ईसा मूसा का हो अरमान | Isa Moosa Ka Ho Arman Rasool e Arbi Lyrics
ईसा मूसा का हो अरमान, रसूल-ए-‘अरबी !
नूह में, शीस में ज़ीशान, रसूल-ए-‘अरबी !
सारे नबियों के हो सुल्तान, रसूल-ए-‘अरबी !
क़िब्ला-ओ-का’बा-ए-ईमान, रसूल-ए-‘अरबी !
दो जहाँ आप पे कुर्बान, रसूल-ए-‘अरबी !
अंबिया जितने भी हैं मुझ को सभी प्यारे हैं
अज़मतों वाले निगाहों में मेरी सारे हैं
इस तरहं जैसे कि कुरआँ के सभी पारे हैं
चाँद हो तुम तो रसूलान-ए-सलफ़ तारे हैं
सब नबी दिल हैं तो तुम जान, रसूल-ए-‘अरबी !
गर्दिशें घेरे हैं, सरकार ! बचा लो मुझ को
मैं गुनहगार सही फिर भी निभा लो मुझ को
सब ने टाला है मगर आप न टालो मुझ को
सदक़े हसनैन के रौज़े पे बुला लो मुझ को
हिन्द में हूँ मैं परेशान, रसूल-ए-‘अरबी !
ग़ौस-ओ-ख़्वाजा के घराने का वो पकड़े हों ‘अलम
साथ हों हज़रत-ए-शब्बीर, ‘अली, शाह-ए-उमम
नूर ‘अली ! कितना मज़ा आएगा फिर रब की क़सम मज्मा’-ए-हश्र में इस शान से आए बेदम
हाथ में हो तेरा दामान, रसूल-ए-‘अरबी !
Naat Khwan: Noor Ali Noor Kanpuri
Shayar: Bedam Shah Warsi
Isa Moosa Ka Ho Arman Rasool e Arbi
Nooh Me, Sheeah Me Zeeshan, Rasool e Arbi
Sare Nabiyon Ke Ho Sultan, Rasool e Arbi
Qibla o Kaba e Iman Rasool e Arbi
Do Jahan Aap Pe Qurban Rasool e Arbi
Ambiya Jitne Bhi Hain Mujhko Sabhi Pyare Hain
Azmatoñ Wale Nigahon Me Meri Sare Hain
Is Tarha Jaise Ki Quraañ Ke Sabhi Paare Hain
Chand Ho Tum To Rasoolan e Salaf Taare Hain
Sab Nabi Dil Hain To Tum Jaan, Rasool e Arbi
Gardisheñ Ghere Hain, Sarkar Bacha Lo Mujhko
Main Gunahgar Sahi Phir Bhi Nibha Lo Mujhko
Sab Ne Tala Hai Magar Aap Na Taalo Mujko
Sadqe Hasnain Ke Rouze Pe Bula Lo Mujhko
Hind Me Huñ Main Pareshan Rasool e Arbi
Ghaus o Khwaja Ke Gharane Ka Wo Pakde Hoñ Alam
Saath Hoñ Hazrat e Shabbir Ali Shah e Umam
Noor Ali Kitna Maza Aayega Phir Rab Ki Qasam
Majma e Hashr Me Is Shaan Se Aaye Bedam
Haath Me Ho Tera Daman Rasool e Arbi
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar