Ye Meri Ibaadat Nahi Hai To Kya Hai Lyrics
Qawwal: Ghulam Farid Sabri and Maqbool Ahmad Sabri
हिन्दी। | English
Unki Nigaahe Naaz jab Banda Nawaz ho gayi
Apni nawaa e Shauq meiñ zam zama saaz ho gayi
Qalb meiñ tadap uthi, aañsuoñ se wuzu hua
Aap jo yaad aa gaye, apni namaz ho gayi.
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna
Ye meri ibaadat nahi hai to kya hai.
Ho Umr ki daraazi agar ikhtiyar meiñ
Sadiyañ guzaar dooñ meiñ tere intezaar mein
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna.
Ye meri ibaadat nahi hai to kya hai
Ye meri ibaadat nahi hai to kya hai..
Ai jaane man janaane man
Bar man nigar Sultan e man
Yak shab baya Mehman e man
Az man charaa ranjeeda ee.
Aarzu daaram ke mehmaan az kunam
Jaan o Dil ae dost Qurbaan az kunam.
Koi kaahu ma magan, koyi kaahu ma magan
Hum baauu ma magan jaa se laagi lagan.
Ye meri ibaadat nahi hai to kya hai…
Aarzu daaram ke mehmaan az kunam
Jaan o Dil ae dost Qurbaan az kunam
Koyi kaahu ma magan koyi kaahu ma magan
Hum baauu ma magan jaa se laagi hai lagan
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna..
Mukh Mahboob da khana Kaaba
Jitthe Aashiq sajda karde hoo,
Do zulfaañ wich nain musalle
Jitthe char mazhab aaran de hu,
Khotiya me zam zam da paani
Jise kull piyase parde hu,
Baahu Shaah ki Makke jaana
Jad haj howe wich ghar de hu hu.
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna..
Tujhi ko dekhna teri hi sunna tujh me gum rahna rahna
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna..
Meri justuju meri aarzoo mera muda’aa teri zaat hai
Tera zikr wajh e sukoon e dil tera ishq meri hayat hai, jaanañ..
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna..
Ho ke rooposh na dil tod tamannayi ka
Hausla past na kar apne tu shaidayi ka
Hum bhi bañdheñge tere ishq me ehraam e junooñ
Hum bhi dekheñge tamasha teri lailaayi ka.
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna..
Nazroñ se nihaañ kyuñ rahte ho jab jaan liya pahchan liya
Mansha e hijaab aakhir kya hai hum ne to khuda bhi maan liya.
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna.
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna
Ye meri ibaadat nahi hai to kya hai
Jidhar dekhta hun tumhi jalwagar ho
Ye meraaj e ulfat nahiñ hai to kya hai…
Kahañ hum Kahañ wo Kahañ be hijaabi
Kahañ hum Kahañ wo Kahañ be hijaabi..
Munsalib ho gayi surat bhi tawanaayi bhi
Salb kar lijiye ab Quwat e goyaayi bhi
Tere jalwoñ ko jo dekha to ye ahsaas hua
Kis qadar qeemti shai hai meri beenayi bhi.
Kahañ hum Kahañ, wo Kahañ be hijaabi..
Deedar ke qaabil to kahañ meri nazar hai
Ye teri inayat hai ke rukh tera idhar hai.
Kahañ hum Kahañ, wo Kahañ be hijaabi..
Kahañ raazdaari e husn o mohabbat
Kahan apni nazreiñ, kahañ un ke jalwe
Ye unki inayat nahin hai to kya hai…
Bahut apne armaan e dil nikle baaqar
Magar phir bhi hai ek hujoom e tamanna
Unheiñ baatini hai wahi beqarari
Junoon e Mohabbat nahiñ hai to kya hai…
Tumhare tasawwur meiñ din Raat rahna.
Ho..o..ho..oo
Ha..a…a…aa
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Allahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan