Wo Habib e Khuda Hai Lyrics By Zaheer Miyan
Qur’aan Ki Har Aayat o Soorat Dekhi
Islam Ki Tafseer o Haqiqat Dekhi
Iman Par Jab Gaur Kiya Hai Maine
Sarkar e Do Aalam Ki Mohabbat Dekhi
Wo Nabiyoñ Me Rahmat Laqab Pane Wale
Duaeiñ Ghariboñ Ki Bar Lane Wale
Wo Apne Paraye Ka Gham Khane Wale
Musibat Me Ghairoñ Ke Kaam Aane Wale
Wo Habib e Khuda Haiñ×4
Sayyadul Mursaleen
Wo Habib e Khuda Haiñ×6
Khatmul Ambiya
Khatmul Ambiya ….
Shahe Duniya o Deen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Bujh Gayiñ Jiske Aage Sabhi Mash’aleiñ
Shamma Wo Le ke Aaye Hamare Nabi
Jinke Talwoñ Ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Aise Jaan e Masiha Hamare Nabi
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Hausla Hare Na Insaan Pareshaani Me
Har Bana Kaam Bigad Jata Hai Naadani
Sabr Har Haal Me Haasil Hai Pareshani Me
Doob Sakti Nahiñ Toofan Ki Tughyani Me
Jiski Kashti Ho Muhammad Ki Nigehbani Me
Wo Habib e Khuda Haiñ×3
Sayyadul Mursaleen
Wo Habib e Khuda Haiñ×4
Khatmul Ambiya×2
Khatmul Ambiya Shahe Duniya o Deen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko Utni Meri Auqaat Nahiñ Hai
Ye To Karam Unka Hai Warna Mujh Me Aisi Baat Nahi Hai
Ghaur To Kar Sarkar Ki Tujhper Kaisi Khaas Inayat Hai
Kausar Tu Hai Unka Sana Khwan Ye Mamooli Baat Nahi Hai
Saari Daulat Khuda Ki Madine Me Hai
Taajdar e Zamana Madine Me Hai
Jiski Khatir Banaye Gaye Do Jahañ
Wo Rasool e Yagaana Madine Me Hai
Ghamzado Gham Ke Maro Madine Chalo
Bekaso Be Saharo Madine Chalo
Uttho Ae Dil-figaaro Madine Chalo
Rahmatoñ Ka Khazina Madine Me Hai
Wo Habib e Khuda Haiñ×3
Sayyadul Mursaleen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Khatmul Ambiya×2
Khatmul Ambiya Shahe Duniya o Deen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Hai Sabz Momino Ye Mohabbat Rasool Ki
Iman Hai Hamara Aqidat Rasool Ki
Mahshar Me Kaam Aayegi Chahat Rasool Ki
Allah Ki Raza Hai Itaa’at Rasool Ki
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Bulandi Paa Rahe Subha Se Zaahir Hai
Buzurgi Bai’at e Rizwañ Se Zaahir Hai
Tumhe Ham Kya Bataein Shaan Aaqa Ki
Nabi Ki Shaan To Quraañ Se Zaahir Hai
Wo Habib e Khuda Haiñ×3
Sayyadul Mursaleen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Khatmul Ambiya×2
Khatmul Ambiya Shahe Duniya o Deen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Wo Haiñ Shahanshah e Umam
Wo Haiñ Nabi e Mohtaram
Jaan e Karam
Shamme Haram
Ahle Qalam
Neki Raqam
Azmat Rasool Allah Ki
Shaukat Rasool Allah Ki
Saabit Hai Ye Aayaat Se
Rahmat Rasool Allah
Dozakh Me Ja Sakti Nahi
Ummat Rasool Allah Ki
Jannat Se Kyuñ Mahroom Ho,
Jannat Rasool Allah Ki
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Wo Rauf Hain
Wo Rahim Haiñ
Wo Nabi Haiñ Rab Ke Habib Haiñ
Jo Mere Nabi Se Qarib Haiñ
Ba-Khuda Wo Rab Se Qarib Haiñ
Wo Habib e Khuda Haiñ×4
Sayyadul Mursaleen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Khatmul Ambiya×2
Khatmul Ambiya Shahe Duniya o Deen
Wo Habib e Khuda Haiñ×5
Singer: Zaheer Miyan
Lyrics: Mobin Tariq
Our Pages
Naat-E-Paak
More Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar