Paisa Bolta Hai Lyrics; Qawwali By Sabri Brothers

Paisa Bolta Hai Lyrics Qawwali By Sabri Brothers full Lyrics

Qawwal: Sabri Brothers

composition: Maqbool Sabri

Shayar:


हिन्दी में लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए


 (Ek Tamheed ke taur pe, Sher, pesh-e-khidmat hai)

Samajh, samajh ke, samajh ko, samjho

Samajh samajhna bhi ek samajh hai

Samajh-samajh ke bhi, jo na samjhe

Meri samajh meñ wo naasamajh hai

(Iski gahraayi meiñ mat jaayiye, lekin zara Alfazoñ ko mulahiza kijiye)

 

Inhi Chandi ke chamakte hue Angaaroñ meiñ
Cheekh uthti hai jawani, inhi jhankaroñ meiñ

Zar ke Bandoñ ne bada Shor macha rakha hai
Yaani, Sone-Chañdi ka yahañ Jaal bichaa rakha hai

Baat Ghairat ki agar aayi to yooñ taal diyaa…
Aur Sharm ki Laash pe Daulat ka Kafan daal diya

 

Aap jab tak yeh Zar lutaayenge…
Aap jab tak yeh Zar lutaayenge
Aap ke zer-e-Dast hai Duniya
Are!
kheench kar Haath, Tajurba karlo, kitni matlab-parast hai duniya

 

To sansaar meiñ baaje.. Dhol…

(Aapne amooman ye baat suni hogi ke, Log sawaal karte hain paise ka. Lekin Paisa sawal kar raha hai Insaanoñ se. )

(Paisa kya kahta hai?)

Sansaar meiñ baaje dhol..Yeh duniya meri taraah hai gol

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke paisa bolta hai …

 

Sansaar meiñ baaje dhol..Yeh duniya meri taraah hai gol
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke paisa bolta hai … Ke paisa

 

Sansaar meiñ baaje dhol
Sansaar meiñ baaje dhol..Yeh duniya meri taraah hai gol

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..

Paisa bolta hai … Kaisa bolta hai …
Paisa bolta hai … Kaisa bolta hai

 

Qaroon ne mujhko pooja tha
Qaroon ne mujhko pooja tha

Fir-a’un bhi mera shaida tha
Fir-a’un bhi mera shaida tha
Fir-a’un bhi mera shaida tha

(Sab taareekhi baat hai)

Shaddad ki Jannat mujh se bani
Shaddad ki jannat mujh se bani

Namrood ki Taaqat mujh se badhi
Namrood ki taaqat mujh se badhi
Namrood ki taaqat mujh se badhi

Jab chadh gaya mera Khumaar..
Jab chadh gaya mera khumaar
Jab chadh gaya mera khumaar

Khuda ke hogaye daawedaar

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa Bolta Hai

 

(Samaat Farmaayiye)

Har Shakhs hai mere chakkar meiñ

Hai meri zaroorat Ghar Ghar meiñ
Hai meri zaroorat ghar ghar meiñ
Hai meri zaroorat ghar ghar meiñ

Jise chahooñ woh khush-haal bane
Jise chahooñ woh khush-haal bane

Jise thukradooñ kañgaal bane
Jise thukradooñ kangaal bane
Jise thukradooñ kangaal bane

Yeh sheesh mahal, yeh shaan
Yeh sheesh mahal, yeh shaan

Mere dam se paayeñ dhanwaan

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..

 

(Kya bolta hai?)

Ke maiñ aapas meiñ ladwaata hooñ…
Maiñ aapas meiñ ladhwata hooñ
Maiñ aapas meiñ ladhwata hooñ

Laalach meiñ gala katwaata hooñ
Laalach meiñ gala katwaata hooñ
Laalach meiñ gala katwaata hooñ

Jahañ mera saaya lahraaye
Jahañ mera saaya lahraaye

Kasturi Khoon bhi Chhup jaaye
Kasturi khoon bhi chhup jaaye
Kasturi khoon bhi chhup jaaye

(Jahañ mera saaya lehraaye, whaañ Kasturi khoon bhi chhup jaaye)

 

Kyuñ

Maiñ keh detaa hooñ saaf
Maiñ keh detaa hooñ saaf

Mere haathoñ meiñ hai insaaf

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke paisa bolta hai …

 

(Haañ saab, Bade maze ki baat hai)
(Paisa kya bolta hai?)

Kahiñ Hadiya hoon, kahiñ Rishwat hooñ
Kahiñ hadiya hooñ, kahiñ rishwat hooñ
Kahiñ hadiya hooñ..
Kahiñ hadiya hooñ..
Kahiñ hadiya hooñ, kahiñ rishwat hooñ

Kahiñ Ghunda Tax ki soorat hooñ
Kahiñ Ghunda tax ki soorat hooñ
Kahiñ Ghunda tax ki soorat hooñ
Kahiñ Ghunda tax ki soorat hooñ

Kahiñ hadiya hooñ, kahiñ rishwat hooñ
Kahiñ hadiya hooñ, kahiñ rishwat hooñ

Kahiñ Ghunda tax ki soorat hooñ
Kahiñ Ghunda tax ki soorat hooñ

Kahiñ Masjid ka maiñ Chanda hooñ
Kahiñ Masjid ka maiñ Chanda hooñ

Kahin Jaan ka Gorakh Dhanda hooñ
Kahin Jaan ka Gorakh Dhanda hooñ
Kahin Jaan ka Gorakh Dhanda hooñ

Woh haiñ pakke mere yaar..
Haiñ pakke mere yaar, Moulvi, Pandit, Thaanedaar

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..

 

(Dubaara bolo, ji? Dubaara bolo)

Kahiñ hadiya hooñ,
kahiñ rishwat hooñ

Kahiñ Ghunda tax ki soorat hooñ

Kahiñ Masjid ka maiñ Chanda hooñ

Kahin Jaan ka Gorakh Dhanda hooñ
Kahin Jaan ka Gorakh Dhanda hooñ
Kahin Jaan ka Gorakh Dhanda hooñ

Haiñ pakke mere yaar..
Haiñ pakke mere yaar, Moulvi, Pandit, Thaanedaar

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..

 

(Kya bolta hai? Aha)

Jab Leader maiñ ban jaata hooñ
Jab Leader maiñ ban jaata hooñ
Jab Leader maiñ ban jaata hooñ

Chakkar mein Qaum ko laata hooñ
Chakkar mein Qaum ko laata hooñ
Chakkar mein Qaum ko laata hooñ
Chakkar mein Qaum ko laata hooñ

Phir aisa Jaal bichhaata hooñ
Phir aisa Jaal bichhaata hooñ
Phir aisa Jaal bichhaata hooñ

Ke Man ki Muraadeñ paata hoon
Ke Man ki Muraadeñ paata hoon
Ke Man ki Muraadeñ paata hoon

Maiñ jispe laga dooñ Note
Maiñ jispe laga dooñ Note

Na jaaye bahar uska Vote

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..

 

Maiñ jispe laga dooñ Note

Na jaaye bahar uska Vote

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke paisa bolta hai …

 

(Haañ saab, samaat Farmaayiye, bade maze ki baat hai- Shayar ne kisi ko nahi chhoda aur apne aap ko bacha raha)

(Aakhri bandh samaat Farmaayiye)

 

Ke
Har Saaz meiñ hai Sangeet mera..
Har Saaz meiñ hai Sangeet mera

Fankaar ke Lab par Geet mera
Fankaar ke Lab par Geet mera
Fankaar ke Lab par Geet mera

Har Raqs meiñ hai Raftaar meri
Har Raqs meiñ hai Raftaar meri

Har Ghunghroo meiñ Jhankaar meri
Har Ghunghroo meiñ Jhankaar meri
Har Ghunghroo meiñ Jhankaar meri

Yeh Mahfil yeh Sur-taal,
Yeh Mahfil yeh Sur-taal,

ho GaaneWaali ya Qawwal

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke paisa bolta hai …

 

Yeh Mahfil yeh Sur-taal,
Yeh Mahfil yeh Sur-taal,

ho GaaneWaali ya Qawwal

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..

 

(Shayar ne sab ko kheñch liya lekin khud apne aap ko bacha raha. Takhallus karte haiñ SAAIL AAZAAD. Shayir ka naam hia Saayil aazaad)

Koi Saayil tha, aabaad raha

Meri Zulfoñ se aazaad raha

Koi Saa-il tha, aabaad raha

Meri Zulfoñ se aazaad raha

Har Daur meiñ zindabad raha
Har Daur meiñ zindabad raha
Har Daur meiñ zindabad raha

Aur dono jag meiñ shaad raha
Aur dono jag meiñ shaad raha
Aur dono jag meiñ shaad raha

Rab bakshe jise Eemaan
Rab bakshe jise Eemaan

Chudaye mujhse apni Jaan

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..

Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke Paisa bolta hai .. Ke paisa bolta hai..
Ke paisa bolta hai …


See Translation in English


More Qawwalis

Sabri Brothers

1 thought on “Paisa Bolta Hai Lyrics; Qawwali By Sabri Brothers”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *