Shehre Nabi Teri Galiyon Ka Naqsha He Kuchh Naat Lyrics
शेहर नबी तेरी गलियों का नक़्शा ही कुछ ऐसा है
| Naat-E-Paak |
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Hafiz Bilal Qadri, Shahana Shoukat Sheikh,Sayyad Faizi Ashrafi,
शेहर नबी तेरी गलियों का नक़्शा ही कुछ ऐसा है
ख़ुल्द भी है मुश्ताक़े ज़ियारत जल्वा ही कुछ ऐसा है
Shehre Nabi Teri Galiyon Ka Naqsha He Kuchh Aisa Hai
Khuld Bhi Hai Mushtaaq E Ziyarat Jalwa He Kuch Aisa Hai
दिल को सुकूं दे, आँख को ठंडक, रौज़ा ही कुछ ऐसा है
फ़र्शे ज़मीं पर अर्शे बरी हो लगता ही कुछ ऐसा है
Dil Ko Sukoo(N) De, Aankh Ko Thandak, Rouza He Kuchh Aisa Hai
Farsh E Zami(N) Par Arshe Bari Ho Lagta He Kuchh Aisa Hai
उनके दर पर ऐसा झुका दिल ! उठने का कुछ होश नहीं
अहले शरीयत हैं सकते में सजदा ही कुछ ऐसा है
Unke Dar Par Aisa Jhuka Dil ! Uthne Ka Kuchh Hosh Nahi
Ahle Shariyat Hein Sakte Me Sajda He Kuchh Aisa Hai
अर्शे मुअ़ल्ला सर पे उठाए, ता़हिरे-सिदरा आँख लगाए
पत्थर भी क़िस्मत चमकाएं तलवा ही कुछ ऐसा है
Arshe Mu’alla Sar Pe Uthaye Taahir Sidra Aankh Lagaaye
Patthar Bhi Qismat Chamkaye(N) Talwa He Kuchh Aisa Hai
सिब्ते नबी हैं पुश्ते नबी पर और सजदे की हालत है
आक़ा ने तस्बीह़ बड़ा दी, बेटा ही कुछ ऐसा है
Sibte Nabi Hein Pushte Nabi Par Aur Sajde Ki Halat Hai
Aaqa Ne Tasbeeh Bada Dee Beta He Kuchh Aisa Hai
ख़म हैं यहाँ जमशेदो सिकंदर, इस मे क्या हैरानी है
उनके ग़ुलामों का ऐ अख़्तर ! रुतबा ही कुछ ऐसा है
Kham Hein Yaha Jamshed o Sikandar Is Me Kya Hairani Hai
Unke Ghulamo Ka Ae Akhtar ! Rutba He Kuchh Aisa Hai
शेहरे नबी तेरी गलियों का नक़्शा ही कुछ ऐसा है
ख़ुल्द भी है मुश्ताक़े ज़ियारत जल्वा ही कुछ ऐसा है
Shehre Nabi Teri Galiyon Ka Naqsha He Kuchh Aisa Hai
Khuld Bhi Hai Mushtaqe Ziyaarat Jalwa He Kuchh Aisa Hai
Hindi And English Naat Lyrics
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar
This kalaam was written by huzoor shaikhul Islam, saiyed mohammed Madni Milan ashrafi ul jilani.