Qawwal: Sabri Brothers
Poet: Hazrat Ambar Ali Shah Warsi
Related Post: Sare La Makan by Ali Zafar
Aye khatm-e-rusul
Kaaba e Maqsood tui
Dar soorat e har che hast maujood tui
Aayaate kamaal e haq ayaañ nast ba to
Aañ zaat ke dar parda niha bood tuyi
हिन्दी लिरिक्स के लिए यहां टच करें
| اردو میں پڑھیں |
Suhaani raat thi
Suhaani raat thi
aur pur sukooñ zamana tha
Asar meiñ dooba hua
jazb e aashiqana tha
Unhein to arsh pe mehboob ko bulana tha
Hawas thi deed ki meraj ka bahaana tha
Sare laa makaañ se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Sare la makan se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Sare la makan se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Sare la makan se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Ye kamaal e husn ka mojiza
Ke firaaq haq bhi na seh saka
Sare la makan se talab hui
Sare la makan se talab hui
Shab e meraj liya arsh e bareeñ par bulwaay
Sadma e hijr khuda se bhi gawara na hua
Sar-e la makaañ se talab hui
Su-e muntaha wo chale Nabi
Sare la makan se talab hui
Sue muntaha wo chale Nabi
Koi had hai unke urooj ki
Balaghal Ula Be Kamaalehi
Khair ul wara, Sadrudduka
Najm ul huda, Noorul ula
Shams ud duha, Badrud-duja
Yani Muhammad Mustafa (s.a.w)
Koi had hai un ke Urooj ki
Aañ karwañ salaar e Deeñ
Ya Rehmatal Lil Alameeñ
Aañ muqtada e mursaleeñ
Aañ peshwa e Ambiya
Jannat nishan e koo-e to
Wash-Shams imaañ roo-e to
Wal-Lail wasf-e-roo-e to
Khubee-e-ruyat bad-Duha
Ism-e to Ism-e Aazami ×2
Jism-e to jaan e Aalami
Zaat e to fakhr e Aadmi
Shaan e to shaan e Kibriya
Koi had hai un ke Urooj ki …..
Jo gaya hai farsh se arsh tak
Wo buraq le gaya be-dhadak
Tabak e zameeñ waraq e falaq
Gaye neechey paaoñ say kul sarak
Lateiñ zulf ki jo gayiñ latak
To jahaan saara gaya mahak
Huyiñ mast bulbuleiñ is qadar
To ye ghunchay bole chatak chatak
Koi had hai unke Urooj ki …
Gaye ghar se chadh ke buraq par
Shab e wasl rukh se hui sahar
Ye safar tha khoob ta khoob tar
Yahi tha har ik ki zaban par
Koi had hai unke Urooj ki …
Koi had hai unke urooj ki
Balaghal Ula Be Kamalehi
Yehi ibtida yehi intaha
Ye faroogh e jalwa e haq numa
Ke jahaan saara chamak utha
Kashafad-Duja Be Jamalehi
Rukh e Mustafa ki yeh raushni
Ye tajalliyoñ ki hama hami
Ke har eik cheez chamak uthi
Kashafad-Duja Be Jamalehi
Ke har eik cheez chamak uthi…
Na Falak Na Chaand-Tare Na Sahar Na Raat hoti
Na Tera Jamaal hota Na ye Kayenat hoti
Kay har aik cheez chamak uthi
Kashafad-Duja Be Jamalehi
Wo sarapa rehmat e kibriya
Ke har ik pe jiska karam hua
Ye Quran e paak hai barmala
Hasunat Jamee o Khisalehi
Ye kamaal e haqq e Muhammadi ﷺ
Ke har ik pe chashm e karam rahi
Sar e Hashr naara e Ummati
Hasunat Jamee o Khisaalehi
Wohi haq nigar wohi haq numa
Rukh e Mustafa hai wo aaina
Kay Khuda e pak ne khud kaha
Sallu Alaihe Wa Aalehi
Mera deen Ambar e Warsi
Ba khuda hai ishq e Muhammadi ﷺ (s.a.w)
Mera zikr o fikr hai bas yehi
Sallu Alaihi Wa Aalihi
Che kunam bayan e kamale oo
Balaghal Ula Be Kamalehi
Che farogh karda jamale oo
Kashafad Duja Be Jamalihi
Mano hairatam ze khisale oo
Hasunat Jamee o Khisalihi
Dil o jaan e ma ba khayale oo
Sallu Alaihi Wa Aalihi
More Qawwalis From Sabri Brothers
Ae mazhar e Noor e Khuda
Balaghal Ula Be Kamalehi
Maula Ali mushkil kusha
Kashafad Duja Be Jamalehi
Hasnain jaan e Fatima
Hasonat Jamee o Khisalihi
Yani Muhammad Mustafa ﷺ
Sallu Alaihi Wa Aalehi
Sallu Alaihi Wa Aalehi
You might also like:-
Ya sahib al Jamal wa Ya Sayyad ul bashar
Ya Mohammad Noor e Mjassam Ya Habibi
Mera Koi Nahi Hai Tere Siwa Maiñ Banke Sawali Aaya Huñ. Bheek Mile Aaqa
Man bole man Shaah-e Zaman Kali Kali Kamli Hai Noor Ka Badan
Nazan Hai Jis Pe Husn Wo Husn-e Rasool Hai
Mere Dil Meiñ Hai Yaad e Mohammad ﷺ
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan