Gham Sabhi Rahat o Taskeen Meiñ

Gham Sabhi Rahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ, Naat e Paak Lyrics in Urdu, Hindi and English, Original Lyrics

Shayar: Khalid Mahmud ‘Khalid’


हिन्दी लिरिक्स |اردو لرکس 


 

Gham Sabhi Rahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ

(Asal misraGham Tamaaneeyat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ)

Jab Karam Hota Hai Haalaat Badal Jaate Haiñ

 

Gham Sabhi Rahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ…

 

Unki Rahmat Hai Khata Posh gunahgaaroñ ki

Khote sikke sare Baazaar Bhi chal jaate haiñ

 

Ism e Ahmad Ka Wazeefa Hai Har ik Gham Ka ilaaj

Laakh Khatre Hoñ Isi Naam Se Tal Jaate Haiñ

 

Aap Ke Zikr Se ik Kaif Mila Karta Hai

Aur Jitne Bhi Haiñ Asraar Woh Khul Jaate Haiñ

 

Apni Aaghosh Meiñ Leleta Hai Jab Unka Karam

Zindagi Ke Sabhi Andaaz Badal Jaate Haiñ

 

Ishq Ki Aañch Se Dil Kyuñ Na Banega Kaaba

Ishq Ki Aañch Se Patthar Bhi Pighal Jaate Haiñ

 

Rakh hi lete Haiñ Bharam Apne Karam Ke Sadqe

Jab Kisi Baat Pe Deewane Machal Jaate Haiñ

 

Dam Nikal Jaaye Teri Yaad Meiñ Phir Hum Bhi Kaheñ

Lillahil Hamd Liye Husn e Amal Jaate Haiñ

 

Aa Pade Haiñ Tere Qadmoñ Meiñ Ye Sun Kar Hum Bhi

Jo Tere Qadmoñ Meiñ Girte Haiñ, Sañbhal Jaate Haiñ

 

Ummat e Ahmad e Mukhtar Nahiñ Ho Sakte

Aur Haiñ Aur, Jahannum Meiñ Jo Jal Jaate Haiñ

 

Mutmayin Hoñge Magar Dekh Ke Jalwah Unka

Hum Nahiñ Woh Jo Khilaunoñ Se Bahal Jaate Haiñ

 

Aap Ko Kaaba e Maqsood Hi Maanuñ Khalid

Aap Ke Dar Pe, Sab Armaan Nikal Jaate Haiñ

 

Yaad Unki, Badal Unka Nahiñ Hone Paati

Hijr Ke Shaam o Sahar, Pyar Meiñ Khal Jaate Haiñ

 

Gham sabhi rahat o taskin me dhal jate hain ..

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *