Ham apne gharon me duroodon ki shamein lyrics

Ham apne gharon me duroodon ki shamein
Jalate rahe hain jalate rahenge

Muhammad ke nokar muhammad ki mahfil
Sajate rahe hain sajate rahenge

 

Diya unki rub ka kabhi na bujhega
Zamane ke aage ye sar na khulega
Dar e panjtan pe ye sar kham hamesha
Jukate rahe hain jhukate rahenge

 

Ham apne gharon me duroodon ki shamein
Jalate rahe hain jalate rahenge

Muhammad ke nokar muhammad ki mahfil
Sajate rahe hain sajate rahenge

 

Hamara sahara muhammad ka dar hai
Hamen khouf hai na hamen koi dar hai
Ghamon se hame to sada kamli wale
Bachate rahe hain bachate rahenge

 

Ham apne gharon me duroodon ki shamein
Jalate rahe hain jalate rahenge

Muhammad ke nokar muhammad ki mahfil
Sajate rahe hain sajate rahenge

 

Jo maango jo chaho wo karte ata hain
Wo haajat rawa hain wo mushkil kusha hain
Wo apne ghulamon ki bigdi ajal se
Banate rahe hain banate rahenge

 

Ham apne gharon me duroodon ki shamein
Jalate rahe hain jalate rahenge

Muhammad ke nokar muhammad ki mahfil
Sajate rahe hain sajate rahenge

 

Ye duniya me baagh e iram ki hain baatein
Khuda ki qasam ye karam ki hain baatein
Wo farooq ham be-saharon ko dar par
Bulate rahe hain bulate rahenge

 

Ham apne gharon me duroodon ki shamein
Jalate rahe hain jalate rahenge

Muhammad ke nokar muhammad ki mahfil
Sajate rahe hain sajate rahenge

 

Naat Khwan: Qari Shahid Mahmood Qadri


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *