Aaqa Pe Qurban Raza Hai Lyrics
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Ushahaq Ki Fehrist Me Zeeshan Raza Haiñ
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Hain Bahre Adu Qahr e Khuda Se Saif e Ali Wo
Sunni Ke Liye Ishq Ka Guldaan Raza Haiñ
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Qurban Meri Jaan Ke Is Daur Me Koi
Unsa Nahiñ Insaan, Wo Insaan Raza Hai
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Jo Bik Nahiñ Sakta, Kabhi Paisoñ Se Jahañ Me
Ham Ahle Mohabbat Ka Wo Samaan Raza Haiñ
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Bas Maiñ Hi Nahiñ Karta Huñ Taslim Ye Balki
Kahte Hain Sabhi Hind Ke Hassan Raza Haiñ
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Aati Hai Bareilly Se Hameñ Taiba Ki Khushbu
Gulzar e Madina Ka Hi Faizan Raza Hai
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Jis Ne Bhi Padha Unko, Bana Aashiq e Sadiq
Wo Ishq Se Mamoor Gulistan Raza Hai
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Paoñ Mera Fisle Raah e Haq Nahiñ Mumkin
Har Mod Pe Khud Mere Nigehban Raza Haiñ
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Sarkar Ki Namoos Pe Jo Karta Hai Tanqeed
Unke liye Barbadi Ka Toofan Raza Hai
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Jab Qabr Me Tafseer! Sawalaat Hoñ Tumse
Us Waqt Ye Keh Dena Meri Jaan Raza Haiñ
Aaqa Pe Dilo Jaan Se Qurban Raza Haiñ
Manqabat Khwan: Syed Abdul Qadir Al Qadri
Lyrics: Tafseer Raza Amzadi
Our Pages
Naat-E-Paak
Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar