Teri Insan Kya Zindagi hai | सोच ले मौत आयेगी इक दिन

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din
Baat quraan me ye likhi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Kuchh na kaam aayega ye zamana
bhool jayega sab muskurana
Ye teri zindagi aarzi hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Samne apne khoyeinge tujhko
tere ghar wale royenge tujhko
Dhoom is baat ki har ghadi hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Ye budhapa ho ya ke jawani
khatm ho jayegi sab kahani
Chund lamhon ki ye chandni hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Is qadar tu akad kar na chalna
Ae bashar tu na itna uchhalna
Ro ke tujhse zami kah rahi hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Jag me firoun saddaad bhi the
Unke darbar aabad bhi the
Unki doulat kahan kho gayi hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Dour ka apne wo ik sikandar
Mar ke pahucha wo dharti ke andar
Tu bata kis chaman ki kali hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Ambiya mursali.n jitne aaye
Maut ke zayke sabne paaye
Waqt ka peer hai ya wali hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Qabr me koi apna na hoga
Bhaagne ka bhi rasta na hoga
Wo bahut kashma kash ki ghadi hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Dekh wo karbala ke bahattar
So gaye sab ke sab sar kata kar
Baat qudrat ke qanoon ki hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Ae aqeel apni uqba sambhalo
Apne khaaliq ko har dam pukaro
Ye hadees e nabi kah rahi hai
soch le maut aayegi ik din

Teri insan kya zindagi hai
soch le maut aayegi ik din

 

Voice: Aqeelur Rahman
Lyrics: Aqeelur Rehamn

Related Kalam:

 


Mayos Nahin Hein Ham Allah Ki Rahmat Se

Duniya Ke Ae Musafir Manzil Teri QabrQHai


Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *