Teri Soorat Nigahon Mein Phirti Rahe Qawwali Lyrics
Qawwal : Aziz Mian
Shayar : Tabish Kanpuri
Dil Ke Bazaar Mein Daulat Nahin Dekhi Jaati
Pyar Ho Jaaye to Surat Nahin Dekhi Jaati
Ek Tabassum pe do Alam ko Nichhavar Kar Dooñ
Maal Achcha Ho To Qeemat Nahin Dekhi Jaati
Dil Diya Pyar Ki had thi
Jaan di Aitbaar ki had thi
Mar Gaye Hum khuli Rahiñ Aañkheñ
Ye Mere Intizar Ki had thi
Teri Soorat Nigahon Mein Phirti Rahe
Teri Soorat Nigahon Mein Phirti Rahe
Ishq Tera Sataaye To Main Kya Karun
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Dil Ek Mandir Hai Aap Murat Hain
Aap Kitne Khubsurat Hain
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Tujhi ko Tak Ne Lage Tu Jo Aaya Masjid Mein
Namaz Sab Ne Qaza ki Teri Adaa Ke Liye
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Aur thoda sa Tasvvur Mujhe Kar Lene De
Rafta Rafta Teri Tasvir Banaa Jata Hooñ
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Chain bin dekhe unko Na Aaye
Aur dekhun To dekha Na Jaaye
Beech zulfon Ke Wo Roo-e Roshan
Jaise Ganga Mein Suraj Nahaye
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Jisne Dekha Mar Hi Gaya
Teri Chashm-e Saiyah Mein Hai Jadu
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Naqab-e Rukh uthaya ja raha hai
Wo nikali Dhoop Saya ja raha hai
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Unki zulfein hain aur hath mera
saañp se khelta hai sapera
Rukh pe zulfon Ka Saya ghanera
Shaam Ki God mein hai savera
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Aariz che aariz, Gesu che Gesu
Sub’he che sub’he, Shaame che shaame
Lauh-e jabeenash sub’he tajalla
Roo-e mubeenash maah-e tamaame
Az Chashm-e larzaañ, larzaañ do Aalam
Waz zulf-e barham, barham nizaame
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Tujh Mein Jo baat hai wo baat nahin aayi hai
Kya yeh tasvir Kisi Ghair se khinchwayi
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat
Andaaz hu-ba-hu Teri awaaz-e-Paa Ka Tha
Dekha Nikal Ke Ghar Se to jhoka Hawa Ka Tha
Is Rishta-e Latif ke Asrar kya khuleñ
Tu Samne tha aur Tasawwur Khuda ka tha
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Aapse ek baat kahni hai
Chhodiye khair koi baat nahin
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
Kya dilkash Manzar Hota Hai
Kya dilkhash raten hoti hai
Jab Unka Tasvvur hota hai
aur Chand Se baateñ Hoti Hai
Ham hote hain voh hote hain
aur Chandni raatein hoti hain
Ek Chand Ko takte rahte hain
Ek Chand se baten hoti hain
Teri Surat.. Teri Surat.. Teri Surat..
teri surat nigahon mein phirti rahe
Teri Soorat Nigahon Mein Phirti Rahe
Ishq Tera Sataaye To Main Kya Karun
Mere Khamosh Rahane Se Parda-Nashiñ
Tujh Pe ilzaam Aaye To Main Kya Karun
Husn Aur Ishq Donoñ Mein Tafreeq Hai
Kya Karun Mera Donoñ Pe Eemaan Hai
Gar Khuda Rooth Jaaye To Sajde Karun
Gar Sanam Rooth Jaaye To Main Kya Karun
Jod lagte Gaye fasane mein
Raaz khulta gaya chhupane mein
tu ne tinke ke samajh ke phook diye
Meri duniya thi aashiyane mein
Maine khaak-e Nasheman ko bose diye
Aur Kahkar Ke Yeh Dil Ko Samjha Liya
Aashiyana Banana Mera Kaam Tha
Koi Bijli Giraaye To Main Kya Karun
Aashiyana Banana Mera Kaam Tha
Koi Bijli Giraaye To Main Kya Karun
Shauq Peene Ka Mujh Ko Zyada Na Tha
Tark-e Touba Ka Koi Irada Na Tha
Mujh Pe Tohmat Na Rakh Main Sharabi Nahin
Woh Nazar Se Pilaye To Main Kya Karun
Main Sharabi Sharabi ..
Main Sharabi Sharabi ..
Fasl-e Gul hai sharab pee lije
Sharm kaisi janab pee lije
Jo piye chhupke Wo munafiq hai
Be takalluf sharab pee lije
Aage chal kar hisab hona hai
Isliye behisab pee lije
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Jannat jo mile lakar maikhane mein rakh dena
Kausar ko mere chhote se paimane mein rakh dena
Mayyat na meri jaakar viraane mein rakh dena
Paimane mein dafnaakar, Maikhane mein rakh dena
Aur Saaqi dar e maikhana abhi band na karna
Shayad mujhe Jannat ki hawa raas na aaye
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Hazaron khwahisheñ aisi
ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere Armaan
Lekin phir bhi kam nikle
Taaj o takht o hukumat nahi maangta
Deen o Duniya ki sarwat nahi maangta
Mere saaqi main Daulat nahin maangta
Balke, Saaqi mera ek kaam kar
Maikhana mere naam kar
Main Sharabi Sharabi ..
Main Sharabi Sharabii ..
Khaali Hai Abhi Jaam –
Main Kuchh Soch Raha Huñ
Ay Gardish-e Ayyaam –
Main Kuchh Soch Raha Huñ
Saaqi Tujhe Kuchh Thodi Si Takleef To Hogi
Saaghar Ko Zara Thaam –
Main Kuchh Soch Raha Huñ
Kal Raat Maikade Mein Ajab Haadsa Hua
Zahid Sharab Pee Gaya Mere Hisab Mein
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Saaqi Ki Har Nigah Pe Bal Khaake Pee Gaya
Maujon Se Khelta Hua Lehra Ke Pee Gaya !
Peeta Baghair Izn Ye Kab Thi Meri Majaal
Dar-Parda Chashm-e Yaar Ki Shai Paa Ke Pi Gaya !
Ay Rahmat-e Tamam Meri Har Khata Muaaf
Main Intaha-e Shauk Mein Ghabra Ke Pee Gaya !
Ye Sab Samjhaane Wale, Mujhe Samjhaate Rah Gaye
Lekin Main Ek Ek Ko Samjhaa Ke Pee Gaya !
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Shakasta Haal Hain, Duniya Ke Bhi Sataaye Haiñ
Tere Sawal Ka Ya Rab Jawab Dete Hain
Ba Roz-e Hashr Hai Itni Bhi Jaldbazi Kya
Zara Sharab To Pee Leñ Hisab Dete Hain
Agar Khaaye Waaiz Ne Angoor
To Main Mahshar Mein Kah Duñga
Ay Allah! Ye Sharab Ki Goliyan Khate The
Ham Saghar Se Peete The
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Tauba Se Mujhe Zid Hai
Tauba Na Karunga
Toba Hazaar Baar Ki Aur Karke Tod Di
Ab To Meri Toba Jo Main Tauba Karuñ Kabhi
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Tauba Tauba Sharab se Tauba
Tauba Tauba Sharab se Tauba
Tauba Tauba Sharab se Tauba
Tauba Tauba Sharab se Tauba
Tauba Tauba Sharab se Tauba
Tauba Tauba aur Sharab se Tauba
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Desi Na Piyunga.. Are Desi Na Piyunga
Kyuñ
Aflaak Se kheñchi jaati hai
Seenoñ Mein chhupaayi jaati hai
Tauheed Ki Mai saaghar se nahin
Aañkhoñ se Pilayi jaati
Desi Na Piyunga
Mere Data Tere Qurban
Waliyon Ke Tassaduq Mein
Walaayat Ki Pila De
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Rang Mein Aaj Mujhe, HoshRuba De Saaqi
Khoon Ka Bhar Ke Katora Mujhe Laa De Saaqi
Maiñ Piyuñ Tum Bhi Piyo, Ham Donoñ Sharabi Ho Jaayeñ
Maiñ Pilaauñ Tujhe, Tu Mujhko Pila De Saaqi
Ho Mujhe PanjTan-e Paak Ki Ulfat Ka Khumar
Paañch Pyaale Mujhe Gin-Gin Ke Pila De Saaqi
Gar Koi Feil Karun Pee Ke Jo Shariyat Ke Khilaaf
Phir To Beshak Mujhe Sooli Pe Chadha De Saaqi
Mudda’a Dil Mein Jo Hai, Wo Hi Zabañ Se Nikle
Jo Lad-khadaa Ke Giruñ Muñh Se Ya Ali Nikle
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Main.. Main Sharabi
Main.. Main Sharabi
Ay Allah!
Teri Rehmat Ki Qasam, Teri Mohabbat Ki Qasam
Teri Inayat Ki Qasam, Teri Shifaat Ki Qasam
Badi Qasam Hai Habib-e Khuda Ki Qasam
Shab-e Hijraañ Ki Qasam, Kaakul-e Pechaañ Ki Qasam
Nargisi Aañkhoñ Ki Qasam, Jalva-e Janaañ Ki Qasam
Husn-e Yusuf Ki Qasam, Ishq Zulaikha Ki Qasam
Yade Baiza Ki Qasam, Dam Eesa Ki Qasam
Haibat-e Musa Ki Qasam, Baazu-e Haider Ki Qasam
Halq-e Asghar Ki Qasam, Chaadar-e Zainab Ki Qasam
Main.. Maiñ Sharabi..
Main.. Maiñ Sharabi..
Roomi guft,
Dilam Kaz Baada-e Khummar Shud Mast
Tanam Yak Sohbat-e Dildar Shud Mast
Sang-e baab-e maikada ra sajda gaah-e saakhtam
Qiblae Eemaan o Deeñ jaadu nigahe saakhtam
Dilam Kaz Baada-e Khummar Shud Mast
Tanam Yak Sohbat-e Dildar Shud Mast
Har lahza ba shaqlaañ bute ayyaar bar aamad
Har dam ba libas-e digar aañ yaar bar aamad
Khud kooza o khud koozagar o khud gile kooza
Khud bar sare aañ kooza khareedar bar aamad
Dilam Kaz Baada-e Khummar Shud Mast
Tanam Yak Sohbat-e Dildar Shud Mast
Na Man Tanha Dar Eeñ Maikhana Mastam
Junaid o Shibli o Attaar Shud Mast
Ba-Roo-e Paak Shamsuddin Tabrez
Ke Mullaañ Bar Sar-e Baazar Shud Mast
Mansoor Ne To Sooli Pe Khud Ko Chadha Ke Pee
Tabrez Ne Khud Khaal Ko Apni Khicha Ke Pee
Sarmast Thei Wo, Masti Mein Sar Ko Kata Ke Pee
Yusuf Ne Apne Husn Ka Jalwa Dikha Ke Pee
Ayyub Ne Bhi Sabr Ki Had Ko Mita Ke Pee
Musa Ne Koh-e Toor Ko Surma Bana Ke Pee
Eesa Ne Kum-Be-Izn Se Murde Jila Ke Pee
Akbar Ne Apni Saari Jawani Luta Ke Pee
Asghar Ne Sookhe Halq Par Bas Teer Kha Ke Pee
Qasim Ne Apne Sehre Ki Ladiyañ Kata Ke Pee
Abbas Ne To Dariya Pe Shaane Kata Ke Pee
Shabbir Ne Namaz Mein Sar Ko Kata Ke Pee
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
NusKha Bayaaz-e Saqi-e Kausar Se Mil Gaya
Ghar Baithe Ab Sharab-e-Tahura Banauga
(Sharab-e-Tahura meaning – The Holy Wine, described in Holy Quran)
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
Main sharabi sharabi ..
teri soorat nigahon mein lyrics, teri soorat nigahon mein lyrics,
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Urdu, Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan