Ye Roza Momino Naare Jahannum Se Bachayega Lyrics
ये रोज़ा मोमिनो नारे जहन्नम से बचाएगा
ब-रोज़े हश्र रोज़ादारों को जन्नत दिलाएगा
Ye roza momino naare jahannum se bachayega
Ba-roze hashr rozadaron ko jannat dilayega
ख़ुदा-ए-पाक से रोज़ा हर इक को बख़्शवाएगा
ब-रोज़े हश्र रोज़ादारों को जन्नत दिलाएगा
Khuda-e-pak se roza har ik ko bakhsh-wayega
Ba-roze hashr rozadaron ko jannat dilayega
ख़ुदा ए पाक ने इस माह में नाज़िल किया कुरआं
ये लेके साथ में आया है बख़्शिश का हर इक सामां
Khuda e pak ne is maah me nazil kiya quran
Ye leke saath me aaya hai bakhshish ka har ik saama
है शादां खैर मख़दम के लिए हर साहिबे ईमां
इसी की बरकतों पे है यक़ीनन ये जहाँ क़ुर्बां
Hai shaadan khair makhdam ke liye saahibe iman
Isi ki barkaton pe hai yaqinan ye jahan qurban
ये पाबन्दे शरीअ़त के इरादों को बढ़ायेगा
बा-रोज़े हश्र रोज़ादारों को जन्नत दिलायेगा।
Ye paband e shari’at ke iradon ko badayega
Ba-roze hashr rozadaron ko jannat dilayega
मुह़म्मद मुस्त़फ़ा महबूब-ए-दाबर ने रखा रोज़ा
ह़क़ीक़त तो ये है, हर इक पयम्बर ने रखा रोज़ा
Muhammad Mustafa mahboob-e-daabar ne rakha roza
Haqiqat to ye hai har ik payabar ne rakha roza
उमर उस्मां अली सिद्दीक़ ए अकबर ने रखा रोज़ा
गदाओं, शाहों, और सूफ़ी क़लन्दर ने रखा रोज़ा
Umar, usman, ali, siddiq-e-akbar ne rakha roza
Gadaon, shahon, aur sufi qalandar ne rakha roza
ये रोज़ा नफ़्स को मज़बूत ओ मुस्तहकम बनायेगा
बा-रोज़े हश्र रोज़ादारों को जन्नत दिलायेगा।
Ye roza nafs ko mazboot o mustehkam banayega
Ba-roze hashr rozadaron ko jannat dilayega
दें हर इक को नसीहत रोज़ा रखने की ख़ुदा वाले
रखें रोज़ा ब-सद फ़रहत मुह़म्मद मुस्त़फ़ा वाले
Den har ik ko nasihat roza rakhne ki khuda wale
Rakhe roza ba-sad farhat Muhammad Mustafa wale
थे रोज़ादार प्यारे मोमिनों वो करबला वाले
ना छोड़ें भूल से रोज़ा कभी सब्रो रज़ा वाले
The rozadar pyare momino wo karbala wale
Na chhoren bhool se roza kabhi sabr o raza wale
ये रोज़ा हर किसी की सोई क़िस्मत को जगायेगा
बा-रोज़े हश्र रोज़ादारों को जन्नत दिलायेगा।
Ye roza har kisi ki soyi qismat ko jagayega
Ba-roze hashr rozadaron ko jannat dilayega
नज़ा के वक़्त भी रोज़ा जनाबे फ़ातिमा ज़हरा
हुए रोज़े की हालत में मेरे ग़ौसुल वरा पैदा
Naza ke waqt bhi roza janab e Fatima zahara
Huye roze ki haalat me mere ghausul wara paida
मलंगों, मस्त, अब्दालो क़ुतुब ने भी रखा रोज़ा
रखें रोज़ा निज़ामी साबिरी और हज़रत ए ख़्वाजा
Malango,mast,abdaalon, qutub ne bhi rakha roza
Rakhen roza nizaami sabiri aur hazrat-e-khwaja
जो रोज़ा रखता है अल्लाह की नेअ़मत को पायेगा
बा-रोज़े हश्र रोज़ादारों को जन्नत दिलायेगा।
Jo roza rakhta hai allah ki nemat ko payega
Ba-roze hashr rozadaron ko jannat dilayega
बहारें लायक़ ए दीदार होती हैं गुलिस्तां की
फ़ज़ीलत है बड़ी ऐ मोमिनों इस माहे रमजां की
Baharen layaq e deedar hoti hain gulistan ki
Fazilat hai badi ae momino is maahe ramza.n ki
परख होती है इस माहे मुबारक में ही ईमां की
इसी में आज़माइश होती है सच्चे मुस्लमां की
Parakh hoti hai is maahe Mubarak me hi iman ki
Isi me aazmaaish hoti hai sache musalman ki
ये रम्जां ताज सुन ले रह़मत ए ह़क़ लेके आयेगा
बा-रोज़े हश्र रोज़ादारों को जन्नत दिलायेगा
Ye rmaza taj sun le rahmat e haq leke aayega
Ba-roze hashr rozadaron ko jannat dilayega
Qawwal: Naseem Arif
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|