Yeh Saroor Kaisa Hai Saqiya Lyrics

Yeh Saroor Kaisa Hai Saqiya Lyrics | Qawwali: Molvi Haider Hasan Akhter


Yeh Saroor Kaisa Hai Saqiya

Yeh Saroor Kaisa Hai Saqiya
Mujhe Kya Nazar Se Pila Diya,
Hai Mataa-e-Hosh Ruki Ruki
Mujhe Kya Tamasha Bana Diya.

 

Apni khabar na yaar ke dar ka pata mujhe

Hai Mataa-e-Hosh Ruki Ruki
Mujhe Kya Tamasha Bana Diya.

 

Phir mujhe aaya Nazar raat woh paimane meiñ
Main qasam Tod ke phir aa gaya maikhane meiñ

Hai Mataa-e-Hosh Ruki Ruki
Mujhe Kya Tamasha Bana Diya.

 

Madhosh ba-yak Saaghir aye peer-e-mughañ kardi
Dil burdi-o-jaañ burdi be-taab-o-tabaañ kardi.

Hai Mataa-e-Hosh Ruki Ruki
Mujhe Kya Tamasha Bana Diya.

 

Unka madhosh kahañ hosh meiñ phir aata hai
Jab nazar milti hai, aalam hi badal jaata hai.

Hai Mataa-e-Hosh Ruki Ruki
Mujhe Kya Tamasha Bana Diya.

 

Majnooñ si kutam kar ba-dar-o-kHana-ba-kHana
Jaayad ke na beenam rukh-e-laila ba-bhana

Hai Mataa-e-Hosh Ruki Ruki
Mujhe Kya Tamasha Bana Diya.

 

Logoñ se poochhta hooñ ke jauñ kidhar ko maiñ

Hai Mataa-e-Hosh Ruki Ruki
Mujhe Kya Tamasha Bana Diya.

 

Mere Dil Ki Duniya Badal Gayi
Maiñ Nisar Teri Nigah Par,

Maiñ Nisar Teri Nigah Par..
Maiñ Nisar Teri Nigah Par..

 

Nigah daali to duniya meri badal daali

Maiñ Nisar Teri Nigah Par..
Maiñ Nisar Teri Nigah Par..

 

Itna to karam karna aye chashme karimana

Maiñ Nisar Teri Nigah Par..
Maiñ Nisar Teri Nigah Par..

 

Mere Dil Ki Duniya Badal Gayi
Maiñ Nisar Teri Nigah Par,
Mujhe Deke Tu Ne Saroor-e-Gham
Mujhe Marna Jeena Sikha Diya.

 

Uske salook par azim apni hayaat-o-maut hai
Wo jo mila to jee uthe, wo na mila to mar gaye.

Mujhe Deke Tu Ne Saroor-e-Gham
Mujhe Marna Jeena Sikha Diya.

 

Mout, kya aa ke faqeeroñ se tujhe lena hai?
Marne se pahle to ye log mara karte haiñ!

Mujhe Deke Tu Ne Saroor-e-Gham
Mujhe Marna Jeena Sikha Diya.

 

Kon kahta hai ke maut aayi to mar jauñga
Maiñ to darya huñ, samandar meiñ utar jayñga.

Mujhe Deke Tu Ne Saroor-e-Gham
Mujhe Marna Jeena Sikha Diya.

 

Woh aur hoñge jinhe maut aayegi Bedam
Nigah-e-yaar se payi hai zindagi maine.

Mujhe Deke Tu Ne Saroor-e-Gham
Mujhe Marna Jeena Sikha Diya.

 

Guft quddoose faqeere dar-fana o dar-baqa
Khud-bakhud azad boodi, khud giriftaar aamdi

Mujhe Deke Tu Ne Saroor-e-Gham
Mujhe Marna Jeena Sikha Diya.

Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..
Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..

 

Wo tumheñ yaad kare jisne bhulaya ho kabhi
Maine tumko na bhulaya, na kabhi yaad kiya.

Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..
Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..

 

Namzeñ gar qaza hoñ phir Ada hoñ
Nihahoñ ki qazaeñ kab Ada hoñ.

Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..
Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..

 

Wo chashm-e-koozagar jab aa basi chashm-e-tasawwar
Faqat unke tasawwar meiñ guzaari zindagi maine.

Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..
Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai..

 

Mera Ishq Mahv-e-Namaz Hai
Mujhe Ab Kisi Ki Khabar Nahi,
Mere Dilruba, Maine Apna Sar
Ab Tere Dar Pe Jhuka Diya.

 

Maiñ Tera Aseer-e-Nazar Rahooñ
Yahi Mere Dil Ki Hai Aarzu,
Mujhe Qaid Kar Ke Mere Sanam
Mera Aashiyana Jala Diya.

 

Mera Ishq Haider-e-Muzrib
Ba Khuda Niyaz-e-Haram Bana,
Mujhe Jab Se Soorat-e-Yaar
Dar-e-Butkada Pe Bitha Diya.

 

Ye Dilo Nigah Ki Baat Hai
Ye Niyaz-o-Naaz Ajeeb Hai,
Rah-e-Ishq Meiñ Mujhe Yaar Ne
Aye ‘Fana’ Payaam-e-Baqa Diya.

Yeh Saroor Kaisa Hai Saqiya Lyrics


Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali