Aa Gaye Mustafa Padho Salle Ala (Wiladat e RasoolAllah)
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Jashne Eid e Meelad e Nabi Mustafa
Rahmatoñ Ka Hai Lekar Payaam Aa Gaya
Uspe Mere Khuda Ka Karam Ho Gaya
Jiske Lab Pe Muhammad Ka Naam Aa Gaya
Wilaadat e Rasoolullah
Wilaadat e HabeebAllah
Wilaadat e NabiAllah
Marhaba! Marhaba! Aa Gaye Haiñ NoorAllah
Wilaadat e RasoolAllah
Wilaadat e HabeebAllah
Wiladat e Nabi Allah
Aa Gaye Mustafa
Padho Salle Alaa Sayyadi Marhaba! Marhaba!
Aamna Ji Ke Ghar Meiñ Ujala Hua
Aaj Paida Mera Kamli Wala Hua
Ahmad e Mujtaba Ki Wilaadat Hui
Aaj Khairul Wara Ki Wilaadat Hui
Padho Salle-Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba!
Wiladat e RasoolAllah
Wiladat e HabeebAllah
Wiladat e Nabi Allah
Marhaba! Marhaba! Aa Gaye Haiñ NoorAllah
Har Taraf Noori Noori Fiza Ho Gayi
Mahki Mahki Moa’ttar Hawa Ho Gayi
Büt Gire Aur AatishKada Bujh Gaya
Aa Gaye, Aa Gaye Wo Habeeb-e Khuda
Padho Salle-Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Raushni Deen e Fitrat Ki Laayi Gayi
Raah Insaañ Ko Seedhi Dikhayi Gayi
Ab Jahan Se Butoñ Ki Khudaayi Gayi
Har Kisi Ko Khabar Ye Sunayi Gayi
Padho Salle-Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Nek Bandoñ Meiñ Jaah o Hasham Baantne
GulKadoñ Me Bahaar e Iram Baañtne
Hum Se Mañgtoñ Meiñ Lutf o Karam Baañtne
Aaye Apne Paraaye Ka Gham Baañtne
Padho Salle-Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Tha Zamaane Meñ Chhaaya Kufar Chaar Su
Bazm e Duniyañ Me Thi Na Koi Rang o Bu
Aap Ke Aane Se Raunaqeñ Aa Gayiñ
Har Taraf Rahmateñ Barkateñ Chha Gayiñ
Padho Salle-Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Aap Ke Noor Se Hai Munawwar Jahañ
Haiñ Darakhshaañ Sitare, Rawaañ Kahkashaañ
Do Jahañ Aaj Haiñ Jagmagaye Hue
Mere Aaqa Haiñ Tashreef Laaye Hue
Padho Salle Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Mustafa Jaan e Rahmat Nabi Aa Gaye
Sab Ki Karne Shafa’at Nabi Aa Gaye
Aaj Jashn e Charaghañ Manaao Sabhi
Dono Aalam Ki Zeenat Nabi Aa Gaye
Padho Salle Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Jagmagane Lage, Ye Jahañ, Wo Jahañ
Unke Aane Se Chamke Zameeñ Aasmaañ
Ghuncha Ghuncha Bana Gulfashañ Gulfashañ
Har Taraf Rahmateñ bekaraañ bekaraañ
Padho Salle Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Laaye Tashreef Sultan e Kaun o Makaañ
Tajdar e Haram, Sayyad e Mursalaañ
Raah e Haq Meñ Nahane Lage Do Jahañ
Bole Jibraeel Kaabe Se Dekar Azaañ
Padho Salle Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Dono Aalam Pe Karne Ko Chashm e Karam
Aa Gaye Mustafa Taajdaar e Haram
Kamli Wale Nabi Sayyad e Mohtaram
Aaye Aaqa Ghareeboñ Ka Rakhne Bharam
Padho Salle Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Wilaadat e RasoolAllah
Wilaadat e HabeebAllah
Wilaadat e NabiAllah
Aa gaye Mustafa
Padho Salle Alaa Sayyadi Marhaba Marhaba
Our Pages
Naat-E-Paak
More Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam