Wo deen-e-Muhammad ke wafadar kahan hain
Mit jayen jo deen par wo jaanisar kaha hain
Aghyar ke zulmo sitam ka hai wo nishana
Mazloom musalmano ke ghamkhwar kaha hain
Takti hain jinki rahen wo kashmir-o-falasteen
Ummat ke wo jari sipah-salaar kaha hain
Wo deen-e-Muhammad ke wafadar kahan hain
Mit jayen jo deen par wo jaanisar kaha hain
Ummat ka haal dekh ke tadpe jo baar-baar
Ummat ke liye ho jo be-qaraar kahan hai
Wo dushmamane deen ko jo raund ke jayen
Maidan-e-jang ke wo shah-sawar kaha hain
Wo deen-e-Muhammad ke wafadar kahan hain
Mit jayen jo deen par wo jaanisar kaha hain
Chalte rahen andheri safon me sahar talak
Tareek raaton ke wo shabbedar kahan hain
Mud ke jo peechhe dekhen na manzil ki chaah me
Wo rah-rawane raahe purkhar kaha hain
Wo deen-e-Muhammad ke wafadar kahan hain
Mit jayen jo deen par wo jaanisar kaha hain
Kaisa sukoot hai ye gulistan-e-deen me
Wo taai,rane mausam-e-bahaar kaha hai
Hubbe jahan me jo kabhi honge na giraftaar
Bas rab ki raza ke wo talabgar kahan hain
Duniya ko zaroorat hai khilafat ki hijaazi
Wo takhte khilafat ke taajdar kahan hain
Wo deen-e-Muhammad ke wafadar kahan hain
Mit jayen jo deen par wo jaanisar kaha hain
Recited by: hafiz jalabeeb qadri
Lyrics: wasim hijaz
वो दीन-ए-मुह़म्मद के वफ़ादार कहाँ है
मिट जायें जो दीं पर वो जां-निसार कहाँ हैं
अग़ियार के ज़ुल्मों सितम का है वो निशाना
मज़लूम मुस्लमानों के ग़मख़्वार कहाँ हैं
तकती हैं जिनके राहें वो कश्मीर-ओ-फ़लस्तीन
उम्मत के वो जरी सिपह-सालार कहाँ हैं
वो दीन-ए-मुह़म्मद के वफ़ादार कहाँ है
मिट जायें जो दीं पर वो जां-निसार कहाँ हैं
उम्मत का हाल देख के तड़पे जो बार-बार
उम्मत के लिए हो जो बे-क़र्रार कहाँ हैं
वो दुश्मनाने दीन को जो रौंद के जायें
मैदाने जंग के वो शाह-सवार कहाँ हैं
वो दीन-ए-मुह़म्मद के वफ़ादार कहाँ हैं
मिट जायें जो दीं पर वो जां-निसार कहाँ हैं
चलते रहे अंधेरी सफ़ों में सहर तलक
तारीक रातों के वो शब्बेदार कहां हैं
मुड़ के पीछे देखे ना मन्ज़िल की चाह में
वो रहरवाने राहे पुरखार कहाँ हैं
वो दीन-ए-मुह़म्मद के वफ़ादार कहाँ है
मिट जायें जो दीं पर वो जां-निसार कहाँ हैं
कैसा सुकूत है ये गुलिस्तान-ए-दीन में
वो ताईरान-ए-मौसम-ए-बहार कहाँ हैं
हुब्बे जहां में जो कभी होंगे ना गिरफ्तार
बस रब की रज़ा के वो तलबगार कहाँ हैं
दुनिया को ज़रूरत है खिलाफ़त की हिजाज़ी
वो तख्ते खिलाफ़त के ताजदार कहाँ हैं
वो दीन-ए-मुह़म्मद के वफ़ादार कहाँ है
मिट जायें जो दीं पर वो जां-निसार कहाँ हैं
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|