Sarkar Ka Milad Sada Karte Raheñge Lyrics

Sarkar Ka Milad Sada Karte Raheñge

Marhaba, Marhaba, Mar..haba×5

Kaaba Jhoom Kar Ye Kah Uttha
Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa

Hai Khaleel-o-Nuh Ki Ye Sada
Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa

Haq Apni Ghulami Ka Ada Karte Raheñge
Sarkar Ka Miilad Sada Karte Raheñge

Milad Manana Ye Qur’aan Se Saabit Hai
Khud Sarwar-e-Aalam Ke Farman Se Saabit Hai
Bu-Bakr-o-Umar Haider, Usman Se Saabit Hai
Milad Mana Kar Ke Wafa Karte Raheñge
Sarkar Ka Milad Sada Karte Raheñge

Manao Jashn Unka Jo Haiñ Aadam Ke Mola
Khaliq-e-Akbar Ke Jo Shahkar Aa Gaye
Milad Manaya Tha, Milad Manayeñge
Ye Ishqe Bilali Hai, Ghar Baar Sajayeñge
Ghurbao Yateemoñ Ko Seene Se Lagayeñge
Paigham Ye Har Saal Diya Karte Raheñge
Sarkar Ka Milad Sada Karte Raheñge

Aap Aaye Zulm Mit Gaya
Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa

Rukte Nahiñ Miladi
Jhukte Nahiñ Miladi
Sunnat Ke Usooloñ Se
Hat’te Nahiñ Miladi
Taboot Riyaloñ Par
Bikte Nahiñ Miladi
Ham Aañkh Dikha Kar Ke
Ye Kaha Karte Raheñge

Sajao Ghar Mohalle Nabi Nabi
Lagao Khoob Jhande Nabi Nabi
Jag magane Dahar Ko Sarktar Aa Gaye
Haq Apni Ghulami Ka Ada Karte Raheñge
Sarkar Ka Miilad Sada Karte Raheñge

Cheekheñ Kyuñ Nikalti Haiñ
Kyuñ Shor Machaata Hai
Aur Dekh Ke Ghar Mera
Kyñ Muh Ko Banata Hai
Miladi Tarike Par Kyuñ Ungli Utthata
Ham Yuñ Hi Shahe Deeñ Ki Sana Karte Raheñge
Sarkar Ka Miilad Sada Karte Raheñge

Badhshahoñ Ke Wo Badshah
Marhaba Ya a Mustafa
Marhaba Ya Mustafa

Iblees Ne Je Logo Kya Khoob Sikhaya Hai
Milad Pe Jo Fatwa Wid’at Ka Lagaya Hai
Har Sunni Ke Bachhoñ Ne Nara Ye Lagaya Hai
Baatil Ke Diye Yuñ Hi Bujha Karte Raheñge

Utho Ae Gham ke Maroñ Chalo Khushiyañ Manaon
Aaj Mere Mohnis-o-Ghamkhwar Aa Gaye
Haq Apni Ghulami Ka Ada Karte Raheñge
Sarkar Ka Milad Sada Karte Raheñge

Paigham Qayaam Apna Duniya Ko Batayeñge
Ye Jaan Shahe Deeñ Ki Azmat Pe Lutayeñge
Gustakh-e-Shahe Deeñ Ko Dharti Se Mitayeñge
Ailaan Ye Din Raat Ziya Karte Raheñge
Sarkar Ka Milad Sada Karte Raheñge

Ae Karaar-e-Jaan-e-Aamna
Marhaba ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa

Haq Apni Ghulami Ka Ada Karte Raheñge
Sarkar Ka Milad Sada Karte Raheñge

Naat Khwan: Shabbir Barkati & Dilbar Shahi

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

More Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *