Shukre Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai

Shukre Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai naat lyrics
Shukre Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai naat lyrics

Shukre Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai naat lyrics

शुक्रे ख़ुदा कि आज घड़ी उस सफ़र की है

Shayar:  Ala Hazrat  | Naat e Paak

Naat khwan: owais raza qadri, sayyed abdul wasi qadri, adeel raza fayyazi, shadab razvi,

Hadaaiqe Bhakhshish Part 1

 

शुक्रे ख़ुदा कि आज घड़ी उस सफ़र की है

जिस पर निसार जान फ़लाह़ो ज़फ़र की है

Shukre Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai

Jis Par Nisar Jaan Falaho Zafar Ki Hai

 

गरमी है तप है दर्द है कुल्फ़त सफ़र की है

ना शुक्र यह तो देख अ़ज़ीमत किधर की है

Garmi Hai Tup Hai Dard Hai Kulfat Safar Ki Hai

Na Shukr Yeh To Dekh Azeemat Kidhar Ki Hai

 

किस ख़ाके पाक की तू बनी ख़ाके पा शिफ़ा

तुझ को क़सम जनाबे मसीह़ा के सर की है

Kis Khaake Paak Ki Tu Bani Khaake Paa Shifa

Tujh Ko Qasam Janabe Maseeha Ke Sar Ki Hai

 

आबे ह़याते रूह़ है ज़रक़ा की बूंद बूंद

इक्सीरे आ’ज़मे मिसे दिल ख़ाक दर की है

Aabe Hayat Rooh Hai Zarqa Ki Ki Boond Boond

Ikseer e Aazme Mise Dil Khaak Dar Ki Hai

 

हम को तो अपने साए में आराम ही से लाए

ह़ीले बहाने वालों को यह राह डर की है

Hum Ko To Apne Saaye Me Aaram Se Laaye

Heeley Bahane Waalo(n) Ko Yeh Raah Dar Ki Hai

 

लुटते हैं मारे जाते हैं यूं ही सुना किये

हर बार दी वोह अम्न कि ग़ैरत ह़ज़र की है

Lut’te Hein Maare Hein Yun He Suna Kiye

Har Baar Di Woh Amn Ki Ghairat Huzoor

 

वोह देखो जग-मगाती है शब और क़मर अभी

पहरों नहीं कि बिस्तो चहारुम सफ़र की है

Woh Dekho Jug-Mugaati Hai Shub Aur Qamar Abhi

Pathri(n) Nahi Ki Bisto Chaharoom Safar Ki Hai

 

माहे मदीना अपनी तजल्ली अ़त़ा करे !

यह ढलती चांदनी तो पहर दो पहर की है

Maahe Madina Apni Tajalli Ata Kare !

Yeh Dhalti Chandni To Pahar Do Pahar Ki Hai

 

मन ज़ार तुर्बती वजबत लहु शफ़ाअती

उन पर दुरूद जिन से नवीद इन बुशर की है

Mann Zaar Turbati Wajbut Lahoo Shafa’ati

Un Par darood Jin Se Naweed In Bushar ki hai

 

उस के त़ुफ़ैल ह़ज भी ख़ुदा ने करा दिये

अस्ले मुराद ह़ाज़िरी उस पाक दर की है

Us Ke Tufail Haj Bhi Khuda Ne Kara Diya

Asle Muraad Haaziri Us Paal Dar Ki Hai

 

का’बे का नाम तक न लिया त़यबा ही कहा

पूछा था हम से जिस ने कि नह्‌ज़त किधर की है

Kaabe Ka NaamTak Na Liya Taiba He Kaha

Poochha Tha Hum Se Jis Ne Ki Nahzat Kidhar Ki hai

 

का’बा भी है इन्हीं की तजल्ली का एक ज़िल

रोशन इन्ही के अ़क्स से पुतली ह़जर की है

Kaaba Bhi Hai Inhe Ki Tajalli Ka Ek Zil

Roshan Bhi Hai Inhi Ke Aks Se Putli Hajar Ki Hai

 

होते कहां ख़लीलो बिना का’बा व मिना

लौलाक वाले साह़िबी सब तेरे घर की है

Hote Kahan Khaleelo Bina Kaaba Wa Mina

Loulaak Waale Saahibi Sub Tere Ghar Ki Hai

 

मौला अ़ली ने वारी तेरी नींद पर नमाज़

और वोह भी अ़स्र सब से जो आ’ला ख़त़र की है

Moula Ali Ne Waari Teri Neend Par Namaz

Aur Who Bhi Asr Sub Se Jo Aala Khatar Ki Hai

 

सिद्दीक़ बल्कि ग़ार में जान उस पे दे चुके

और ह़िफ़्ज़े जां तो जान फ़ुरूज़े ग़ुरर की है

Siddiq Balki Ghaar Me Jaan Us Pe De Chuke

Aur Hifze Jaa(N) To Jaan Furuze Ghurar Ki Hai

 

हां तूने उन को जान उन्हें फेर दी नमाज़

पर वोह तो कर चुके थे जो करनी बशर की है

Haan Tone Un Ko Jaan Unhe Fer Di Namaz

Par Who To Kar Chuke The Jo Karni Basher Ki Hai

 

साबित हुआ कि जुम्ला फ़राइज़ फ़ुरूअ़ हैं

अस्लुल उसूल बन्दगी उस ताजवर की है

Saabit Hua Ki Jumla Fara’iz Furu’aa Hein

Aslul Usool Bandgi Us Taajwar Ki Hai

 

शर ख़ैर शौर सौर शरर दूर नार नूर !

बुश्रा कि बारगाह येह ख़ैरुल बशर की है

Sar Khair Sour Sharer Door Naar Nor !

Bushra Ki Baargah Yeh Khairul Basher Ki Hai

 

मुजरिम बुलाए आए हैं जाऊका है गवाह

फिर रद हो कब येह शान करीमों के दर की है

Mujrim Bulaye Aaye Hein Jaooka Hai Gawaah

Fir Radd Ho Kab Yeh Shan Karimo(N) Ke Dar Ki Hai

 

बद हैं मगर उन्हीं के हैं बाग़ी नहीं हैं हम

नज्दी न आए उस को येह मन्ज़िल ख़त़र की है

Buk Hein Magar Unhi Ke Hein Baaghi Nahi Hein Hum

Najdi Na Aaye Us Ko Yeh Manzil Khatar Ki Hai

 

तुफ़ नज्दियत न कुफ़्र न इस्लाम सब पे ह़र्फ़

काफ़िर इधर की है न उधर की अधर की है

Tuf Najdiyar Na Kufr Na Islam Sub Pe Harf

Kafir Idhar Ki Hai Na Udhar Ki Adhar Ki Hai

 

ह़ाकिम ह़कीम दादो दवा दें यह कुछ न दें

मरदूद यह मुराद किस आयत, ख़बर की है

Hakim Daado Dawa De Yeh Kuchh Na De(N)

Mardood Yeh Muraad Kis Aayaat, Khabar Ki Hai

 

शक्ले बशर में नूरे इलाही अगर न हो !

क्या क़द्र उस ख़मीरए मा-ओ मदर की है

Shakle Basher Me Noore Ilaahi Agar Na Ho !

Kya Qadr Us Khameer-A Maa-O Madar Ki Hai

 

नूरे इलाह क्या है मह़ब्बत ह़बीब की

जिस दिल में यह न हो वोह जगह खूको ख़र की है

Nore Ilaahi Kya Hai Mahbbat Habeeb Ki

Jis Dil Me Yeh Na Ho Who Jagah Khook-O Khar Ki Hai

 

ज़िक्रे ख़ुदा जो उन से जुदा चाहो नज्दियो !

वल्लाह ज़िक्रे ह़क़ नहीं कुन्जी सक़र की है

Zikre Khuda Jo Un Se Juda Chaho Najdiyo !

Wallah Zikre Haq Nahi Kunji Saqar Ki Hai

 

बे उन के वासित़े के ख़ुदा कुछ अ़त़ा करे

ह़ाशा ग़लत़ ग़लत़ येह हवस बे बसर की है

Be Un Waasite Ke Khuda Kuchh Ata Kare

Haasha Ghalat Yeh Hawas Be Basar Ki Hai

 

मक़्सूद यह हैं आदमो नूह़ो ख़लील से

तुख़्मे करम में सारी करामत समर की है

Maqsood Yeh Hein Aadmo Nooho Khaleel Se

Tukhme Karam Me Saari Karaamat Samar Ki Hai

 

उन की नुबुव्वत उन की उबुव्वत है सब को आम

उम्मुल बशर अ़रूस इन्हीं के पिसर की है

Un Ki Nubuwwat Un Ki Ubuwwat Hai Sub Ko Aam

Ummul Basher Aroos Inhi Ki Pisar Ki Hai

 

ज़ाहिर में मेरे फूल ह़क़ीक़त में मेरे नख़्ल

उस गुल की याद में येह सदा बुल बशर की है

Zaahir Me Mere Phool  Haqeeqat Me Mere Nakhal

Us Gul Ki Yaad Me Yeh Sada Bul Basher Ki Hai

 

पहले हो उन की याद कि पाए जिला नमाज़

यह कहती है अज़ान जो पिछले पहर की ह

Pahle Ho Un Ki Yaad Ki Paaye Jilaa Namaz

Yeh Kahti Hai Azaan Jo Pichhle Pahar Ki Hai

 

दुन्या मज़ार ह़श्र जहां हैं ग़फ़ूर हैं

हर मन्ज़िल अपने चांद की मन्ज़िल ग़फ़र की है

Dunya Mazaar Hashr Jahan Hein Ghafoor Hein

Har Manzil Apne Chand Ki Manzil Ghafar Ki Hai

 

उन पर दुरूद जिनको हज़र तक करें सलाम

उन पर सलाम जिनको तह़िय्यत शजर की है

Un Par Durood Jinko Hazar Tak Kare(N) Salaam

Un Par Salaam Jinko Tahaiyyat Shajar Ki Hai

 

उन पर दुरूद जिन को कसे बे-कसां कहें

उन पर सलाम जिन को ख़बर बे ख़बर की है

Un Par Durood Jin Ko Kase Be Kasa(N) Kahe(N)

Un Par Salaam Jin Ko Khabar Be Khabar Ki Hai

 

जिन्नो बशर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

यह बारगाह मालिके जिन्नो बशर की है

Jinno Basher Salaam Ko Haazir Hein Assalaam

Yeh Baargah Maalike Jinno Bashar Ki Hai

 

शम्सो क़मर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

ख़ूबी इन्ही की जोत से शम्सो क़मर की है

Shamso Qamar Salaam Ko Haazir Hein Assalaam

Khoobi Inhi Ki Joot Si Shamso Qamar Ki Hai

 

सब बह़्‌रो बर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

तम्लीक इन्हीं के नाम तो हर बह़्‌रो बर की है

Sub Bahro Bar Salaam Ko Haazir Hein Assalam

Tamleek Inhi Ke Naam To Har Bahro Bar Ki Hai

 

संगो शजर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

कलिमे से तर ज़बान दरख़्तो ह़जर की है

Sango Shajar Salaam Ko Haazir Hein Assalaam

Kalime Se Tar Zabaan Darakhto  Hajar Ki Hai

 

अ़र्ज़ो असर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

मल्जा यह बारगाह दुआओ असर की है

Arzo Asar Salaam Ko Haazir Hein Assalaam

Makja Yeh Baargah Dua-O Asar Ki Hai

 

Shukre Khuda Ki Aaj ghadi us safar ki hai naat lyrics

 

शोरीदा सर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

राह़त इन्हीं के क़दमों में शोरीदा सर की है

Shorida Sar Salaam Ko Haazir Hein Assalaam

Rahat Inhi Ke Qadmo(N) Me Shoreeda Sar Ki Hai

 

ख़स्ता जिगर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

मरहम यहीं की ख़ाक तो ख़स्ता जिगर की है

Khasta Jigar Salaam Ko Haazir Hein Assalaam

Marham Yahi(N) Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai

 

सब ख़ुश्को तर सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

यह जल्वा गाह मालिके हर ख़ुश्को तर की है

Sub Khushko Tar Salaam Ko Haazir Hein Assalaam

Yeh Jalwa Gaah Maalike Har Khushko Tar Ki Hai

 

सब कर्रो फ़र सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

टोपी यहीं तो ख़ाक पे हर कर्रो फ़र की है

Sub Karro Far Salaam Ko Haazir Hein Assalam

Topi Yahi(N) To Khaak Pe Har Karro Far Ki Hai

 

अहले नज़र सलाम को ह़ाज़िर हैं अस्सलाम

यह गर्द ही तो सुरमा सब अहले नज़र की है

Ahle Nazar Salaam Ko Haazir Hein Assalam

Yeh Gard He To Surma Sub Ahle Nazar Ki Hai

 

आंसू बहा कि बह गए काले गुनह के ढेर

हाथी डुबाउ झील यहां चश्मे तर की

Aansoo Baha Ki Bah Gaye Kale Gunah Ked Her

Haathi Dubaoo Jheel Yaha Chashme Tar Ki Hai

 

तेरी क़ज़ा ख़लीफ़ए अह़कामे ज़िल जलाल

तेरी रिज़ा ह़लीफ़ क़ज़ा-ओ क़दर की है

Teri Qaza Khalifa e Ahkaam e Zil Jalaal

Teri Riza Haleef Qaza O Qadar Ki Hai

 

यह प्यारी प्यारी क्यारी तेरे ख़ाना बाग़ की

सर्द इस की आबो ताब से आतिश सक़र की है

Yeh Pyaari Pyaari Kyaari Tere Baagh Ki

Sard Is Ki Aabo Taab Se Aatish Sakar Ki Hai

 

जन्नत में आ के नार में जाता नहीं कोई

शुक्रे ख़ुदा नवीद नजातो ज़फ़र की है

Jannat ame Aa Ke Naar Me Jata Nahi Koi

Shukre Khuda Naweed Najaato Zafar Ki Hai

 

मोमिन हूं मोमिनों पे रऊफ़ो रह़ीम हो

साइल हूं साइलों को ख़ुशी ला-नहर की है

Momin Hun Momino(n) Pe Raoof O Raheem Ho

Saa’il Hun Saa’ilo(n) Ko Khushi Laa-Nahar Ki Hai

 

दामन का वासित़ा मुझे उस धूप से बचा

मुझ को तो शाक़ जाड़ों में इस दो पहर की है

Daaman Ka Waasita Mujhe Us Dhoop Se Bacha

Mujh ko To Shaaq Jaado(n) Me Is Dopahar Ki Hai

 

मां दोनों भाई बेटे भतीजे अ़ज़ीज़ दोस्त

सब तुझ को सोंपे मिल्क ही सब तेरे घर की है

Maa(n) Dono Bhai Bete Bhatja Azeez Dost

Sub Tujh Ko Sounpe Milk He Sub Tere Ghar Ki Hai

 

Shukre Khuda Ki Aaj ghadi us safar ki hai naat lyrics

 

जिन जिन मुरादों के लिये अह़बाब ने कहा

पेशे ख़बीर क्या मुझे ह़ाजत ख़बर की है

Jin Jin Muraado(n) Ke Liye Ahbaab Ne Kaha

Peshe Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai

 

फ़ज़्ले ख़ुदा से ग़ैब शहादत हुआ इन्हें

इस पर शहादत आयतो वह़्‌यो असर की है

Fazle Khuda Se Ghaib Shahadat Hua Inhe

Is Par Shahadat Aayto wahyo Asar Ki Hai

 

कहना न कहने वाले थे जब से तो इत्त़िलाअ़

मौला को क़ौलो क़ाइलो हर ख़ुश्को तर की है

Kahna Na Kahne Waale The Jab Se To Ittila’aa

Moula Ko Qoulo Walo Har Khushk o Tur Ki Hai

 

उन पर किताब उतरी बयानन लिकुल्ले शय

तफ़्सील जिस में मा अ़-बरो मा ग़बर की है

Un Par Kitaab Utri Bayanun Likulle Shaiy

Tafseel Jis Me Maa Aa-Baro Maa Ghabar Ki Hai

 

आगे रही अ़त़ा वोह ब क़दरे त़लब तो क्या

आदत यहां उमीद से भी बेश्तर की है

Aage Rahi Ata Woh Ba Qadre Talab To Kya

Aadut Yaha(n) Ummid Se Bhi Beshtar Ki Hai

 

बे मांगे देने वाले की ने’मत में ग़र्क़ हैं

मांगे से जो मिले किसे फ़ह्‌म उस क़दर की है

Be Maange Dene Waale Ki Nemat Me Gharq Hein

Maange Se Jo Mile Kise Faham Us Qadar Ki Hai

 

अह़बाब इस से बढ़ के तो शायद न पाएं अ़र्ज़

ना कर्दा अ़र्ज़ अ़र्ज़ येह त़र्ज़े दिगर की है

Ahbaab Is Se Bud Ke To Shayad NavPaaye(n) Arz

Na Karda Arz Arz Yeh Tarze Digar Ki Hai

 

दन्दां का ना’त ख़्वां हूं ना पायाब होगी आब

नद्दी गले गले मेरे आबे गुहर की है

Danda(n) Naat Khwan Hu Na Payaab Hogi Aab

Naddi Gale Gale Mere Aabe Guhar Ki Hai

 

Shukre Khuda Ki Aaj Ghadi us safar ki hai naat lyrics

 

दश्ते ह़रम में रहने दे सय्याद अगर तुझे

मिट्टी अ़ज़ीज़ बुलबुले बे बालो पर की है

Dashte Haram Me Rahne De Sayyaad Agar Tujhe

Mitti Azeez Bulbule Be Baalo Par Ki Hai

 

या रब रज़ा न अह़मदे पारीना हो के जाए

यह बारगाह तेरे ह़बीबे अबर की है

YaavRab Raza Na Ahmade Paareena Ho Ke Jaaye

Yeh Baargah Tere Habeeb e Abar Ki Hai

 

तौफ़ीक़ दे कि आगे न पैदा हो ख़ूए बद

तब्दील कर जो ख़स्लते बद पेश्तर की है

Toufeeq De Ki Aage Na Paida Ho Khoo-e Bud

Tabdeel Kar Jo Khaslate Bud Peshtar Ki Hai

 

आ कुछ सुना दे इ़श्क़ के बोलों में ऐ रज़ा

मुश्ताक़ त़ब्अ़ लज़्ज़ते सोज़े जिगर की है

Aa Kuchh Suna De Ishq Ke Bolo(n)Me Ey RAZA

Mushtaaq Tab’aa Lazzate Soze Jigar Ki Hai

 

Hindi And English Naat Lyrics

Hindi And English Naat Lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri |  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *