Bagh e Islam Sajaya Hai Raza Khan Tumne Lyrics
Raza, Raza, Raza, Raza
Raza, Raza, Raza, Raza
Mere Raza, Pyare Raza,
Sohne Raza, Achhe Raza
Ahmad Raza, Pyare Raza
Bagh-e-Islam Sajaya Hai Raza Khan Tumne
Gul Aqidat Ka Khilaya Hai Raza Khan Tumne
Ishq-e-Sarkar-e-Do Alam Ke Samandar Me Hameñ
Fazl-e-Mola Se Tiraya Hai Raza Khan Tumne
Ishq-e-Sarkar-e-Do Alam Ka Hameñ De Ke Sabaq
Bad-Aqidoñ Ko Bhagaya Hai Raza Khan Tumne
Koi Hashmat Hai Koi Mufti-e-Aazam Mera
Kaise Gulshan Ko Khilaya Hai Raza Khan Tumne
Husn-e-Akhtar Me Chamak Teri Na Kyuñ Aaye Nazar
Apna Naa’ib Jo Banaya Hai Raza Khan Tumne
Waadi-e-Kufr Ko Ik Lamhe Me Ghaarat kar Ke
Raasta Haq Ka Dikhaya Hai Raza Khan Tumne
Kaise Imaan Ko Lootenge Bahawi Zalim
Har Jagah Pahra Bithaya Hai Raza Khan Tumne
Dil Ki Dhadkan Se Nida Aati Hai Mashhood Raza
Qadri Rang Chadhaya Hai Raza Khan Tumne
Bagh-e-Islam Sajaya Hai Raza Khan Tumne
Gul Aqidat Ka Khilaya Hai Raza Khan Tumne
Manqabat Khwan: Salman Raza Ashrafi
Lyrics: Mashood Raza Qadri
Our Pages
Naat-E-Paak
Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar