Kabhi To Chhatega Faza Se Andhera Lyrics

Kabhi To Chhatega Faza Se Andhera Qawwali By Sabri Brothers Lyrics

composed by: Maqbool Sabri


 कभी तो छटेगा फ़ज़ा से अंधेरा हिंदी लिरिक्स


Jab bhi ”Bol” tu bol Re Bande Pahle usko tol

“Bol” hi pakde jaayeñge tere Boloñ ka hai Mol

“Bol” bahot Anmol haim lekin “Bol” hi kholeñ Pol
Are! Bolne wale Daana hai to “Bol” bade na bol

 

Ismeñ Mai-Khane ki Tauheen hai Rindoñ ki Hatak hai
Kamzor ke haathoñ me agar jaam diya jaa-e

Jo zaraa si pee ke bahak gaya use Mai-kade se nikaal do

Kyuñ ke,
Yahañ kam nazar ka Guzar nahiñ, Yahañ Ahl-e-zarf ka kaam hai

 

Kyuñ ke,
Yahañ ke Aadaab aur haiñ, zara sañbhal kar Tawaaf karna
Ye Husn ki Anjuman hai Waa-iz, Maqam e Dair o Haram nahi hai

Wo dekh charaghoñ ke Shole manzil se ishara karte hain

 

Kyuñ ke,
Khuloos-e Dil ke Sajde raaegaañ jaaya nahin karte
Aur, Mohabbat karne wale Gham se ghabraya nahi karte

Wo dekh charaghoñ ke Shole manzil se ishara karte hain
Are!
Tu Himmat haare jaata hai, Himmat kahi hara karte Haiñ

Kabhi to Chhatega Faza se Añdhera

 

Kabhi to Chhatega, Faza se Añdhera,
Kabhi to Madhur, Chañdni-Raat hogi

 

Kabhi to Chhatega, Faza se Añdhera,
Kabhi to Madhur, Chañdni-Raat hogi
Are! Kabhi to jaleñge Charaag-e Mohabbat,
Kisi Roz unse Mulaaqaat hogi!

 

(Alfaazoñ ki Bandish Samaat Farmaayiye:)

Agar Dam-ba-Dam wo hameñ Yaad aayeñ
Shabe gham ki taareek tanhayiyon me
Jo bikhreñgi zulfeñ to chhayeñge baadal
Jo tapkeñ ge aansu, to barsaat hogi

 

Ghazab hai idhar meri jaañ pe bani hai
Udhar unke paaoñ me mehdi lagi hai
Agar aise aalam me bhi tum na aaye
To kya hashr ke din Mulaaqaat hogi

 

(Shaane ghazal Sher hai)
Mareeze Mohabbat ka hai waqt aakhir
Khuda ke liye ab to aa jaao warna
Agr tum na aaye aye jaane maseeha
To ye raat phir aakhri raat hogi

 

(Samaat Farmaayiye,)
Judaayi ke Lamhe Qareeb aagaye haiñ
Sitaaroñ ke dil doobte jaa rahe hain
Idhar aao tumko gale lagaa looñ
Khuda jaane phir kab Mulaaqaat hogi

 

Kyuñ,
Ye duniya dorangi ajab is ki baateñ
Agar pyar maango to hasrat milegi
Chaman zindagi ke Hazarooñ khilenge
Magar sirf Dil ki kali na khilegi

 

Faza chup, Ghata chup, Zameeñ-Aasmaañ chup
Chaman chup, Kali chup, hai aur Kehkashañ chup
Udhar wo bhi chup hain, Idhar Maiñ bhi chup hooñ
ilaahi meri Raat kaise Kategi

 

Kahiñ Geet gooñjeñ ge Shahnaayiyoñ ke
Kahiñ Aah o zaari, Kahiñ Shore Maatam
Kisi ka Kahiñ se janaaza uthega
Kisi Ghar se Dulhan ki Doli uthegi

 

Lage har Qadam par Haseenoñ ke Mele
Kisi ne bhi Maqbool itna na poochha
Kahañ jaa rahe ho akele akele
Rahe Zindagi yuñ na tanha Kategi


Urdu, Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

 

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Kabhi toh chatega Fiza se Andhera Lyrics,

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *