Mustafa Ka Badan Noor Hai Naat Lyrics
मुस्त़फ़ा का बदन नूर है
Naat Khwan: Asad Raza Attari
मुस्त़फ़ा का बदन नूर है
हर रविश, हर चलन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
Har Ravish, Har Chalan Noor Hai
मुस्तफा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
जिस्म ए अनवर की क्या बात हो
आपका पैरहन नूर है
Jism e Anwar Ki Kya Baat Ho
Aapka Pairhan Noor Hai
मुस्तफा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
पैदा होते ही सज्दा किया
बचपने की फबन नूर है
Paida Hote Hi Sajda Kiya
Bachpane Ki Faban Noor Hai
मुस्तफ़ा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
आफ़ताबे रिसालत हैं वो
उनकी हर हर अ़दा नूर है
Aaftabe Risalat Hain Wo
Unki Har Har Ada Noor Hai
मुस्तफ़ा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
नूर है बज़्मे याराना ए नूर
महफ़िल ए पंजतन नूर है
Noor Hai Bazme Yarana e Noor
Mahfil e Panjtan Noor Hai
मुस्तफ़ा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
फूल हसनैन, ज़हरा कली
नूर का ये चमन नूर है
Phool Hassnain, Zehra Kali
Noor Ka Ye Chaman Noor Hai
मुस्तफ़ा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
बन गया शहद खारी कुआँ
क्या लुआबे दहन नूर है
Ban Gaya Shahad Khari Kuaa(n)
Kya Lu’abe Dahan Noor Hai
मुस्तफ़ा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
तैबा है अ़र्श से भी फ़ज़ूं
शाहे दीं का वतन नूर है
Taiba Hai Arsh Se Fazu(n)
Shahe Dee(n) Ka Watan Noor Hai
मुस्तफ़ा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
सूर ए नूर में है बयां
आयशा का चलन नूर है
Soor e Noor Me Hai Baya(n)
Aaysha Ka Chalan Noor Hai
मुस्तफा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
नूर है मेरा ख्वाजा पिया
मेरा ग़ौसे ज़मन नूर है
Noor Hai Mera Khwaja Piya
Mera Ghouse Zaman Noor Hai
मुस्तफ़ा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
अपनी पूंजी है इश्क़े रसूल
हम ग़रीबों का धन नूर है
Apni Poonji Hai Ishqe Rasool
Ham Gharibon Ka Dhan Noor Hai
मुस्तफा का बदन नूर है
Mustafa Ka Badan Noor Hai
नात तसनीम पढ़ झूम कर
नाते शाहे ज़मन नूर है
Naat Tasneem Padh Jhoom Kar
Naate Shahe Zaman Noor Hai
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
Salam,
Maqte Me Jo Sher Likha H Usme Shayar Ka Name Galat H Use Update Kr De Waha “Tasleem” Nhi “Tasneem” H Ye Kalam Mere Peer O Murshid Huzoor Mufakkir~£~Islam Syed Tasneem Mahboobi Noori Ka Likha Hua H
Jazak Allah
Shukriya Bhaijan