Tadap uthta hai dil lafzon me dohraai nahin jaati
Tadap uthta hai dil lafzon me dohraai nahin jaati
Zaban par daastan e karbala laai nahin jaati
तड़प उठता है दिल लफ्ज़ों में दोहराई नहीं जाती
ज़बां पर दास्तान ए कर्बला लाई नहीं जाती
Hussain ibne ali ke gham me hun duniya se begana
Hujoom e khalq me bhi meri tanhaai nahin jaati
हुसैन इब्ने अली के ग़म में हूं दुनिया से बेगाना
हुजूम ए ख़ल्क़ में भी मेरी तन्हाई नहीं जाती
Suna hai karbala ki khaak hai akseer se badh kar
Ye mitti aankh me lene se beenayi nahin jaati
सुना है कर्बला की ख़ाक है अक्सीर से बढ़कर
ये मिट्टी आंख में लेने से, बीनाई नहीं जाती
Hussainiyat ko paana hai to takkar le yazeedon se
Ye wo manzil hai jo lafzon me samjhaai nahin jaati
हुसैनियत को पाना है तो टक्कर ले यज़ीदों से
ये वो मन्ज़िल है जो लफ्ज़ों में समझाई नहीं जाती
Udaasi chha rahi hai rooh pe shan e ghariban ki
Tabiyat hai ke bahlane se bahlaayi nahin jaati
उदासी छा रही है रुह़ पर शामे ग़रीबां की
तबीयत है के बहलाने से बहलाई नहीं जाती
Tamache maar lo khaime jala lo qaid me rakh lo
Ali ke gul rukhon se booye zahraai nahin jaati
तमाचे मार लो ख़ैमें जला लो क़ैद में रख लो
अली के गुल रुखों से बू-ए-ज़ाहराई नहीं जाती
Kaha abbas ne afsos baazu kat gaye mere
Saqeena tak ye mashk e aab le jaai nahin jaati
कहा अब्बास ने अफसोस बाज़ू कट गए मेरे
सक़ीना तक ये मश्क-ए-आब ले जाई नहीं जाती
Kaha shabbir ne abbas se tum mujhko sahara do
Ke tanha laash e akbar mujhse dafnaai nahin jaati
कहा शब्बीर ने अब्बास, तुम मुझको सहारा दो
कि तन्हा लाश ए अकबर, मुझसे दफ़नाई नहीं जाती
Daleeli se ho badhkar kya shaheedon ki taharat par
Ke maiyat dafn ki jaati hai ke nahlaai nahin jaati
दलीली से हो बढ़कर क्या, शहीदों की तहारत पर
के मैय्यत दफ़्न की जाती है, नहलाई नहीं जाती
Koi bhi dour ho tu imam e gham thaharta hai
Gham e shabbir teri yaktaai nahin jaati
कोई भी हो तू इमाम ए ग़म ठहरता है
ग़मे शब्बीर तेरी शान-ए-यकताई नहीं जाती
Wo jin chehron ko zeenat khasaye khak e najaf bakhshe
Dame aakhir bhi un chehron ki zebaai nahin jaati
वो जिन चेहरों को ज़ीनत खासए-ख़ाके नजफ़ बख़्शें
दमे आखिर भी उन चेहरों की ज़ेबाई नहीं जाती
Naseer aakhir adabat ke bhi kuchh aadaab hote hain
Kisi bhi bimaar ko janzeer pahnaai nahin jaati
नसीर आख़िर अदावत के भी कुछ आदाब होते हैं
किसी बीमार को ज़न्जीर पहनाई नहीं जाती
Naat khwan: Muhammad ali faizi
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|