Sanbhalne Ke Liye Girna Pada Hai Lyrics in Urdu Hindi English | संभलने के लिए गिरना पड़ा है |سنبھلنے کے لیے گرنا پڑا ہے
Kalam : Muzaffar Warsi
Sanbhalne Ke Liye Girna Pada Hai
سنبھلنے کے لیے گرنا پڑا ہے
ہمیں جینا بہت مہنگا پڑا ہے۔
संभलने के लिए गिरना पड़ा है
हमें जीना बहुत महंगा पड़ा है।
Sanbhalne Ke Liye Girna Pada Hai
Hameñ Jeena Bahot Mañhga Pada Hai.
رقم تھیں اپنے چہرے پر خراشیں
میں سمجھا آئینہ ٹوٹا پڑا ہے
रकम थीं अपने चेहरे पर ख़राशें
मैं समझा आइना टूटा पड़ा है।
Raqam Thiñ Apne Chehre Par Kharaasheñ
Maiñ Samjha Aayina Toota Pada Hai.
نہ جانے لٹ گئی تنہائی کس کی
کہیں آہٹ کہیں سایہ پڑا ہے۔
न जाने लुट गई तनहाई किसकी
कहीं आहट, कहीं साया पड़ा है।
Na Jaane Lut Gayi Tanhai Kis Ki
Kahiñ Aahat, Kahiñ Saya Pada Hai.
بدن شوقین کم پیراہنی کے
در و دیوار پر پردہ پڑا ہے۔
बदन शौक़ीन कम पैराहनी के
दर-ओ-दीवार पर पर्दा पड़ा है।
Badan Shouqeen Kam Pairaahani Ke
Dar-o-Deewar Par Parda Pada Hai.
محبت آنسوؤں کے گھاٹ لے چل
بہت دن سے یہ دل میلا پڑا ہے۔
मोहब्बत आंसुओं के घाट ले चल
बहुत दिन से ये दिल मैला पड़ा है।
Mohabbat Aansuoñ Ke Ghaat Le Chal
Bahot Din Se Ye Dil Maila Pada Hai.
ڈبو سکتی نہیں دریا کی لہریں
ابھی پانی میں اک تنکا پڑا ہے۔
डुबो सकती नहीं दरिया की लहरें
अभी पानी में इक तिनका पड़ा है।
Dubo Sakti Nahi Darya Ki Lahreñ
Abhi Pàani Me Ik Tinka Pada Hai.
زمین ناراض ہے کچھ ہم سے شاید
پڑا ہے پاؤں جب، الٹا پڑا ہے
ज़मीं नाराज़ है कुछ हमसे शायद
पड़ा है पांव जब, उल्टा पड़ा है।
Zami Naraz Hai Kuchh Hum Se Shayad
Pada Hai Pañw Jab, Ulta Pada Hai.
حواس و ہوش ہیں بیدار لیکن
زمیر انسان کا سویا پڑا ہے۔
हवास-ओ-होश हैं बेदार लेकिन
ज़मीर इंसान का सोया पड़ा है।
Hawaas-o-Hosh Hain Bedar Lekin
Zameer Insan Ka Soya Pada Hai.
مظفر ہاتھ اٹھا تھا زندگی پر
گریبانِ انا پر جا پڑا ہے۔
मुज़फ्फ़र हाथ उठा था जिंदगी पर
गरीबान-ए-अना पर जा पड़ा है।
Muzaffar Haath Utha Tha Zindagi Par
Gareeban-e-Ana Par Ja Pada Hai.
شاعر۔ مظفر وارثی
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar