Wo Shaoor e Bandagi Ab Meri Zohad Me Lyrics

Wo Shaoor e Bandagi Ab Meri Zohad Me Kahan Hai

वो शऊर-ए-बन्दगी अब मेरी ज़ोहद में कहां है

 

Wo Shaoor e Bandagi Ab Meri Zohad Me Kahan Hai
Na Namaz Hai Ali Si Na Bilal Si Azañ Hai
वो शऊर-ए-बन्दगी अब मेरी ज़ोहद में कहां है
ना नमाज़ है अली सी, ना बिलाल सी अज़ां है

 

Mera Rab Ba-Roze Mahshar Yehi Kah Ke Bakhsh Dega
Ise Chhor Do Farishto Ye Nabi Ka Naat Khwan Hai
मेरा रब बा-रोज़े महशर यही कह के बख़्श देगा
इसे छोड़ दो फ़रिश्तो ये नबी का नातख्वां है

 

Wo Sarapa Naaz Ik Din Mere Ghar Me Aa Gaye The
Usi Roz Se Abhi Tak Wahi Ronaq e Makañ Hai
वो सरापा नाज़ इक दिन मेरे घर में आ गये थे
उसी रोज़ से अभी तक वहीं रौनक़-ए-मकां है

 

Sar-e-Hashr Pesh e dawar Maiñ Khushi Se Ro Paduñga
Mera Peer Jab Kahega Ae Mureed Tu Kahan Hai
सरे हश्र पेश-ए-दाबर मैं खुशी से रो पड़ूंगा
मेरे पीर जब कहेंगे ऐ मुरीद तू कहां है

 

Naat Khwan: Mohammad Ali Faizi

 

Sufiyana Andaz Me Naat By Mohammad Ali Faizi

Best Naat Of Mohammad Ali Faizi


Our Pages 

 

Naat-E-Paak   

Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *