खुदा के फ़जल से हम पर है साया ग़ौसे आज़म का

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Manqabat Lyrics
Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Manqabat Lyrics

खुदा के फ़जल से हम पर है साया ग़ौसे आज़म का

Shayar: Jameel Qadri  | Naat e Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Asad Attari, Muhammad Sadiq Razvi, Hafiz Tahir Qadri.

 

खुदा के फ़जल से हम पर है साया ग़ौसे आज़म का

हमें दोनो जहां में है साया ग़ौसे आज़म का

Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous E Azam Ka

Humen Dono Jahaan Mein Hai Sahara Ghous E Azam Ka

 

 

अजीज़ो कर चुको तैयार जब मेरे जनाज़े को

तो लिख देना कफ़न पर नामे वाला ग़ौसे आज़म का

Azizo Kar Chuko Taiyaar Jab Mere Janaaze Ko

To Likh Dena Kafan Par Naam E Waala Ghous E Azam Ka

 

 

फ़रिश्तों रोकते क्यूं हो मुझे जन्नत में जाने से

ये देखो हाथ में दामन है किसका ग़ौसे आज़म का

Firishto Rokte Kyun Ho Mujhe Jannat Me Jaane Se

Ye Dekho Haath Mein Daaman Hai Kiska Ghous E Azam Ka

 

 

मुह़म्मद का रसूलों में है जैसे मर्तबा आ़ला

है अफ़ज़ल औलिया मे यूं ही रुत्बा ग़ौसे आज़म का

Muhammed Ka Rasoolo Mein Hai Jaise Martaba A’ala

Hai Afzal Awliya Me Yun Hi Rutba Ghous E Azam Ka

 

 

हमारी लाज किसके हांथ है बग़दाद वाले के

मुसीबत टाल देना काम किसका ग़ौसे आज़म का

Hamari Laaj Kiske Haath Hai Baghdad Wale Ke

Musibat Taal Dena Kaam Kiska? Ghous E Azam Ka

 

 

गये इक वक़्त में सत्तर मुरीदों के यहां हज़रत

समझ में आ नहीं सकता मुअम्मा ग़ौसे आज़म का

Gaye Ek Waqt Mein Sattar Mureedon Ke Yaha Hazrat

Samajh Me Aa Nahi Sakta Muamma Ghous E Azam Ka

 

 

बुला कर काफ़िरों को देते हैं अबदाल का रुतबा

हमेशा जोश में रहता है दरिया ग़ौसे आज़म का

Bula Kar Kafilo Ko Dete Hain Abdar Ka Rutba

Hamesha Josh Me Rehta He Dariya Ghous E Azam Ka

 

 

लुआब अपना चटाया अहमदे मुख़्तार ने इनको

तो फिर कैसे ना होता बोलबाला ग़ौसे आज़म का

Luab Apna Chataya Ahmed E Mukhtar Ne Inko

To Phir Kaise Na Hota Bolbaala Ghous E Azam Ka

 

 

लहद में जब फ़रिश्ते मुझसे पूछेंगे तो कह दूंगा

तरीक़ा क़ादरी हूं नाम लेवा ग़ौसे आज़म का

Lahad Mein Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga

Tariqa Qadri Hu Naam Leva Ghous E Azam Ka

 

 

खुदा वन्दा दुआ मक़बूल कर रु सियाहों का

गुनाह़ों को हमारे बक्श सदक़ा ग़ौसे आज़म का

Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyaho(N) Ki

Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous E Azam Ka

 

 

जनाब ग़ौस दुल्हा और बराती औलिया होंगे

मज़ा दिख लायेगा मह़शर में सहरा ग़ौसे आज़म का

Janaab Ghous Dulha Aur Baraati Auliya Honge

Mazaa Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous E Azam Ka

 

 

मुख़ालिफ़ क्या करे मेरा कि है बेहद करम मुझ पर

खुदा का रह़मतलिल्ल आ़लामीं का ग़ौसे आज़म का

Mukhalif Kya Kare Mera Ke Hai Behad Karam Mujh Par

Khuda Ka Rehmatallil A’almeen Ka Ghous E Azam Ka

 

 

फ़रिश्ते मदरसे तक साथ पहुचाने को जाते थे

ये दरवारे इलाही में है रुतबा ग़ौसे आज़म का

Farishte Madrase Tak Saath Pohchaane Ko Jaate The

Ye Darbaar E Ilahi Mein Hai Rutba Ghous E Azam Ka

 

 

जमील ए क़ादरी सौ जान से क़ुर्बान मुर्शिद पर

बनाया जिसने मुझ जैसे को बन्दा ग़ौसे आज़म का

Jameel E Qadri Sau Jaan Ho Qurbaan Murshid Par

Banaya Jisne Tujh Jaise Ko Banda Ghous E Azam Ka

 

 

खुदा के फ़जल से हम पर है साया ग़ौसे आज़म का

Hindi And Englsih Manqabat Lyrics

Hindi And English Manqabat Lyrics


Our Pages

Naat-E-Paak         

More Manqabat Ghaus e Azam

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *