Haye Baba Aapke Baad Na Soyi Zehra

Haye Baba Aapke Baad Na Soyi Zehra Lyrics | Noha Bibi Fatima s.a. 2022-23 | Nad e Ali

Haye.. Haaye…

Ik Roz Madine Waloñ Ne
Haider Se Kaha Zehra Se Kaheñ,
Wo Raat Me Mahlan Roleñ Ya
Baba Ke Liye Din Me Ro Leñ.

Ye Baat Ali Ne Batlayi
Jab Fatima Zehra Ko Aa Kar,
Boliñ Zehra Maiñ Ro Luñgi
Ab Ghar Se Door Kahiñ Jakar.

Ye Sunke Madine Se Bahar
Ik Bait-ul-Huzn Banaya Gaya,
Jahañ Baith Ke Zehra Roti Thiñ
Aur Ro-Ro Ke Ye Kahti Thiñ

!بابا
صبت علي مصائبٌ لو أنها
صُبت على الأيام صرن لياليا

Baba!
Sabbat ‘Alaiya Masayibun Lau Anha.
Baba!
Subbat ‘Al-Al-Ayyame Sirna Layaaliya.

[Tarjuma: (Baba Jaan Aapke Baad) Mujh Par Woh Masayib Aan Padey Keh Agar Dinoñ Par Aate To Woh Raatoñ Meiñ Badal Jaate]

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi
Haye Wawaila…

Jis Ghari Jalta Hua Mujhpe Wo Darwaza Gira,
Pasliyañ Toot Gayiñ Pahlu Shakistañ Bhi Hua,
Tumhari Ye Beti .. Zehra
Sada De Rahi Thi,
Tumhari Ye Beti Sada De Rahi Thi,
Haye Maara Gaya Mohsin Mera.

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi.

Baba Tum Jab Se Gaye Ho Gayi Tanha Zehra,
Aapki Yaad Me Jab Ghar Me Bichha Farsh e Azaa,
Isi Gham Me Royi .. Zehra
Yateemi Me Koi,
Isi Gham Me Royi Yateemi Me Koi,
Dene Nahiñ Aaya Hausla.

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi
Wawaila..Wawaila..Wawaila..Wawaila
Haye Baba.

Kash Wo Waqt Kabhi Mujhpe Na Aata Baba,
Maine Haider Ka Gala Rassi Me Dekha Baba,
Gayi Jab Bachane .. Zehra
Lage Taaziyane,
Gayi Jab Bachane Lage Taaziyane,
Are Haath Mera Zakhmi Hua.

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi.

Baba Ik Maa Ke Liye Waqt Bahot Mushkil Tha,
Ek Zalim Ne Mere Rukh Pe Tamacha Mara,
Chhupaati thi Chehra .. Zehra,
Hasan Dekhta Tha,
Chhupaati thi Chehra Hasan Dekhta Tha,
Jab Surkh Hua Chehra Mera.

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi
Wawaila.. Wawaila.. Wawaila.. Wawaila
Haye Baba.

Mere Aane Pe Jahañ Aap Bhi Uth Jaate The,
Wohi Darbar Tha Aur Samne Sab Baithe Rahe,
Akeli Khadi Thi.. Zehra
Fidaq Maangti Thi,
Akeli Khadi Thi Zehra Fidaq Maangti Thi,
Afsos Mujhe Haq Na Mila

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi
Haye Baba.

Sirf Attharah Baras Me Ye Mera Ye Aalam Hai
Dekho Baaloñ Me Safedi Hai, Kamar Bhi Kham Hai
Zayifa Hai Ab To .. Zehra
Mera Haal, Dekho
Zayifa Hai Ab To Mera Haal, Dekho
Maiñ Thaam Ke Chalti Huñ Asaa.

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi
Haye Wawaila.. Wawaila.. Wawaila.. Wawaila
Haye Baba.

Ro Ke Zeeshan Yehi Kahta Hai Irfan e Aza
Chheen Kar Saya Layiñ Ne Wo Shajar Kaat Diya
Jahañ Baith Ti thi.. Zehra
Bas Ab Dhoop Me Bhi
Jahañ Baith Ti thi, Bas Ab Dhoop Me Bhi
Hoñtoñ Pe Yehi Tha Be-Siyaaq.

Haye Baba …
Aap Ke Baad Na Soyi Zehra
Bas Roti Rahi
Haye Baba
Zahra…..

Noha Khwan: Irfan Haider
Poet: Zeeshan Abidi


Manqabat Fatima Zahra Lyrics