Tooba me jo sabse oonchi nazuk sidhi nikli shaakh naat lyrics
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Asad Attari Madni, Abdul Habib Attari, Hafiz Bilal Qadri, Sarfraz Nagaur Sharif,
Hadaaiqe Bakhshish Part 1
Hindi and english naat lyrics
त़ूबा में जो सब से ऊंची नाजुक सीधी निकली शाख़
मांगूं ना’ते नबी लिखने को रुह़े कुदुस से ऐसी शाख़
Tooba me jo sabse oonchi nazuk seedhi nikli shaakh
Mangu naate nabi likhne ko roohe kudus se aisi shaakh
मौला गलबुन, रह़मत ज़रा, सिब्तैन उस की कलियां फूल
सिद्दक़ो फ़ारुक़ो उस्मां,ह़ैदर हर इक उस की शाख़
Moula galbun, rahmat zara, sibtain us ki kaliyan phool
Siddiqo farioqo usma(n), haider her ik us ki shaakh
शाख़े क़ामते शह में जुल्फ़ों चश्मों रुख़्सारो लब हैं
सुम्बुल, नरगिस, गुल, पंखडियाँ कुदरत की क्या फूली शाख़
Shaakhe qaamte shah me julfo(n) chashmo(n) rukhsaro lub hein
Sumbul,nargis,gul, pankhudya(n) kudrat ki kya phooli shaakh
अपने इन बाग़ों का सदक़ा वोह रह़मत का पानी दे
जिस से नख़्ले दिल में हो पैदा प्यारे तेरी विला की शाख़
Apne in baghon ka sadqa woh rahmat ka paani de
Jis se nakhle dil me ho paida pyaare teri wila ki shaakh
यादे रुख़ में आहें कर के बन में मैं रोया आई बहार
झूमीं नसीमें, नैसा बरसा,कलियां चटकीं,महकी शाख़
Yaade rukh me aahen kar ke bun me mein roya aai bahaar
Jhoomi nasimey, naisa barsa,kaliya(n) chatki(n), mahki shaakh
जा़हिरो बात़िन अव्वलो आख़िर जैबे फुरुओ जै़नै उसूल
बाग़े रिसालत में है तू ही गुल, गुन्चा,जड़,पत्ती,शाख़
Zaahiro baatin awwalo aakhir jaibe furu-o zaine usool
Baghe risalat me hai tu he gul, guncha, jud,patti,shaakh
आले अह़मद खुज़ बि-यदी या सय्यिद ह़म्ज़ा कुन मददी
वक़्ते ख़ज़ाने उम्रे रज़ा हो बर्गे हुदा से न आ़री शाख़
Aale ahmad khuz bi-yadi ya saiyyadi hamza kun madadi
Waqte khazane umre Raza hi barge huda se na aari shaakh
Tooba me jo sabse oonchi nazuk sidhi nikli shaakh naat lyrics
Hindi and english naat lyrics
Hindi and english naat lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri | | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |