Sher e Khuda Tha Musallay Par Lyrics | Umair Zubair 

Sher e Khuda Tha Musallay Par Lyrics By Umair Zubair

 

Koofe Ki Aankh Ne Dekha, Wo

Masjid Me Qayamat Ka Manzar,

Farooqi Kaise Bayan Karuñ 

Haider Ki Shahadat Ka Manzar.

 

Ye Waqt Namaz-e-Fajar Ka Tha

Aur Sher-e-Khuda Tha Musalle Par,

Phir Tumko Batauñ Kya Logo

Kya Zulm Hua Tha Musalle Par !

 

Ye Waqt Namaz-e-Fajar Ka Tha

Aur Sher-e-Khuda Tha Musalle Par 

 

Maloom Tha Bint-e-Haider Ko

Wo Khabar Thi Shaam-e-Gharibañ Ki,

Unneesve Roze Ki Sahri

Jo Khoon Gira Tha Musalle Par.

 

Ye Waqt Namaz-e-Fajar Ka Tha

Aur Sher-e-Khuda Tha Musalle Par 

 

Karbal Ki Kahani Se Pahle

Ye Waqt Bhi Koofe Ne Dekha,

Zainab Ka Baba Zarbat Se

Mazroob Hua Tha Musalle Par.

 

Ye Waqt Namaz-e-Fajar Ka Tha

Aur Sher-e-Khuda Tha Musalle Par 

 

Mahraab o Mimber Masjid Ke

Aazurda The Afsurda The,

Aaj Aakhiri Bar Imam e Ali

Mazloom Khada Tha Musalle Par.

 

Ye Waqt Namaz-e-Fajar Ka Tha

Aur Sher-e-Khuda Tha Musalle Par 

 

Sajdoñ Ka Shok Mere Dil Me

Kuchh Ye Bhi Soñch Ke Badhta Hai,

Farooqi Zakhmi Ho Kar Bhi

Mera Peer Jhuka Tha Musalle Par.

 

Ye Waqt Namaz-e-Fajar Ka Tha

Aur Sher-e-Khuda Tha Musalle Par 

 

Shahadat e Mola Ali 21 Ramdan Kalam 2023

 

Our Pages

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali