Shainillah Ya Abdul Qadir Lyrics
Qawwal: Ghous Muhammad Nasir
हिन्दी लिरिक्स
Ya Mere Ghaus Piya…
Ghaus Piya… Ghaus Piya..
Piyaa.. Ghaus Piya..
Shainillah Ya Abdul Qadir,
Ya Saakin Baghdad, Ya Shaikhul Jeelani
Mahboob e Sub’haani Ghaus Piya Jeelani
Ya Mere Ghaus Piya…
Har Museebat Se, Har Ik Fikr Se, Har Aafat Se
Chhut Gaye Hum To Faqat Naam Tumhara Lekar
Aseeroñ Ke Mushkil Kusha Ghaus e Azam
Faqeeroñ Ke Haajat-rawa Ghaus e Azam
Ghira Hai Balaaoñ Meiñ Banda Tumhara
Madad Ke Liye Aao Ya Ghaus e Azam
Shainillah Ya Abdul Qadir,
Ya Saakin Baghdad Ya Shaikhul Jeelani
Mahboob e Sub’haani Ghaus Piya Jeelani
Ya Mere Ghaus Piya..
Tere Haath Meiñ Haath Maine Diya Hai
Tere Haath Hai Laaj Ya Ghaus e Azam
Lipat Jaayeñ Daaman Se Uske Hazaroñ
Pakad Le Jo Daaman Tera Ghaus e Azam
Shainillah Ya Abdul Qadir,
Ya Saakin Baghdad , Ya Shaikh Al Jeelani..
Mahboob e Sub’haani Ghaus Piya Jeelani..
Jeelani, Jeelani, Jeelani..
Ho, Ya Ghaus Piya Jeelani
Jo Dukh Sah Raha Hooñ, Jo Gham Sah Raha Hooñ
Kahooñ Kis Se Tere Siwa Ghaus e Azam
Bhañwar Meiñ Phañsa Hai Safeena Hamaara
Bacha Ghaus e Azam, Bachaa Ghaus e Azam
Shainillah Ya Abdul Qadir,
Ya Saakin Baghdad Ya Shaikh Al Jeelani
Jeelani
Shainnillah Ya Abdul Qadir,
Ya Saakin Baghdad Ya Shaikh Al Jeelani..
Mahboob e Sub’haani Ghaus Piya Jeelani..
Jise Khalq Kahti Hai Pyara Khuda Ka
Usi Ka Hai Tü Laadla Ghaus e Azam
Mureedoñ Ko Khatra Nahiñ Bahr e Gham Ka
Ke Bede Ke Haiñ NaKhuda Ghaus e Azam
Shain illah Ya Abdul Qadir,
Ya Saakin Baghdad Ya Shaikh Al Jeelani
Mahboob e Sub’haani Ghaus Piya Jeelani
Ghaus Piya… Ghaus Piya..
Piya, Piya Piya,
Ghaus Piya..
Faqeere To Chashm e Karam Az Tou Daarad
Nigaahe BaHaale Gada Ghaus e Azam
Kaheñ Kis Se Jaakar, Hasan Apne Dil Ki
Sune Kaun Tere Siwa Ghaus e Azam
Shainnillah Ya Abdul Qadir,
Ya Saakin Baghdad Ya Shaikh Al Jeelani..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan