Maikada 2 Lyrics – Muhammad Samie Qawwali | मयकदा 2 लिरिक्स हिंदी – मुहम्मद समी
हिंदी में पढ़िए
Saghar ki Aarzu hai na paimana chahiye
Bus ik nigah e murshid e maikhana chahiye
Maikhana Chahiye Hame
Maikhana Chahiye…
Ye Maikada hai Shaikh e Haram apni Raah le
Kam zarf ko idhar kabhi aana na chahiye
Samajh me jisko aata hai maqam e rind o paimana
Wohi to sidqe dil se Shaikh ji aata hai maikhana
Maikhana Chahiye Hame
Maikhana Chahiye…
(Yahañ Kam Nazar ka guzar nahin
Yahañ Ahl e Zarf ka kaam hai)
Peeni hai pijiye magar itna dhyañ rahe
Peene ke baad hosh me aana na chahiye
Peene ke baad hosh me aana na chahiye
Mahv e tasbeeh to sab hain
magar idraak kahañ!
Zindagi khud hi ibadat haim
agar hosh nahi.
Keh gayi kaan me aakar tere daaman
ki hawa
Sahib e hosh wahi hai ke jise hosh nahi.
Peene ke baad hosh me aana na chahiye..
Jis Zindagi meiñ saqi tera zikr hi na ho
Behtar hai us hayat se mar jana chahiye.
Marne se peshtar tujhe mar jana chahiye
Marta nahi hai koi kisi ke firaq se
Ye kah ke mar gaya koi Aashiq firaq se
Ye aastan e yaar hai sehne haram nahi
sehne haram nahi..
Jab rakh diya hai sar, to uthana na chahiye
Maikhana Chahiye Hame
Maikhana Chahiye…
Fakhr e Jahañ hai saqiye tera waqar bhi
Bande bhi tujh se raazi hain parvar digaar bhi
Qurban tujhpe gardish e lailo nahar bhi
Qabze mein Mai parast bhi taa’at guzaar bhi
Fazle khuda se dono jagah ehtiram hai
Saqi tu maikade me haram mein imam hai
Aye saqiye maikhana bhar de mera paimana
Ghanghor ghata hai ya udta hua maikhana
Barsaat ki hawa e mo’attar ka wasta
Maikhana khol saqiye kausar ka wasta
Jata hai mujh se mera zamana shabaab ka
Ay Peer e Mughaañ la mera sheesa sharaab ka
Har Shai se badh ke taahir o at’har ho woh sharaab
Misl e Gul e Bahisht e Mo’attar ho woh sharaab
Maqbool e Baargaah e Payambar Ho woh Sharaab
Maddaah jiska Khaaliq e Akbar ho woh sharaab
Jis ka kahin nishaañ na ho duniya e zist mein
Ya tere maikade meiñ mile ya Bahisht me
Saqi Haiñ jiske shaahe vilayat wahi sharab
Jo Ahl-e Bait ki hai mohabbat wohi sharab
Us khaas Mai ka jaam Jo mashhoor e aam hai
Jisko piye baghair ibaadat haraam hai
Itni si Aarzu hai Shahinshah e Karbala
Lo kar diya bayaan Sar e Aam barmala