Zindagi Se Badi Saza Hi Nahin By Ustaad Shujaat Hussain Khan at Jashn-e-Rekhta Lyrics
Poet: Krishna Bihari ‘Noor’
Zindagi se badi saza hi nahin
aur kya jurm hai pata hi nahi
ज़िंदगी से बड़ी सज़ा ही नहीं
और क्या जुर्म है पता ही नहीं
Itne hisson me bat gaya hoon main
Mere hisse mein kuch raha hi nahin
इतने हिस्सों में बंट गया हूँ मैं
मेरे हिस्से में कुछ बचा ही नहीं
Chaahen sone ke frame mein jad do
Aayina jhoot bolta hi nahi
चाहे सोने के फ्रेम में जड़ दो
आईना झूठ बोलता ही नहीं
Dhan k haathon me bik gaye hain sabhi
Ab kisi jurm ki saza hi nahin
धन के हाथों बिके हैं सब क़ानून
अब किसी जुर्म की सज़ा ही नहीं
Sach ghate ya badhe to sach na rahe
Jhoot ki koi Intaha hi nahin
सच घटे या बढ़े तो सच ना रहे
झूठ की कोई इँतहा ही नहीं
——–&——–
The Original Ghazal ‘ Zindagi se badi saza hi nahi ‘ as Cited by Krishna Bihari ‘NOOR’ Himself:
अपने दिल की किसी हसरत का पता देते हैं
मेरे बारे में जो अफ़वाह उड़ा देते हैं
Apne dil ki kisi hasrat ka pata dete hain
Mere baare mein jo afwaah uda dete hain
ज़िंदगी से बड़ी सज़ा ही नहीं
और क्या जुर्म है पता ही नहीं
Zindagi se badi saza hi nahin
Aur kya jurm hai pata hi nahin
इतने हिस्सों में बंट गया हूँ मैं
मेरे हिस्से में कुछ बचा ही नहीं
Itne hisson me bant gaya hun main
Mere hisse me kuchh bacha hi nahin
सच घटे या बढ़े तो सच ना रहे
झूठ की कोई इँतहा ही नहीं
Sach ghate ya badhe to sach na rahe
Jhooth ki koi intaha hi nahin
धन के हाथों बिके हैं सब क़ानून
अब किसी जुर्म की सज़ा ही नहीं
Dhan ke hathon bike hain sab qanoon
Ab kisi jurm ki saza hi nahin
चाहे सोने के फ्रेम में जड़ दो
आईना झूठ बोलता ही नहीं
chaahen sone ke frame mein jad do
Aayina jhooth bolta hi nahin
ज़िंदगी मौत तेरी मंज़िल है
दूसरा कोई रास्ता ही नहीं
Zindagi! maut teri manzil hai
Doosra koi raasta hi nahin
जिसके कारण फ़साद होते हैं
उसका कोई अता-पता ही नहीं
Jiske kaaran fasaad hote hain
Uska koi ata-pata hi nahin
कैसे अवतार कैसे पैग़मबर
ऐसा लगता है अब ख़ुदा ही नहीं
Kaise avtaar kaise paighambar
Aisa lagta hai ab khuda hi nahin
ज़िंदगी की तल्ख़ियाँ अब कौन सी मंज़िला पाएं
इससे अंदाज़ा लगा लो ज़हर महँगा हो गया
Zindagi ki talkhiyan ab kaun si manzil paayen
Isse andaaza laga lo zahr mahnga ho gaya
ज़िंदगी अब बता कहाँ जाएँ
ज़हर बाज़ार में मिला ही नहीं
Zindagi ab bata kahan jaayen
Zahr baazar mein mila hi nahin
अपनी रचनाओं में वो ज़िन्दा है
‘नूर’ संसार से गया ही नहीं
Apni rachnaon mein wo zinda hai
‘Noor’ sansaar se gaya hi nahin
Urdu, Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |