali, Ali
Ya Ali, Ali
Ya Ali, Ali
Ya Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali, Ali

Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali
Sab, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Chitta kidda bhi howe Kaner da fool
Ote Chambe di Kali nayi ho sagda

Lakh waar dawwo paweñ Khand andar
Te Tumba Misri di dali nayi ho sagda

Ji de ote na Haidri Mohr howe
Qasam Rab Di Wali nayi ho sagda

Howe kitta bi bhabe, chhaddo sahib
Qasam Ali di, Ali nayi ho sagda

Bus, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Salaami, jaañ du jañ hai
Ranj o gham khaasaane Daawar ka

Khulq sibtain ka, Zahra ka,
Haidar ka, Pyambar ka

Sada Shohra rahega khalq me
Ye Zor e Haidar ka

Qatare Shutr, Angushtar ka,
Dar ka, rooh ke par ka

Ali ki Tegh ke dum se huye
ye maarke Faizal

Ohud ka, Badr ka, Saffil ka,
Khandak ka, Khaibar ka

Ghulam e Panjatan ko dar nahi
In Paañch Cheezoñ ka

Azal ka, Jaañ kani ka, Qabr ka,
Barzakh ka, Mehshar ka

To sab, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

Sab, Maaro naara.. Ali Ali.. Ya Ali

 

Haidar Maula haiñ, sare Jag ke Imaam hain
Duniya ke Shaho gada unke Ghulam haiñ

Jag ke andar jag ujiyaara Ali Ali
Hai Mastoñ ka hardum naara Ali Ali

 

Wo to,
Jaane Mohammad haiñ Unka bada Naam hai …
Mushkil ko taal dena Maula Ali ka kaam hai

Tal gayi mushkil jab bhi pukaara Ali Ali
Hai Mastoñ ka hardum naara Ali Ali

 

Bedam yahi to Paañch hai
Maqsoode Qaayanat

Khairunnisa, Husain o Hasan, Mustafa, Ali

Nabuwwat unke Ghar ki hai
Risaalat unke Ghar ki hai
Wilaayat unke Ghar ki hai
Imaamat unke Ghar ki hai
Sadaqat unke Ghar ki hai
Sharafat unke Ghar ki hai
Shuja’at unke Ghar ki hai
Shahadat unke Ghar ki hai
Shariyat unke Ghar ki hai
Tariqat unke Ghar ki hai
Haqeeqat unke Ghar ki hai
Maarifat unke Ghar ki hai
Mohabbat unke Ghar ki hai
Murawwat unke Ghar ki hai
Aqeedat unke Ghar ki hai
Ye Nisbat unke Ghar ki hai
Riyazat unke Ghar ki hai
Ibaadat unke Ghar ki hai
Adaalat unke Ghar ki haiG

Gunahgaaroñko bakhshaana

Ye Aadat unke ghar ki hai

 

Bol raha hai Tan man sara Ali Ali
Hai Mastoñ ka hardum naara Ali Ali


Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Urdu, Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

| Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *