Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai Lyrics
Qawwal : Ghulam Sabir Ghulam Waris
Teri Nazar Se Dil Ko Sukooñ Hai Qaraar Hai ..
Teri Nazar Se Dil Ko Sukooñ Hai Qaraar Hai
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Tere Karam Se
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Sharminda Kar Rahi Hai Meri Har Khata Mujhe
Taskeen De Raha Hai Karam Aap Ka Mujhe
Main Haqq-e Bandagi Na Ada Kar Saka Kabhi
Lekin Tere Karam Ne Nawaza Sada Mujhe.
Tere .. Khwaja Piya
Tere .. Khwaja Piya
Tere .. Khwaja Moin
Tere .. Khwaja Moin
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Duniya Khilaf Ho Ye Shiqaayat Nahi Mujhe
Tere Siwa Kisi Ki Zarurat Nahi Mujhe
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Tere Karam Se
Tere .. Khwaja Moin
Tere .. Khwaja Moin
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Auroñ Ko Jo Mila Hai Muqaddar Se Mila Hai
Hum Ko To Muqaddar Bhi Tere Dar Se Mila Hai
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Khwaja Ji More Khwaaja,
Tera Deedar Deedar-e Ilahi Paya Jaata Hai
Tere Kooche Se Jo Guzra Yaqeenan Bakhsha Jaata Hai.
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tu Mujhe Deta Hai Khwaja To Kaam Chalta Hai
Tere Tukdoñ Pe Mera Khaandaan Palta Hai
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. khwaja Moiñ
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Khwaja Ji More ..
Tumhara Tazkara Takmeel e Eemaañ Ki Gawaahi Ki
Tumhari Quwwateñ Haiñ Haiñ Quwwateñ Zaat-e Ilahi Ki
Zamaanat Tumne Li Hai Hashr Mein Aalam-Panaahi Ki
Tumhara Naam Lena Hi Sanad Hai Begunahi Ki
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. Tere Karam Se
Tere.. khwaja Moiñ
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Khwaja Ji More ..
Tumhari Chashme Karam Ho To Kaam Ho Jaaye
Ada Se Dekh Lo Qissa Tamaam Ho Jaaye.
Karam Idhar Bhi O Mast-e Khiraam Ho Jaaye
Sharaab-e Deed Se Labrez Jaam Ho Jaaye.
Tumhare Dar Pe Maiñ Karta Huñ Is Liye Sajde
Na Jaane Kaun Se Sajde Meiñ Kaam Ho Jaaye.
Ghulami Tere Sang-e Dar Ki Ho Naseeb Jise
To Us Ghulam Ki Duniya Ghulam Ho Jaaye
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tere.. khwaja Moiñ
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere.. Khwaja Moiñ
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Aa.. Khwaja Ji, Khwaja Ji,
Allah Ka Wali Hai Koi Zeeñ-Waqaar Hai
Rahmat Baras Rahi Hai Ye Kis Ka Mazaar Hai
Rahmat Baras Rahi Hai Ye Kis Ka Mazaar Hai ..
Ya Ghareeb Nawaz..
Hum Aa Gaye Kahañ Pe Ye Kiska Dayaar Hai
Pahlu Se Dil Pukaara, Yahi Koo-e Yaar Hai.
Pahlu .. Khwaja Moin..
Pahlu .. Khwaja Moin
Pahlu Se Dil Pukaara, Ye Hi Koo-e Yaar Hai ..
Ya Ghareeb Nawaz..
Hai Badnaseeb Wo Jise Gham Na-Gawaar Hai
Ye To Daleel-e Rahmat-e Parwar Digaar Hai.
Ye To.. Khwaja moin
Ye To.. Khwaja moin
Ye To.. Khwaja moin
Ye To Daleel-e Rahmat-e Parwar Digaar Hai ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Mahshar Meiñ Sabke Haath Meiñ Hai Naama-e Alam ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Jo Mujhe Dekhta Hai, Naam Tera Leta Hai
Main To Khaamosh Huñ Nisbat Meri Khaamosh Nahiñ.
Mahshar Meiñ Sabke Haath Meiñ Hai Naama-e Alam
Lo Dekho, Mere Haath Meiñ Tasveer-e Yaar Hai.
Lo dekho .. Khwaja moin
Lo dekho .. Khwaja moin
Lo dekho .. Khwaja moin
Lo Dekho Mere Haath Meiñ Tasveer-e Yaar Hai ..
Ya Ghareeb Nawaz,
Maasoomiyat To Dekhiye Mere Huzur Ki
Logoñ Se Poochhte Hain Ye Kis Ka Mazaar Hai.
Logoñ Se Poochhte Hain Ye Kis Ka Mazaar Hai ..
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tere ..Tere Karam Se
Tere ..Tere Karam Se
Tere .. Khwaja ji Miya
Tere .. Khwaja ji Piya
Tere .. Khwaja Moin
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
Tere Karam Se Mere Chaman Meiñ Bahar Hai ..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan