Shahzadiyan Sa Roti Rahi Lyrics – Syed Irfan Haider
Shahzadiyan Sa Roti Rahi Lyrics – Syed Irfan Haider
हाय ! जिस घड़ी ज़िंदान का दर खोला गया
बीबियों को देख के सज्जाद ने रो कर कहा
अल्लाह अल्लाह आ रहा है
सय्यदों का काफ़ला
अल्लाह अल्लाह आ रहा है
सय्यदों का काफ़ला
कर्बला वालों के ग़म में बिछ गया फ़र्शे अज़ा
सामने जब आए शहज़ादों के सर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
हाय! अली असग़र (अ. स)..
ढूंढ कर असग़र का सर कहने लगीं उम्म-ए-रवा
काश ! मैं भी देख पाती अपने बेटे का शवाब
बारी बारी चूम के असग़र का सर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
हाय ! औन ओ मोहम्मद (अ. स)..
दो सरों को देखकर फ़िज़्ज़ा ने ज़ैनब से कहा
आ गए औन-ओ-मोहम्मद लीजिए पुरसा मेरा
कर दिया जै़नब ने सजदा ख़ाक पर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
आ गया क़ासिम (अ. स)..
आया जब ज़िन्दान में 13 बरस वाले का सर
गुल हुआ इब्ने हसन को खा गई किसकी नज़र
बैन फ़रवा ने किए तो चीख़ कर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
हाय ! अली अकबर (अ. स)..
जब अली अकबर का सर आया क़यामत हो गई
यूं लगा के उम्मे लैला की शहादत हो गई
देखकर अकबर का चेहरा खूं में तर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
हाय! अ़ब्बास (अ. स)..
हज़रत ए अब्बास का सर आ गया, जब ये सुना
बीबियों में मातम ए अब्बास बरपा हो गया
बन्द आंखें बा-वफ़ा की देखकर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
हाय! हुसैन (अ. स)..
सर हुसैन इब्ने अली का बारिदे ज़िन्दां हुआ
ज़ख़्म औलाद-ए-अली का और ताज़ा हो गया
चादरें अपने सरों से फेंक कर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
हाय ! सकीना (स.अ़)..
गोद में बाबा का सर था और सकीना को क़ज़ा
ले गई ज़िन्दान से, सज्जाद ने तब ये कहा
बस यहीं तक था सकीना का सफ़र
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
अख़्तर ओ इरफ़ान कोई क्या बयां कर पाएगा
कै़द ख़ाने के मसाइब सुन के दिल फट जाएगा
तकते तकते रात दिन ज़िन्दां का दर
शहज़ादियां रोती रहीं
शहज़ादियां रोती रहीं
Shahzadiyan Roti Rahi Lyrics – Syed Irfan Haider
Haye! Jis ghadi zindañ ka dar khola gaya
Bibiyoñ ko dekh kar Sajjad (As) ne rokar kaha
Allah! Allah! Aa Raha Hai Syedoñ Ka Kafila
Allah! Allah! Aa Raha Hai Syedoñ Ka Kafila
Karbala Waloñ Ke Gham Mein Bichh Gaya Farsh e Aza
samne jab Aaye shahzadon Ke Sar
Shehzadiyan Roti Rahi
Shehzadiyan Roti Rahi
Haye! Ali Asghar (As)..
Dhooñdh kar Asghar ka sar kehne lageeñ umme rawa
Kaash! Maiñ bhi dekh pati apne bete ka shawab
Shehzadiyan Roti Rahi
Shehzadiyan Roti Rahi
Haye! Aun-o-Muhammad (As)..
2 saroñ ko dekh kar Fizza ne Zainab se kaha
Aa gaye Aun-O-Muhammad lijiye pursa mera
Kar diya Zainab ne sajda khaak per
Shehzadiyan Roti Rahi
Shehzadiyan Roti Rahi
Aa gaya Qasim (As)..
Aaya jab zindaan meiñ 13 baras wale ka sar
Gul hua Ibn-e-Hassan ko kha gayi kiski nazar
Bain Farwa ne kiye to cheekh kar
Shahzadiyan Roti Rahi
Shahzadiyan Roti Rahi
Haye! Ali Akbar (As)..
Jab Ali Akbar ka sar aaya qayamat ho gayi
Yuñ laga ke Umm-e-Laila ki shahadat ho gayi
Dekh kar Akbar ka chehra khooñ meiñ tar
Shahzadiyan Roti Rahi
Shahzadiyan Roti Rahi
Haye! Abbas (As)..
Hazrat e Abbas ka sar aa gaya, jab ye suna
Bibiyon meiñ matam e Abbas barpa ho gaya
Band aankhen ba wafa ki dekh kar
Shehzadiyan Roti Rahi
Shehzadiyan Roti Rahi
Haye! Hussain (As)..
Sar Hussain Ibn e Ali ka barid e zindañ hua
Zakhm aulad e Ali ka aur taza ho gaya
Chadareñ apne saroñ se pheñk kar
Shehzadiyan Roti Rahi
Shehzadiyan Roti Rahi
Haye! Sakina (Sa)
Goud me Baba ka sar tha aur sakina ko qaza
Le gayi zindan se Sajjad ne tab ye kaha
Bus yahi tak tha Sakina ka safar
Shehzadiyan Roti Rahi
Shehzadiyan Roti Rahi
Akhtar o Irfan koi kya bayañ kar payega
Qaid khane ke masaib sun ke dil phat jayega
Takte takte raat din zindañ ka dar
Shahzadiyan Roti Rahi
Shahzadiyan Roti Rahi
Noha Khwan: Syed Irfan Haider
Poet: Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al-Arbi
Manqabat Shahidan e Karbala And Noha Lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar