Utha Do Parda, Dikha Do Chehra, Ki Noore-E Baari Hijaab Me Hai Naat Lyrics
Utha Do Parda, Dikha Do Chehra, Ki Noore-E Baari Hijaab Me Hai Naat Lyrics
Shayar: Ala Hazrat | Naat-E-Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Asad Iqbal, Rahmat Qadri Kannoujvi,
उठा दो पर्दा, दिखा दो चेहरा, कि नूरे बारी ह़िजाब में है
ज़माना तारीक हो रहा है कि मेहर कब से निक़ाब में है
Utha Do Parda, Dikha Do Chehra, Ki Noore-E Baari Hijaab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Meher Kab Se Niqaab Me Hai
नहीं वोह मीठी निगाह वाला ख़ुदा की रह़मत है जल्वा फ़रमा
ग़ज़ब से उन के ख़ुदा बचाए जलाले बारी इ़ताब में है
Nahi Who Meethi Nigaah Wala Khuda Ki Rahmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke khuda Bacha-E Jalaal-E Baari Itaab Me Hai
जली जली बू से उस की पैदा है सोज़िशे इ़श्क़े चश्मे वाला
कबाबे आहू में भी न पाया मज़ा जो दिल के कबाब में है
Jali Jali Boo Si UsKi Paida Hai Sozish Ishqe Chashme Waala
Kabaab-E Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai
उन्हीं की बू मायए समन है, उन्हीं का जल्वा चमन चमन है
उन्हीं से गुलशन महक रहे हैं, उन्हीं की रंगत गुलाब में है
Unhi Ki Boo Maaye-E Saman Hai, Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Gulshan Mahak Rahe Hein, Unhi Ki Rungat Gulaab Me Hai
तेरी जिलौ में है माहे-त़यबा हिलाल हर मर्गो ज़िन्दगी का !
ह़यात जां का रिकाब में है, ममात आ’दा का डाब में है
Teri Jilou Me Hai Maahe-Taiba Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaa(N) Ka Rikaab Me Hai, Mamaat Aa’da Ka Daab Me Hai
सियह लिबासाने-दारे-दुन्या व सब्ज़ पोशाने-अ़र्शे-आ’ला
हर इक है उन के करम का प्यासा, यह फ़ैज़ उन की जनाब में है
Siyah Libasaane-Daare-Duniya Wa Subz Poshane-E-Arsh-Aala
Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyaasa, Yeh Faiz Unki Janab Me Hai
वोह गुल हैं लबहाए नाज़ुक उन के, हज़ारों झड़ते हैं फूल जिन से
गुलाब गुलशन में देखे बुलबुल, यह देख गुलशन गुलाब में है
Woh Gul Hein Lab’ha-E Naazuk Unke, Hazaro Jhudte Hein Phool Jin Se
Gulaab Gulshan Me Dekhe Bulbul, Yeh Dekh Gulshan Gulaab Me Hai
जली है सोज़े जिगर से जां तक, है त़ालिबे जल्वए मुबारक
दिखा दो वोह लब कि आबे ह़ैवां का लुत़्फ़ जिन के ख़ित़ाब में है
Jali Hai soze Jigar Se Jaa(n) Tak, Hai Taalibe Jalwa-e Mubarak
Dikha Do Woh Lab Ki Aabe Haiwa Ka Lutf Jin Ke Khitaab Me Hai
खड़े हैं मुन्कर नकीर सर पर. न कोई ह़ामी न कोई यावर !
बता दो आ कर मेरे पयम्बर कि सख़्त मुश्किल जवाब में है
Khade Hein Munkar Nakeer Sar Par Na Koi Haami Na Koi Ya’war
Bata Do Aa Kar Mere Payambar Ki Sakht Mushkil Jabaab Me Hai
ख़ुदाए क़ह्हार है ग़ज़ब पर, खुले हैं बदकारियों के दफ़्तर
बचा लो आ कर शफ़ीए़ मह़शर, तुम्हारा बन्दा अ़ज़ाब में है
Khuda-E Qahhar Hai Gazab Par, Khule Hein Badkaariyo(n) Ke Daftar
Bacha Lo Aakar Shafi-E Mahshar, Tumhara Banda Azaab Me Hai
करीम ऐसा मिला कि जिस के खुले हैं हाथ और भरे ख़ज़ाने
बताओ ऐ मुफ़्लिसो ! कि फिर क्यूं तुम्हारा दिल इज़्त़िराब में है
Karim Aisa Mila Ki Jiske Khule Hein Haanth Aur Bhare Khazane
Batao Ey Mufliso Ki Fir Kyo Tumhara Dil Iztiraab Me Hai
गुनह की तारीकियां येह छाईं, उमंड के काली घटाएं आईं
ख़ुदा के ख़ुरशीद मेह्र फ़रमा कि ज़र्रा बस इज़्त़िराब में है
Gunaah Ki Taarikiya(n) Yeh Chhai, Umad Ke Kaali Ghataye(n) Aai
Khuda Ke Khurshid Meher Farma Ki Zarra Bas Iztiraab Me Hai
करीम अपने करम का सदक़ा लईमे बे क़द्र को न शरमा
तू और रज़ा से ह़िसाब लेना, रज़ा भी कोई ह़िसाब में है
Karim Apne Karam Ka Sadqa Laeem-E Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur RAZA Se Hisaab Lena, Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyric
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |