Unki Yaad Meiñ Rahta Hooñ Naat Lyrics in Hindi and English उनकी याद में रहता हूं और मुझे कुछ काम नहीं
Shayar: Khalid Mahmud ‘Khalid’
Qatah | कता
Bandagi Ka Suroor Milta Hai
Deedah e Dil Ko Noor Milta Hai
Zikr e Sarkar Se Khuda Ki Qasam
Zindagi Ka Shaoor Milta Hai
बंदगी का सुरूर मिलता है
दीदा ए दिल को नूर मिलता है
ज़िक्र ए सरकार से ख़ुदा की क़सम
ज़िन्दगी का शऊर मिलता है।
Naat e Paak | नात ए पाक
Unki Yaad Meiñ Rahta Hooñ
Aur Mujhe Kuchh Kaam Nahiñ,
Saare Achchhe Naam Haiñ Unke
Mera Koi Naam Nahiñ
उनकी याद में रहता हूं और मुझे कुछ काम नहीं
सारे अच्छे नाम हैं उनके, मेरा कोई नाम नहीं।
Unki Yaad Ka Ehsaañ Hai,
Fiqr e Sub’ho Shaam Nahiñ,
Bin Maañge Har Cheez Mili Hai
Mahroomi Ka Naam Nahiñ
उनकी याद का एहसां है फिक्र ए सुब्हो शाम नहीं
बिन मांगे हर चीज़ मिली है महरूमी का नाम नहीं।
Hum Ne To Dekhi Hi Nahiñ,
Soorat Hi NaKaami Ki,
Unka Karam Ho Jaaye To
Mushkil Koi Kaam Nahiñ
हमने तो देखी ही नहीं सूरत ही नाकामी की
उनका करम हो जाए तो मुश्किल कोई काम नहीं।
Jitna Jiska Zarf e Talab
Waisa Uska Paimaana,
Bat’ha Ke MaiKhane Meiñ
Koi Tishna Kaam Nahiñ
जितना जिसका ज़र्फ़ ए तलब वैसा उसका पैमाना
बत्हा के मयख़ाने में कोई तिशना काम नहीं।
Gham Bhi Hai Rahat Saamaañ
Dil Ki Dhadkan Ik Paighaam,
Dard Tumhara Darmaañ Hai
Dil Waqf e Aalaam Nahiñ
ग़म भी है राहत सामां, दिल की धड़कन इक पैग़ाम
दर्द तुम्हारा दरमा है, दिल वक्फ ए आलाम नहीं।
Unki Chaukhat Par Ho Sar
Aur Safar Ho Duniyañ Se,
Woh Hasti Kya Hasti Hai?
Jiska Ye Anjaam Nahiñ
उनकी चौखट पर हो सर और सफ़र हो दुनियां से
वोह हस्ती क्या हस्ती है? जिसका ये अंजाम नहीं।
Har Soo Jaakar Dekh Liya
Har Baadi Maayūsi Hai,
Apne Paas Bula Leeje
Aur Kahiñ Aaram Nahiñ
हर सू जाकर देख लिया, हर बादी मायूसी है
अपने पास बुला लीजे और कहीं आराम नहीं।
Bekal Ho Kar Shaad Bhi Hai
Jalwoñ Se Aabaad Bhi Hai,
Dil Meiñ Unki Yaad Bhi Hai
Koi Tadap NaKaam Nahiñ
बेकल होकर शाद भी है, जल्वों से आबाद भी है
दिल में उनकी याद भी है, कोई तड़प नाकाम नहीं।
Sadqa Unki Aañkhoñ Ka
Masti Saare Aalam Ki,
Ye MaiKhana Aisa Hai
Jis Meñ Shart-e-Jaam Nahiñ
सदक़ा उनकी आंखो का, मस्ती सारे आलम की
ये मयख़ाना ऐसा है जिसमें शर्त ए जाम नहीं।
Taiba Tak Mahdood Nahiñ
Unka Jalwah ai Waa-iz,
Woh to Yahañ Bhi Haiñ Lekin
Deed Mazaaq e Aam Nahiñ
तैयबा तक महदूद नहीं उनका जलवा ऐ वाइज़
वोह तो यहां भी हैं लेकिन दीद मज़ाक़ ए आम नहीं।
Jisko Unka Dard Mila
Saari kaayenaat Mili,
IsSe Badh Kar Allah Ka
Aur Koi In’aam Nahiñ
जिसको उनका दर्द मिला सारी कायेनात मिली
इससे बढ़ कर अल्लाह का और कोई इनआ़म नहीं।
Jab Se Tere Daaman Ne
Bakhshi Hai Bhar-Poor Amaañ,
Meri Jaanib ai Aaqa
Koi Rukh e ilzaam Nahiñ
जब से तेरे दामन ने बख़्शी है भरपूर अमां
मेरी जानिब ऐ आक़ा कोई रुख़ ए इल्ज़ाम नहीं।
Mere TadapNe Ki Khalid
Unko Khabar Ho Jaati Hai,
Arz Meri Sun Lete Haiñ
Koi Tadap NaKaam Nahiñ
मेरे तड़पने की ख़ालिद, उनको ख़बर हो जाती है
अर्ज़ मिरी सुन लेते हैं, कोई तड़प नाकाम नहीं।
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |