Wo Na Aayen To Hawa Bhi Nahin Aaya Karti
Wo Na Aayen To Hawa Bhi Nahin Aaya Karti
Uski Khushboo Bhi Akeli Nahin Aaya Karti
वो ना आयें तो हवा भी नहीं आया करती
उसकी खुशबू भी अकेली नहीं आया करती
Ham To Aansun Hain Hamen Khak Me Mil Jana Hai
Maiyaton Ke Liye Doli Nahin Aaya Karti
हम तो आंसू हैं हमें ख़ाक में मिल जाना है
मय्यितों के लिए डोली नहीं आया करती
Bistar-E-Hajr Pe Soya Nahin Jata Aksar
Neend Aati To Hai Gahri Nahin Aaya Karti
बिस्तरे हिज्र पे सोया नहीं जाता अकसर
नींद आती तो है गहरी नहीं आया करती
Alal-Ailaan Kiya Karta Hun Sachchi Baatein
Chor Dawaze Se Aandhi Nahin Aaya Karti
अलल-एलान किया करता हूँ सच्ची बातें
चोर दरवाज़े से आंधी नहीं आया करती
Sirf Rangon Se Kabhi Ras Nahin Tapka Karta
Kaaghzi Phoolon Pe Titli Nahin Aaya Karti
सिर्फ़ रंगों से कभी रस नहीं टपका करता
काग़ज़ी फूलों पे तितली नहीं आया करती
Ishq Karte Ho To Alooda-E-Shikwa Kyun Ho
Shahad Ke Lahje Me Talkhi Nahin Aaya Karti
इश्क़ करते हो तो आलूदा-ए-शिकवा क्यूँ हो
शहद के लहजे में तल्ख़ी नहीं आया करती
Maut Ne Yaad Kiya Hai, Ke Muzaffar Usne
Apni Marzi Se To Hichki Nahin Aaya Karti
मौत ने याद किया है, के मुज़फ्फ़र उसने
अपनी मर्ज़ी से तो हिचकी नहीं आया करती
Shayar: Muzaffar Warsi
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|