Yehi zikr hai mera dam ba dam qawwali lyrics
Aye Noor e chashm e Panjatan
Khwaja Moinuddeeñ Hassan,
Maqbool e Rabbil Aalameen
Khwaja Moinuddeeñ Hassan.
Dair o kaabe da bhul gayo rasta
Khwaja vekhiye jinha ne raah teri,
Kehde chishtiyañ de sar da taaj tainu
Jannat aashiqañ di Jalwagaah teri.
Main Ghareeb, Ghareeb Nawaaz hai tu
Bheek mangde ne baadshah teri,
Dubbi bedi diwaane di paar laa de
Taare lakkhañ ik nigah teri.
Maiñ azal se Banda e Ishq hooñ
Mujhe zohdo kufr ka gham nahin,
Mere sar ko dar tera mil gaya
Mujhe ab talaash e haram nahin.
Yehi Zikr Hai Mera Dam Ba Dam
Yehi Bandagi Subho Shaam Hai
Yehi Zikr Hai Mera Dam Ba Dam
Yehi Bandagi Subho Shaam Hai
Ye fark teri meri bandagi mein hai zaahid,
Namaz tu ne padhi Maine zikr e yaar kiya.
Yahi Zikr Hai Mera Dam Ba Dam
Yahi Bandagi Sub’ho Shaam Hai
Teri Rahguzar pe Maine kiye har qadam pe Sajde,
Ye samajh ke sar jhukaya ye maqam e bandagi hai.
Yahi Zikr Hai Mera Dam Ba Dam
Yahi Bandagi Sub’ho Shaam Hai
Khatam tafarqa e dair o haram karta hoon
Banda Allah ka hooñ, zikr e Khwaja karta hooñ
Yahi Zikr Hai Mera Dam Ba Dam
Yahi Bandagi Sub’ho Shaam Hai
Main Diwana Khwaja e Chisht Hooñ
Mere Labb Pe Khwaja Ka Naam hai.
Mera Khwaja, Usmaañ Ka Laal Hai
Lajpat Hai Bemisal Hai,
Unheñ Naam Levoñ Ki Laaj Hai
Hameñ Naam Lene Se Kaam.
Mere Saamne Rukh E Yaar Hai
Meri Aankh Mahve Deedar Hai,
Main Namaz Padhta Hoon Ishq Ki
Mera Khwaja Mera Imam Hai.
Mujhe Dekha Munkar Nakeer Ne
Zara Soch Kar Kehne Lage,
Ise Chhodo Banda Hai Nisbati
Ye Muinuddiñ Ka Ghulam Hai.
Mujhe Fakhr Hai Is Baat Ka
Maiñ Sag Hoon Khwaja Ki Zaat Ka,
Mujhe Log Kahte Hain Chishtiya
Mere Waste Ye In’aam Hai.
Ye Ummeed Hai Meri Bandaghi
Karun Tasbih Khwaja Ke Naam Ki,
Mujhe Log Kahte Hain Chishtiya
Mere Waste Ye In’aam Hai.
Chahe Kaaba Ho Ya Butkada
Mera Khwaja Paak Hai Har Jagah,
Wahañ Mere Sajde nisaar Haiñ
Mere Ishq Ka Yeh Maqam Hai.
Yahi Zikr Hai Mera Dam Ba Dam
Yahi Bandagi Sub’ho Shaam Hai.
Qawwal: Moulvi Haider Hassan Akhtar, Inaam ullah Saeed ullah