Tu Sham E Risalat Hai Aalam Tera Parwan
Tu Sham E Risalat Hai Aalam Tera Parwan
Shayar: मुहिद्दिसे आज़में हिन्द | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Asad Iqbal, Hafiz Tahir Qadri.
तू शम-ए-रिसालत है आ़लम तेरा परवाना
तू माहे नुबूव्वत है ऐ जल्वए जानाना
Tu Sham-E-Risalat Hai Aalam Tera Parwan
Tu Maahe Nuboowwat Hai Ey Jalwa-E-Janana
जो साक़िये कौसर के चेहरे से निक़ाब उठ्ठे
हर दिल बने मय ख़ाना हर आंख हो पैमाना
Jo Saaqiye Kousar Ke Chehre Se Niqaab Uththe
Har Dil Bane Maiy-Khana Har Aankh Ho Paimana
दिल अपना चमक उठ्ठे ई़मान की तलअ़त से
हों आंखें भी नूरानी ऐ जल्वए जानाना
Dil Apna Chamak Uththe Imaan Ki Tal’at Se
Hon Aankhe Bhi Noorani Ey Jalwa-E-Jana’na
सरशार मुझे कर दे एक जामे लबालब से
ता ह़श्र रहे साक़ी आबाद यह मय ख़ाना
Sarshar Mujhe Kar De Ek Jaame Labalab Se
Taa Hasher Rahe Saaqi Aabaad Yeh Maiy Khana
मैं शाह नशीं टूटे दिल को न कहूं कैसे
है टूटा हुआ दिल ही इस शाह का काशाना
Mein Shah Nashi Toote Dil Ko Na Kahu(N) Kaise
Hai Toota Hua Dil He Is Shah Ka Kashana
हर फूल में बू तेरी हर शम्आ़ में ज़ौ तेरी
बुलबुल है तेरा बुलबुल परवाना है परवाना
Har Phool Me Boo Teri Har Sham’aa Me Zou Teri
Bulbul Hai Tera Bulbul Parwana Hai Parwana
संगे दरे जाना पर करता हूं जबीं साई
सज्दा न समझ नज्दी सर देता हूं नज़राना
Sunge Dare Jana Par Karta Hoon Jabi(N) Saai
Sajda Na Samajh Najdi Sar Deta Hoon Nazrana
गिर पड़ के यहां पहुंचा मर मर के इसे पाया
छूटे न इलाही अब संगे दरे जानाना
Gir Pad Ke Yahan Pahuncha Mar Mar Ke Ise Paya
Chhoote Na Ilaahi Ab Sange Dare Jana’na
संगे दरे जानां है ठोकर न लगे इसको
ले होश पकड़ अब तू ऐ लग़ज़िशे मस्ताना
Sunge Dare Jana(N) Hai Thokar Na Lage Isko
Le Hosh Pakad Ab Tu Ey Laghzishe Mastana
आबाद इसे फ़रमा वीरां है दिले नूरी
जल्वे तेरे बस जायें आबाद हो वीराना
Aabaad Ise Farma Weera(N) Hai Dile Noori
Jalwe Tere Bas Jaayein Aabad Ho Weerana
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar