Kamal Aaya Naat Lyrics

Kamal Aaya Naat Lyrics

 

Paikar-e-Dil Ruba Banke Aaya
Rooh-e-Arz-o-Sama Banke Aaya
Sab Rasool-e-Khuda Banke Aaye
Wo Habib-e-Khuda Ban Ke Aaya

 

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya Kamal Aaya
Jo Hizr-e-Taiba Me Yaad Bankar
Khyaal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Teri Duaoñ He Ki Badaulat
Azaab e Rab Se Bache Huye Hain
Jo Haq Me Ummat Ke Tere Par
Sawaal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Ghuroor Umaiya Ka Tor Dala
Dikha Ke Iman Wala Jazwa
Jo Habshiyoñ Me Ghulam Tera
Bilal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Nabi Ki Aamad Se Noor Faila
Faza e Shab Par Nikhar Aaya
Chaman Me Kaliyoñ Ke Rukh Pe
Husn-o-Jamaal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Laqab Jo Siddiq Tera Thehra
Nirala Sabse Hai Tera Pahra
Nabi Ke Shaatim Pe Jaise Tujhko
Jalal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Umar Ki Jur’at Pe Jauñ Qurbañ
The Qaisar-o-Qisra Jin Se Larza
Umar Ke Aane Se Kufr Par Jo
Jawal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Hussain Ibne Ali Ka Nara
Zawañ Par Aaya To Dil Pukara
Nabi Ka Pyara, Hasiñ Dulara
Kamal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Nabi To Saim Sabhi Hain Aala
Hain Rutbe Sab Ke Azim-o-Bala
Magar Jo Aakhir Me Aamina Ka
Wo Laal Aaya, Kamal Aaya

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be-Misaal Aaya, Kamal Aaya

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali