Yaad Un Ki Rahe Dil Meiñ Qawwali Lyrics
Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan
Use Garaz Nahi Karoon Ke Khazaane Se
Jise Ho Ishq Muhammad ﷺ Ke Aastaane Se
Madine Jaake Nikal Jaaye Dam To Ye Samjhooñ
Khuda Ka Shukr Hai Mitti Lagi Thikaane Se
Yaad Un Ki Rahe Dil Mein Aankhon Mein Madina Ho
Yaad Un Ki Rahe Dil Mein Aankhon Mein Madina Ho
Aisi Meri Qismat Ho Aisa Mera Jeena Ho
Aisi Meri Qismat Ho
Aisi Meri Qismat Ho
Main so jaauñ Ya Mustafa kahte kahte
Khule aañkh salle-alaa kahte kahte
Aisi Meri Qismat Ho
Aisi Meri Qismat Ho
ilahi mere dil se fikr-e pesh o kam nikal jaaye
Muhammad ﷺ Ya Muhammad ﷺ kahte kahte dam nikal jaaye
Aisi Meri Qismat Ho
Aisi Meri Qismat Ho
Mera Jeena Ho .. Mera Jeena Ho ..
Mera Jeena Ho .. Aisa
Aisi Meri Qismat Ho
Aisi Meri Qismat Ho
Aisi Meri Qismat Ho Aisaa Mera Jeenaa..
Mera Jeenaa… Mera Jeena Ho
Aisi Meri Qismat Ho Aisa Mera Jeena Ho o o
Allah Ka Ghar Dekheiñ Aur Aapka Rauza Bhi..
Allah Ka Ghar Dekheiñ Aur Aapka Rauza Bhi..
Allah kare hamko muyassar ye safar ho
Makke meiñ ho gar shaam madine meiñ sahar ho
Allah ke Mahboob ke Rauze pe nazar ho
Dil TaDpe idhar aur udhar unko khabar ho
pahle kaabe mein sar ko jhukaayeiñ
phir Muhammad ﷺ ke rauze pe jaayeiñ
Deen o duniya ki daulat ko paayeiñ
do jahaan bhaag ham leke aayeiñ
Allah Ka Ghar Dekhein Aur Aapka Rauza Bhi
Ham Dil Meiñ Basa Laayeiñ Kaaba Bhi Madina Bhi
Bulwaana Hameiñ Aaqa Jab Haj Ka Mahina Ho o o
Mahshar Ka Kise Gham Hai Ho Jaaye Abhi Mahshar
Mahshar Ka Kise Gham Hai Ho Jaaye Abhi Mahshar
Mahshar Ka Kise Hai Gham, Gham Kise Hai
Mahshar Ka Kise Hai Gham, Gham Kise Hai
ham ummat-e Ahmad-e Mursal hain
ye hashar ka aalam kuch bhi nahi
kya iski majaal jalaaye hameiñ
ye naar-e jahannam kuch bhi nahi
hai dil mein hamaare ishq-e Nabi
bas itna yaqeeñ hi kaafi hai
ye garmi-e mahshar kya shai hai
Sarkaar ki kamli kaafi hai
Sarkaar ki kamli kaafi hai..
Bani bakshish ka saamañ Ahmad-e Mukhtar ki kamli
Chhupa legi gunahoñ ko mere Sarkar ki kamli
Sarkaar ki kamli kaafi hai
Sarkaar ki kamli kaafi hai
ye garmi-e mahshar kya shai hai
sarkaar ki kamli kaafi hai
Mahshar Ka Kise Hai Gham, Gham Kise Hai
Mahshar Ka Kise Gham Hai Ho Jaaye Abhi Mahshar
Aasi Hain Magar Aaka Hai Naaz Hameiñ Tum Par
Bakshish Ka Sahaara Ho Rahmat Ka Khazeena Ho
Bakhshish Ka Sahaara Ho.
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan