Jake Baba Ko Sab Bataungi Noha Lyrics
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Tumne Tauheen Ki Meri Kitni
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Ek Din Wo Tha Dekhkar Mujhko
Apne Mimber Se Uth Gaye Baba
Ek Ye Din Hai Mere Aane Par
Koi Tazim Ko Nahiñ Uttha
Kitni Ummat Badal Gayi Unki
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Mujhko Darbar Me Khada Rakh ke
Kar Rahe Wo Kalam Has Has Ke
Haye Afsos Meri Zainab Ke
Samne Kah Rahe Ho Jhoota Mujhe
Tumne Tahreer Chaak Ki Unki
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Dekh kar Mujhko Poochhenge Baba
Zakhm Chehre Pe Kaisa Aaya Hai
Maiñ Bataungi Poori Taqat Se
Kisne Muh Par Tamacha Mara Hai
Gir Gayi Kaise Kaan Ki Baali
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Oonchi Awaz Se Mere Dar Par
Tum Ali Ko Bulaye Jaate The
Maiñ Thi Behosh Jalte Dar Ke Tale
Aur Dar Par Se Tum Guzarte Rahe
Jhuk Gayi Kis Tarha Kamar Meri
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Jisne Azad Qaidiyoñ Ko Kiya
Tumne Usko Bana Diya Qaidi
Jisne Kuffaar Se Bachaya Tha
Uski Gardan Me Daal Di Rassi
Be-Wafayi Ki Inteha Kar Di
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Maiñ Shikayat Karuñgi Baba Se
Kisne Zahra Pe Haath Uthaya Hai
Kisne Pahlu Pe Thokareñ Maari
Kisne Mohsin Ko Mere Mara Hai
Ek Bhi Shakl Maiñ Nahiñ Bhooli
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Mir Sajjad Kya Bayañ Ho Bhala
Ghar Me Jab Aayi Laut Kar Zehra
Hoke Baichain Poochte The Ali
Bolo Darbar Me Hua Kya Kya
Sirf Ro Ro Ke Bibi Kahti Rahiñ
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Boli Darbar Me Ye Binte Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataungi
Written by: Mir Sajjad Mir Masaib
Manqabat Fatima Zahra Sa Lyrics
- Haye Baba Aapke Baad Na Soyi Zehra
- Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya Baba Tere Baad
- Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin
- Noore chashme mustafa hain fatima
- Fakhre mustafa hai fatima
- या फ़ातिमा ज़हरा तुम्हें बच्चों की क़सम है
- Kam nahi ye meri khushi zahra
- Kon samjhe bhala fatima kon hai
- Noor ki anjuman Fatima
- Izzat khuda Ki Fatima Binte Nabi Batool Hain
- Mazar e Fatima Kitna Udas Hai
- Khak Me Khak E Bashar Phir Se mila De Zahra