Aao Baba Ko Rukhsat Karo Noha Lyrics

Aao Baba Ko Rukhsat Karo Noha Lyrics

 

 

Betiyañ Thiñ, Janaza Tha, Ehsaas Tha
Door Baba Ki Mayyat Se Abbas Tha,
Waqt-e-Rukhsat Ka Farja Hataya Gaya
Aakhiri Bar Chehra Dikhaya Gaya,
Apne Abbas Ka Jab Khayal Aa Gaya
Deke Aawaz Shabbir Ne Ye Kaha,

 

Abbas! Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Aaj Baazu Bhi Haiñ Aur Janaza Bhi Hai
Aao Baba Ko Rukhsat Karo

Abbas! Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Jab Se Baba Ne Choome Haiñ Shaane Tere
Karbala Yaad Aati Hai Bhai Mujhe,
Ek Zakhmi Wadan Hoga Jab Be-Kafan
Kon Aayega Bhai Uthane Use,
Aaj Sab Hain Chalo Tum Mera Saath Do
Door Baitho Na Ab Mere Ghazi Utho,

 

Aao Baba Ko Rukhsar Karo
Abbas! Aao Baba Ko Rukhsat Karo

 

Jaanta Huñ Bahot Sabr Tumne Kiya
Apne Baba Ke Qatil Ko Paani Diya,
Zakhm Gahra Hai Ab Bhi Shakista Hai Sar
Usne Talwar Se War Aisa Kiya,
Zarb Ke Zakhm Se Khoon Phir Na Bahe
Dekho Mayyat Rakhi Hai Bahot Der Se,

 

Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Aaj Baazu Bhi Hain Aur Janaza Bhi Hai
Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Jaise Amma Ne Mujhko Bulaya, Suno
Tum Bhi Baba Ko Ik Bar Aawaz Do,
Maa Ki Tarha Se Band-e Kafan Todkar
Apne Seene Se Tumko Laga Leñge Wo,
Unka Ehsaas Ho Tum To Abbas Ho
Mere Baba Ke Dil Ke Bahot Paas Ho,

 

Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Abbas! Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Bas Ye Arman Hota Hai Har Baap Ka
Mere Bete Uthayeñ Jabaza Mera,
Kah Ke Ye Baat, Shabbir Rone Lage
Aur Phir Haath Seene Pe Rakhkar Kaha,
Aisa Na Ho Kabhi Baap Uthaaye Koi
Apne Kaañdhe Pe Mayyat Jawan Laal Ki,

 

Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Aaj Baazu Bhi Hain Aur Janaza Bhi Hai
Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Yaad Hai Tumko? Baba Ne Jaate Huye
Haath Rakkha Tumhara Mere Haath Pe,
Tumko Shab Ki Namazoñ Me Manga Gaya
Ae Mere Bhai Karbobala Ke Liye,
Kya Ye Sadma Hai? Kam Haiñ Yateem Aaj Ham
Haye Aaghaz-e-Karbobala Hai Ye Gham,

 

Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Abbas! Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Thaam Kar Apni Tooti Huyi Pasliyañ
Dekho Baba Ke Pahlu Me Baithi Haiñ Maa,
Haye Ghurbat Wohi Haath Pahlu Pe Hai
Taaziyanoñ Ke Jis Par Haiñ Ab bhi Nishañ,
Dekho Ae Ba-Wafa Saath Haiñ Mustafa
Chal Ke Baba Ko Ab Bol Do Alvida,

 

Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Aaj Baazu Bhi Haiñ Aur Janaza Bhi Hai
Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Dekho, Baba Ki Mayyat Se Lipti Hai Wo
Tumhi Zainab Ke Jeene Ki Ummeed Ho,
Bhai Shabbar Ne Rukh Se Hataya Tha Jo
Apne Haathoñ Se Tum Wo Kafan Baañdh Do,
Aks-e-Khaibar Shikan Mar Na Jaye Bahan
Tumko Dekhegi To Chhor Degi Kafan,

 

Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Abbas! Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Baat Bahnoñ Ki Aayi To Ghazi Uthe
Apne Baba Ki Mayyat Ki Janib Chale,
Aake Baba Ke Qadmoñ Ka Bosa Liya
Ae Raza Haal Zeeshan Kaise Likhe!
Jab Janaza Utha Ghar Me Kohram Tha
Roke Abbas Ne Bhaiyo Se Kaha,

 

Aao Baba Ko Rukhsat Karo
Aao Baba Ko Rukhsat Karo.

 

Recited by: Syed Raza Abbas Zaidi
Poet: Zeeshan Abidi

 

Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir