Sarkar Aa Rahe Hain Lyrics By Muhammad Ali Faizi
सरकार आ रहे हैं
Qudrat ne aaj apne Jalwe dikha diye hain
Aamad pe musatfa ki Parde utha diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Ye kon aa raha hai, Ye kon aaj aaya
Soye huye muqaddar kis ne jaga diye
Sarkar aa rahe hain 3
Jab unka naam le ker mazloom koi roya
zanjir tod di hai qaidi chhura diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Bekas nawaz un sa paida hua na hoga
Bichhre mila diye hain, ujre basa diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Allah re hawaein us daman e karam ki
Banjar zami thi phir bhi gulshan khila diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Bahre karam me unke uthtie jo mouj e rahmat
Marte bacha liye hain, girte utha diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Shahon ke dar pe jana tauheed thi hamari
Unki gali me hamne bistar laga diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Sadqe main aabdi us haajat rawa nazar par
Jisne gada hazaron sultan bana diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Ghaza samajh ke muh per malte hain Ahle nisbat
Mitti ne unke dar ki mukhde saja diye hain
Sarkar aa rahe hain 3
Badhti hi ja rahi hain taabaniya haram ki
Bujhte nahin kisi se taiba ke kya diye hain
Sarkaar aa rahe hain 3
Seene me hun sajaye yaadon ki ek mahfil
Unki lagan ne dil me mele laga diye hain
Sarkaar aa rahe hain 3
Wo jane ae naseer ab ya jane unka khaliq
Hamne to dil ke dukhde inko suna diye hain
Sarkaar aa rahe hain 3
Naat khwan : Muhammad ali faizi
More Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Sarkar Aa Rahe Hain Lyrics In Hindi
क़ुदरत ने आज अपने जल्वे दिखा दिए हैं
आमद पे मुस्तफ़ा की पर्दे उठा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
ये कौन आ रहा है, ये कौन आ जाया
सोए हुए मुक़द्दर किसने जगा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
जब उनका नाम लेकर मज़लूम कोई रोया
ज़ंजीर तोड़ दी है क़ैदी छुड़ा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
बेकस नवाज़ उत्साह पैदा हुआ ना होगा
बिछड़े मिला दिए हैं उजड़े बसा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
अल्लाह अरे हवाएं उस दामने करम की
बंजर ज़मीन थी फिर भी गुलशन खिला दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
बहरे करम में उनके उठती जो मौज़ ए रह़मत
मरते बचा लिए हैं गिरते उठा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
शाहों के दर पे जाना तौहीद थी हमारी
उनकी गली में हमने बिस्तर लगा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
सदक़े मैं आबदी उस हाज़त रब्बा नज़र पर
जिसने गदा हजारों सुल्तां बना दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
गाज़ा समझ के मुंह पर मलते हैं अहले निस्बत
मिट्टी ने उनके दर की मुखड़े सजा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
बढ़ती ही जा रही हैं ताबानिया हरम की
बुझते नहीं किसी से तयबा के क्या दिये हैं
सरकार आ रहे हैं 3
सीने में हूं सजाए यादों की एक महफ़िल
उनकी लगन ने दिल में मेले लगा दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
वो जाने ऐ नसीर अब या जाने उनका ख़ालिक़
हमने तो दिल के दुखड़े इनको सुना दिए हैं
सरकार आ रहे हैं 3
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|