Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema Lyrics

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema Lyrics | یہ کہتی تھی گھر گھر میں جا کر حلیمہ | ये कहती थी घर घर में जाकर हलीमा |Rabiul Awwal Naat Lyrics |


اردو میں پڑھیے | हिंदी में पढ़िए


Ye Kehti Thi Ghar Ghar Mein Ja Kar Haleema

 

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema
Mere Ghar Me Khairul Waraa Aa Gaye Hain,

Bade Auj Par Hai Mera Ab Muqaddar
Mere Ghar Rasool e Khuda Aa Gaye Hain.

 

Utheeñ Chaar Su Rehmato Ki Ghatayeñ
Mu-attar Mu-attar Hain Saari Fazaeñ,

Khushi Me Ye Jibreel Nagme Sunaye
Wo Sha-faye Rouze Jaza Aa Gaye Hain.

 

Ye Zulmat Se Kehdo Andhere Utha le
Ke Hain Har Taraf Ab Ujale Ujale,

Kaha Jinko Haq Ne Sirajammuneera
Mere Ghar Wo Noor e Khuda Aa Gaye Hain.

 

Ye Sunkar Sakhee Aapka Aastaana
Hai Daaman Pasare Hue Sab Zamana,

Nawaso Ka Sadqa Nigah e Karam Ho
Tere Dar Pe Tere Gada Aa Gaye Hain.

 

Mukarrab Hain Be-Shaq Khaleel o Najee Bhi
Badi Shaan Waale Kaleem o Maseeh Bhi,

Liye Arsh Ne Jinke Qadmoñ Ke Bose
Wo Ummi Laqab Mustafa Aa Gaye Hain.

 

Nakirain Jab Meri Turbat Me Aakar
Kahenge Ziyarat Ka Muzdah Suna Kar,

Utho Behre Taazeem Noorul Hasan Ab
Lahad Me Rasool e Khuda Aa Gaye Hain

 

(Owais Qadri ne is tarah kaha 🙂

Khuda Ke Karam Se Nakirain Aa Kar
Kahenge Ziyarat Ka Muzdah Suna Kar

Utho Behre Taazeem Noorul Hasan Ab
Lahad Me Rasool e Khuda Aa Gaye Hain.

ye-kehti-thi-ghar-ghar-me-ja-kar-haleema-lyrics


Urdu, Hindi and English Lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

| Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir Maulvi Ahmad Hassan Akhtar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *