Ye Waqt Bhi Guzar Jayega Lyrics | Meesum Abbas | Nohey Muharram 2021| Bibi Sughra Noha |
Ye Waqt Bhi Guzar Jayega Lyrics
Haaye Sughra.. Haaye Sughra..
Haaye Sughra.. Haaye Sughra..
Khud Ko Dilaase Ye Deti Thi Sughra,
Ye Waqt Bhi Guzar Jayega…
Ye Khaali Hujre Ye Khamosh Raateiñ
Kaise Bhula Doon Sakina Ki Baateñ
Samjha De Tu Apne Dil Ko Ye Dukhiya
Ye Waqt Bhi..
Dee Thi Tasalli Ye Akbar Ne Mujhko
Khat Bhej Kar Main Bula Loonga Tujhko
Ye Soch Ke Takti Rahti Hooñ Rasta
Ye Waqt Bhi…
Jee Bhar Ke Asghar Se Kheli Kahañ Maiñ
Uska Hubakna Bhi Bhooli Kahan Main
Khwaboñ Mein Aa Kar Ye Kahta Hai Bhaiyaa
Ye Waqt Bhi..
Ro Ro Ke Theeñ Neenden Maine Guzaari
Ashkon Ki Barsaat Leeñ Dil Mein Bhai
Kahta raha mujhse gham ka ye Darya
Ye waqt bhi..
Gin Gin Ke Din Zindagi Ke Guzaruñ
Qasim Ko Ammu Ko Sab Ko Pukaruñ
Yadon Ne Hardam Diya Ye Dilasa
Ye Waqt Bhi..
Daadi Ke Marqab Pe Har Roz Jaa Kar
Maanguñ Duaayen Diyoñ Ko Jalaaye
Samjhati Rahti Hain Bas Daadi Zahra
Ye Waqt Bhi..
Mesum Se Mazhar Ye Kahta Hai Ro Kar
Veerane Ghar Mein Thi Sarwar Ki Dukhtar
Noha Tha Ya Marsiya Tha Ye Jumla
Ye Waqt Bhi Guzar Jayega..
Aun o Muhammad Ke Veeran Hujre
Rab Jaane Phir Kab Ye Aabaad Honge
Laut Aayega Ek Din Tera Kunba
Ye Waqt Bhi Guzar Jayega..
Khud Ko Dilaase Ye Deti Thi Sughra
Ye Waqt Bhi Guzar Jayega…
ye-waqt-bhi-guzar-jayega-lyrics
You might also like:-
Manqabat Shahidan e Karbala | Noha Lyrics
- Al-salam Aye Tajdar e Karbala | अस्सलाम ऐ ताजदारे करबला
- Karbala me lutne wale Tajdaron Ko Salam | कर्बला मे लुटने वाले ताजदारों को सलाम
- Deeñ Ka Bharam Husain| दीं का भरम हुसैन
- Jaan e Rasool Quwwat e Khaibar Shikan Husain | जान ए रसूल कुव्वत ए
- Husain Ek Noor Hai | हुसैन एक नूर है
- Husain Jaisa Shaheed e Azam| حسین جیسا شہیدِ | हुसैन जैसा शहीदे
- Aye Chand Muharram Ke Tu Badli Mein Chala Ja | ऐ चांद मुहर्रम के तू
- Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Husaain | आज भी ज़ैनब की आती है सदा
- Raazi Taqdeer Utte Fatima Da Laal
- Hamare Hain Hussain
- Mahina Muharram da |مہینہ محرم دا
- Aap Par Salam Zainab |آپ پر سلام زینب
- Abal Fazl Lyrics by Mesum Abbas | ابو الفضل نوہا ۔
- Mere Baba Maiñ Karooñ Kya
- Mujhpe kyun band karte ho paani मुझ पे क्यों बंद करते हो पानी
- Shabbir Tera Maatam
- Bano Kahan Talash Kare
- Husn o Shabab rait par
- Abbas Ka Maula | अब्बास का मौला
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Saim Chishti | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar