Yahi Humne Samjha Yahi Hai Padha Muhammad Sa Koi Nahi Naat Sharif Lyrics
हिंदी में पढ़िए
Yahi Humne Samjha Yahi He Padha
Yahi Humne Samjha Yahi He Padha
Muhammad Sa Koi Nahi
Hai Adam Ke Ankhon Ka Dekha Hua
Mohammad ﷺ Sa Koi Nahi
Zameen Apki Asman Apka He
Mere Mustafa Do Jahan Apka He
Sitaron Ka Yeh Karwan Apka He
Chaman Apka Gulsitan Apka He
Zameeñ ne Falak Se Yeh Jhuk Kar Kaha
Muhammad Sa Koi Nahi
Hai Adam Ke Ankhon Ka Dekha Hua
Mohammad ﷺ Sa Koi Nahin…
Dahan Khoobsurat Zaqan Khoobsurat
Mere Mustafa Ka Badan Khoobsurat
Hain Jisme Hussain Aur Hasan Khoobsurat
Woh Mere Nabi Ka Chaman Khoobsurat
Hai Be Misl Noori Gharana Tera
Muhammad Sa Koi Nahi
Hai Adam Ke Ankhon Ka Dekha Hua
Mohammad ﷺ Sa Koi Nahin…
Shah e Ambiya Ka Falak Par Woh Jana
Huyi Mehv e Sakit Faza e Zamana
Woh Asra Ki Shab Ka Tha Manzar Suhana
Imam e Rusul Ka Musalle Pe Ana
Sabhi Muqtadi Woh Huye Muqtada
Muhammad Sa Koi Nahi
Hai Adam Ke Ankhon Ka Dekha Hua
Mohammad ﷺ Sa Koi Nahin…
Agar Mere Aaqa Inayat Karenge
Haseeñ Sab Se Apni Ibadat Karenge
Rukh e Mustafa Ki Tilawat Karenge
Tilawat Baraye Ziyarat Karenge
Asad Ki Zaban Par Ho Bas Yeh Sada
Muhammad Sa Koi Nahi
Hai Adam Ke Ankhon Ka Dekha Hua
Mohammad ﷺ Sa Koi Nahin…
Yehi Humne Samjha Yehi Hai Padha
Muhammad Sa Koi Nahi.
Naat khwan: Asad Iqbal
Kalam: Asad Iqbal
my fav naat sharif i like it❤