Teri Midhaton Ka Aaqa Lyrics
Teri Midhaton Ka Aaqa Lyrics
Aaqa… Aaqa…. Aaqa….
Teri Midhatoñ Ka Aaqa Mere Lab Pe Hai Tarana
Tu Shafi-e-Roz-e-Mahshar Tu Hai Sarwar-e-Zamana
Teri Zaat Ka Huñ Aashiq Tere Naam Ka Huñ Shaida
Hua Sab Pe Ashikara Mere Ishq Ka Fasana.
Us Jaisa Koi Ab Tak Na Hua
Us Jaisa Koi Hoga Bhi Nahiñ,
Us Kambal Posh Ke Maiñ Qurbañ
Surat Bhi Hasiñ Seerat Bhi Hasiñ.
Uske Ik Bol Ka Mol Nahiñ
Yaqoot-o-Zamurrad-o-Laal-o-Gohar,
Maiñ Uske Ek Tabassum Par
Qurban Karuñ Firdaus-e-Bariñ.
Us Jaisa Koi Ab Tak Na Hua
Us Jaisa Koi Hoga Bhi Nahiñ
Kya Unka Maqaam-o-Martaba Hai
Is Baat Se Andaza Kar Lo,
Aaghaz Hai Unki Manzil Ka
Ruk Jaye Jahañ Jibreel-e-Amiñ.
Us Jaisa Koi Ab Tak Na Hua
Us Jaisa Koi Hoga Bhi Nahiñ
Wo Kaba-e-Imañ, Qibla-e-Jaañ
Wo Wajhe Wujood-e-Kauno Makañ,
Wo Shaafi-e-Mahshar, Haadi-e-Kul
Wo Khatm-e-Rusul Wo Markaz-e-Deeñ.
Us Jaisa Koi Ab Tak Na Hua
Us Jaisa Koi Hoga Bhi Nahiñ
Kat Jauñga Unki Hurmat Par
Mit Jauñga Unki Izzat Par,
Waqt Aaya To Duniya Dekhegi
Allah Ki Qasam Ye Jhoot Nahiñ.
Us Jaisa Koi Ab Tak Na Hua
Us Jaisa Koi Hoga Bhi Nahiñ
Ausaf Kare Kya Uske Bayañ
Ye Meri Qalam Ye Meri Zubañ,
Maañ Aysha Ne Sach Farmaya Hai
Khulq Uska Hai Quraan-e-Mubiñ.
Us Jaisa Koi Ab Tak Na Hua
Us Jaisa Koi Hoga Bhi Nahiñ
Us Kambal Posh Ke Maiñ Qurbañ
Surat Bhi Hasiñ Seerat Bhi Hasiñ
Recited by: Hassan Shahid Rampuri
Lyrics: Syed Ameen Gillani
तेरी में मिदहओं का आक़ा मेरे लब पे है तराना
तू शफ़ी-ए-रोज़-ए-महशर, तू है सरवर-ए-ज़माना,
तेरी ज़ात का हूं आशिक़, तेरे नाम का हूं शैदा
हुआ सब पे आशकारा मेरे इश्क़़ का फ़साना।
उस जैसा कोई अब तक न हुआ
उस जैसा कोई होगा भी नहीं,
उस कंबल-पोश के मैं क़ुर्बां
सूरत भी हसीं, सीरत भी हसीं।
उसके इक बोल का मोल नहीं
याक़ूत-ओ-ज़ुमुर्रद-ओ-लाल-ओ-गोहर,
मैं उसके एक तबस्सुम पर
क़ुर्बान करुं फ़िरदौस-ए-बरीं।
क्या उनका मक़ाम-ओ-मर्तबा है
इस बात से अंदाज़ा कर लो,
आग़ाज़ है उनकी मंज़िल का
रूक जाएं जहां जिब्रील-ए-अमीं।
वो काबा-ए-ईमां, क़िब्ला-ए-जां
वो वज़्ह-ए-वुजूद-ए-कौन-ओ-मकां,
वो शाफ़ी-ए-महशर हादी-ए-कुल
वो ख़त्म-ए-रुसुल, वो मरकज़-ए-दीं।
कट जाऊंगा उनकी हुरमत पर
मिट जाऊंगा उनकी इज़्ज़त पर,
वक़्त आया तो दुनिया देखेगी
अल्लाह की क़सम ये झूठ नहीं।
औसाफ़ करें क्या उनके बयां
ये मेरी क़लम, ये मेरी ज़ुबां,
मां आयशा ने सच फ़रमाया है
ख़ुल्क़ उसका है क़ुरआन-ए-मुबीं।
उस जैसा कोई अब तक ना हुआ
उस जैसा कोई होगा भी नहीं,
उस कंबल पोश के मैं क़ुर्बां
सूरत भी हसीं सीरत भी हसीं।
Teri Midhaton Ka Aaqa Naat Lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
More Rabiul Awwal Mutalliq Kalam
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar