Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon Lyrics
Singer: Muhammad Samie
Khirad-mandoñ se kya poochhuñ
Keh meri ibtida kya hai !
Keh main is fikr meiñ rahta hooñ
Keh meri inteha kya hai !
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon..
Na shorat, na sarwat, na meharab-o-mimber, Bus..
Tere Ishq Ki..
Tere Ishq Ki..
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon..
Jo giraftar tumhara hai wahi hai aazad
Jisko aazad karo tum kabhi aazaad na ho !
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon..
Aql ne jab bhi diya mujhko fareb-e-mantik
Ishq aaya hai mujhe raah dikhane ke liye
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon ×2
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hooñ.
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon.
Ye Jannat Mubarak Rahe Zaahidoñ Ko..
Ye Jannat Mubarak Rahe Zaahidoñ Ko
Apni jannat mujhe dikhla na saka tu waiz
Koocha-e-yaar meiñ chal dekhle jannat meri
Ye Jannat Mubarak Rahe Zaahidoñ Ko..
Bahisht meiñ bhi pahunch kar mujhe qarar nahi
Ye koyi aur jagah hai maqaam-e-yaar nahi !
Ye Jannat Mubarak Rahe Zaahidoñ ×2
Ke Maiñ Aapka Saamna Chaahta Hooñ. ×2
Maana keh Teri deed ke qaabil nahi hooñ maiñ
Tu Mera shauq dekh, meraa intezar dekh
Ke Maiñ Aapka Saamna Chaahta Hooñ.
Yahi aalam raha parda-nasheeni ka to zaahir hai
Khudayi aap se hogi, na humse bandagi hogi..
Kya farz hai ke sabko mile ek sa jawab !
Aao na! Hum bhi sair kareñ kohe toor ki
Rakhkha hai usne waada-e-deedar hashr par
Achchhi saza Hui hai dil-e-na-saboor ki.
Ke Maiñ Aapka Saamna Chaahta Hooñ..
Ke Maiñ Aapka Saamna Chaahta Hooñ..
Hameñ ma’loom hai, humse suno mehshar meiñ kya hoga?
Sab usko dekhte hoñge, wo humko dekhta hoga !
Jahannam ho ke jannat, jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai, hamara aur unka saamna hoga !
Ke Maiñ Aamna-Saamna Chaahta Hooñ.
Ke Maiñ Aamna-Saamna Chaahta Hooñ.
Jabse chali hai Aadam-o-Yazdañ ki daastañ
Har bawafa ka rabt hai ik bewafa ke saath
Peer-e-mughañ se humko koi bair to nahi
Thoda sa ikhtilaf hai Mard-e-Khuda ke saath
Mehshar ka khair kuchh bhi natija ho ay Adam
Kuchh guftgu to khul ke karenge khuda ke saath
Ke Maiñ Aamna-Saamna Chaahta Hooñ.
Ye roz-e-hashr hai maalik, sawaloñ par bhi aa jaana
Zara deedar to kar looñ Tera ay rooye-jaanaana
Ke Maiñ Aap Ka Saamna Chaahta Hooñ.
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon.
Bhari Bazm Meiñ Raaz Ki Baat Keh Di ×4
Bada Be-adab Hooñ Saza Chahta Hooñ. ×2
Rind-e-kharab-haal ko zaahid na chhed tu
Tujhko paraayi kya padi, apni nabed tu
Bada Be-adab Hooñ Saza Chahta Hooñ.
Janab-e-shaikh ! ye kya maajra hua aakhir
Suna hai aapko kaabe meiñ bhi khuda na mila !
Bada Be-adab Hooñ Saza Chahta Hooñ.
Bada Be-adab Hooñ Saza Chahta Hooñ.
Ab to ghabra ke ye kehte hain keh mar jayenge
Marke bhi chain na paya to kidhar jayenge,
Zauq jo mad’rase ke bigde hue haiñ mulla
Inko maikhane meiñ le aao sawar jayenge.
Bada Be-adab Hooñ Saza Chahta Hooñ.×2
Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki
Aaya hai maikade meiñ to soojhi hai door ki
Waiz na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki
Bada Be-adab Hooñ Saza Chahta Hooñ. ×2
Milegi shaikh ko jannat hamen dozakh aata hoga
Bas itni baat hai jiske liye mehshar bapa hoga
Rahe do-do farishte saath ab insaaf kya hoga
Kisi ne kuchh likha hoga, kisi ne kuchh likha hoga
Gunah se aashaayi jab nahi rakhte farishte tab
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga…
Bada Be-adab Hooñ Saza Chahta Hooñ
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hooñ
Ke Maiñ Aap Ka Saamna Chaahta Hooñ
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon.
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon.
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar